Meri Taza Nazm..."Musalman"
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Meri Taza Nazm..."Musalman"
Hai meri nazar meN tou wohee sachcha Musalman
HaSil ho jise saaya-e Haq saaya-e eemaan
Sarkar-e Risalaat ka jise yad ho farman
PaRhta hi nahiN khub samajhta bhi ho QurAan
Jo khud ko kare deeN ke uSooloN ke Hawaley
Emman ki daulat ko rahe dil meN SaNbhaley
Daaman pe nah apne jo kabhi daagh lagayee
Jo Khud ko kuch is TaraH ka kirdaar banaye
Jab tak hai paRosee koii bhooka woh nah khaaye
Kirdaar se apne woh muslamaaN nazar aaye
Muflis ho magar apne aqeedeh ka dhanee ho
Aamaal ki daulat se hamesha woh Ghanee ho
Muslim jo yeh dekhe keh koyii Doob raha hai
Woh shaKhS MusalmaN bhi nahiN hai yeh pata hai
Pani hai bahut gahra bahut tez hawa hai
Aise meN bachana usey Khatre se bhara hai
Muslim hai tou fauran hi woh darya meN utar jaae
aur Doobne wale ko samander se bachaa laae
Muslim usey kahte hain jo Gheebat se rahe door
Jo paak rahe aur nijaasat se rahe door
Gusse se, bure kamoN se, nafrat se rahe door
Emaan pe aaNch aaye tou daulat se rahe door
Khud ko na sudhare woh MusalmaN nahiN hota
Jo nafs se hare woh MusalmaaN nahiN hota
SajdoN se jise pyaar azaaN se ho moHabbat
Karta ho jo har Haal meN Khaliq ki ibaadat
RozoN ko samajhta ho jo Allah ki rehmat
Aur Haj ke safar ko na samajhta ho jo zaHmat
Har Haal meN eeman ki janib rahe maail
Allah ki tauHeed ka aur Adl ka qaaiil
Masoom ka bhoole se kabhi KhooN na bahaaye
Hathyaar nihatthe pe nah hargiz jo uThaye
Dushman ke bhi ghar meN nah kabhi aag lagaye
HaaN aag lagee dekhe tou fauran woh bujhaaye
Aisa jo nazar aaye Musalman wohee hai
Khaliq ki qasam SaHib-e eemaan wohee hai
---------------------------------