maiN taire Husn peh
Posted: Wed Sep 27, 2006 2:02 pm
Azizan-e-meHfil
salaam-e-khuloos
Ramazan k mubarak mahinae meN apne parwadigaar k aHsaanat ko madd-e- nazar rakhte huay aik nazm manzoon ho gaee hai aap sab ki baSaartoN ki nazr kerti hoN. aaap ki aara ki muntazir rahoN gee
wassalam

MeN taire Husn per ae kaash ikk kitaab likhoN
baRe payaar se meN us k saare baab likhoN
Ilaahi mujh ko yeh taufeeq de keh maiN us meN
drwd taire Mohammad(s.a.w.w) peh be-Hisaab likhoN
maiN HairtoN k smander meN Doob jaati hoN
inaaytoN kaa tairee jab bhee intesaab likhoN
mairee khataaeiN aur us per inaayteN tairee
maiN kis teraH teri Rehamat ka kuch Hisaab likhoN?
zamanah bhaTkaa hi rehtaa hameshah Zulmat meN
nah bhejta tuu hidaayt kaa aftaab likhoN
Canaa kaa haq adaa karnaa tau nahiN mumkin
go lafz lafz Canaa kaa meN baab baab likhoN
kehaaN se laaoN woh qlb-e-Safaa wog beenaa'ee
nigaaheiN kheerah hoN jab bhee woh aab-o-taab likhoN