adaab
phir ek ghazal ke saath hazir hooN :P
apni aa,raa se nawaziye ga.
asaatizah kiraam se rah-numaee ki darkhaast hay.

khair andesh
najma
ye baat alag, ehd-e-jahaaNgeer naheeN hay
sab kuch hay, magar adl ki zanjeer naheeN hay
aiy dost! mubarak ho tujhaty tark-e-ta,alluq
shayad tujhe paana miree taqdeer naheeN hay
hay aaj bhi majboori-e-insaan, mohabbat
ye baat alag, is meiN wo taaseer naheeN hay
haq is pe hay kuch mere bhi mazloom lahuu ka
ye sheh,r faqat aap ki jaageer naheeN hay
zinda ho, to phir zinda ujaaloN ko bhi samjho
dunya ye, faqat kaaGhazi tasweer naheeN hay
insaaN ke liye zehr liye phirta hay inaasN
kya is ke liye koee bhi ta,zeer naheeN hay?
insaaniyat ab sirf kitaboN meiN hay NAJMA!
iblees ka koee bhi inaaN-geer naheeN hay
NAJMA ANSAR NAJMA