aadaab, dosto!
ek Ghazal ba.rang-e-:Meer: Urdu shaairii ke be.taaj baadshaah ko Khiraaj-e-tahseen ke taur par pesh hai. mulaahiza farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.
Ghazal
aaneN baRe baRoN kii Khatre meN DaaliyaaN haiN
kitnoN kii TopiyaaN ik dil ne uchhaaliyaaN haiN
qaail haiN, ai falak! ham kaarii.garii ke terii
kyaa kyaa qayaamateN ik saaNche meN DhaaliyaaN haiN!
puuchho na kaise kaise tuufaan uThe haiN dil meN
jab dekh kar nigaaheN us ne jhukaa liyaaN haiN
ab us ke dil meN kyaa hai, ham kis tarah bataayeN
arz-o-niyaaz us ne sab haNs ke TaaliyaaN haiN
ashkoN ne haal meraa sab khul ke kah sunaayaa
aur aap kii nigaaheN ab bhii savaaliyaaN haiN!
kyaa chaara.gar se kahiye, kyaa rog lag gayaa hai
ham ne kisii kii yaadeN seene meN paaliyaaN haiN
ai zeest! Dhang tere ham ko na raas aaye
do din kii aish-o-ishrat, phir Khasta.haaliyaaN haiN
sachchaa bane hai jhuuTaa, mujrim bane hai munsif
yaaN kii tamaam baateN, ai dil! niraaliyaaN haiN
:Abid: ne yaad taazah kii :Meer: kii kuchh aise
har lab pe vaah vaa hai, har samt taaliyaaN haiN
niyaazmand,
Irfan :Abid:
Ghazal: "aaneN baRe baRoN kii ..."
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Re: Ghazal: "aaneN baRe baRoN kii ..."
irfan abid wrote: aadaab, dosto!
ek Ghazal ba.rang-e-:Meer: Urdu shaairii ke be.taaj baadshaah ko Khiraaj-e-tahseen ke taur par pesh hai. mulaahiza farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.
moHtaram janab-e-Irfan Abid
Aadaab
aap ka yeh kalaam hasb-e-mamool naya rang liye hove hai.
aaneN baRe baRoN kii Khatre meN DaaliyaaN haiN
kitnoN kii TopiyaaN ik dil ne uchhaaliyaaN haiN
nice thought
qaail haiN, ai falak! ham kaarii.garii ke terii
kyaa kyaa qayaamateN ik saaNche meN DhaaliyaaN haiN!
"ai falak????" ka matlab yahaaN samajh naheiN aaya
puuchho na kaise kaise tuufaan uThe haiN dil meN
jab dekh kar nigaaheN us ne jhukaa liyaaN haiN
wah
ab us ke dil meN kyaa hai, ham kis tarah bataayeN
arz-o-niyaaz us ne sab haNs ke TaaliyaaN haiN
bohat khoob
ashkoN ne haal meraa sab khul ke kah sunaayaa
aur aap kii nigaaheN ab bhii savaaliyaaN haiN!
:) nice
kyaa chaara.gar se kahiye, kyaa rog lag gayaa hai
ham ne kisii kii yaadeN seene meN paaliyaaN haiN
acha :) bohat khoob
ai zeest! Dhang tere ham ko na raas aaye
do din kii aish-o-ishrat, phir Khasta.haaliyaaN haiN
zabardaast special daad hazir hai :)
sachchaa bane hai jhuuTaa, mujrim bane hai munsif
yaaN kii tamaam baateN, ai dil! niraaliyaaN haiN
wah wah yeh bhi acha hai
:Abid: ne yaad taazah kii :Meer: kii kuchh aise
har lab pe vaah vaa hai, har samt taaliyaaN haiN
vaah vaah Abid saaHeb waqai meN aap ka yeh kalaam zameen-e-meer bhi bohat khoob hai. so hamaree janib se daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
niyaazmand,
Irfan :Abid:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtaram Bhaayi
IRFAN ABID Saahib
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal paRhkar bahut hii luTf aayaa. Yehi tou aek qaadir-ul-kalaam kaa maqaam hei.
Aap ne urdu ke ameer-ul-shuAaraa Meer Taqii Meer ke andaaz meiN jou yeh ghazal kahi hei bahut hii kamaal kii baat hei. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
-
- -
- Posts: 98
- Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am
-
- -
- Posts: 98
- Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am
-
- -
- Posts: 98
- Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am
Assalam-o-a'laikum,
moHtarami Irfan Abid SaaHib, kaise haiN aap ?
mu'aaf kejeye zaraa bussy tha , is leye Haazir na hosaka
aap ki ye ghazal bhi Dil-o-jaaN ko choo k guzree , aur rooH tak ko sarshaar kar gayee , jo aap k kalaam ka khaaSSa hai , ab is k siwaa mujh jaisa jaahil aur kyaa keh saktaa hai :?
DheroN daad qabool kejeye !!
shukriya
mokhliS : Zia

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 98
- Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am
Re: Ghazal: "aaneN baRe baRoN kii ..."
Irfan Abid Sahabirfan abid wrote:aadaab, dosto!
ek Ghazal ba.rang-e-:Meer: Urdu shaairii ke be.taaj baadshaah ko Khiraaj-e-tahseen ke taur par pesh hai. mulaahiza farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.
Ghazal
aaneN baRe baRoN kii Khatre meN DaaliyaaN haiN
kitnoN kii TopiyaaN ik dil ne uchhaaliyaaN haiN
qaail haiN, ai falak! ham kaarii.garii ke terii
kyaa kyaa qayaamateN ik saaNche meN DhaaliyaaN haiN!
puuchho na kaise kaise tuufaan uThe haiN dil meN
jab dekh kar nigaaheN us ne jhukaa liyaaN haiN
ab us ke dil meN kyaa hai, ham kis tarah bataayeN
arz-o-niyaaz us ne sab haNs ke TaaliyaaN haiN
ashkoN ne haal meraa sab khul ke kah sunaayaa
aur aap kii nigaaheN ab bhii savaaliyaaN haiN!
kyaa chaara.gar se kahiye, kyaa rog lag gayaa hai
ham ne kisii kii yaadeN seene meN paaliyaaN haiN
ai zeest! Dhang tere ham ko na raas aaye
do din kii aish-o-ishrat, phir Khasta.haaliyaaN haiN
sachchaa bane hai jhuuTaa, mujrim bane hai munsif
yaaN kii tamaam baateN, ai dil! niraaliyaaN haiN
:Abid: ne yaad taazah kii :Meer: kii kuchh aise
har lab pe vaah vaa hai, har samt taaliyaaN haiN
niyaazmand,
Irfan :Abid:
aap ki suKhanwari ke tou ham qaail hain hi....lekin Shehenshaah-e-TaGhazzul ke raNg maiN Ghazal kehna....aur wo bhi itni Khoobi say ...bila shubaa bohut muKhtalif baat hai.... jis tarah Mehdi Hasan sahab ya Nusrat Fateh Sahab ki gaai hui Ghazal kisi aur ki aawaz maiN mushkil hi say achi lagti hai...isi tarah ye bhi ek amr-e-muhaal hai.....jisay aap nay umdagi say nibhaaya...
meri jaanib say bohut si daad aur mubaarakbaad qubool kijye....
Nigaah
-
- -
- Posts: 98
- Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am