jaisa k aap sab jaante haiN ,maiN Haalat-e-safar maiN hoN , is binaa par aaj kal Mehfil maiN aanaa bahut kam hogayaa hai, laken ba-har-haal choNke ab kaam us Had tak puhNch gayaa hai k maiN aap ko kam se kam aek Ghazal to sunaasakoN !!

"aati hai jaan-e-man ye qayaamat kabhi kabhi" !!


mere khyaal maiN ab aap Ghazal sun'ne keleye be-taab na sahii, tayyar zaroor haiN !!

to lejeye Ghazal Haazir hai , par Khudaara apne iHsaasaat se aagaah zaroor farmaayegaa !! agar aap ki nigaah paRtee hai Ghazal par , aur phir aap ko Ghazal achchi lage yaa buree lagee , raye-zani zaroor kejeyega , aakhir aap log samajhte kyoN nahiN ! shaai'r ka dil TooT jaataa hai


achcha to Ghazal Haazir hai
:: Urdu Version ::

:: Roman Version ::
1. diyaar-e-dil maiN tire koii aarzoo to rahe !
:Zia: rahe na rahe, us ki justujoo to rahe ! :P
2.
mujhe tiree hi moHabbat ka aasraa mat^loob !
koii rahe na rahe mere saNg, tuu to rahe !

3.
usey bulaa k kaheN sey , kahoo ye qaatil se !
maiN jaan bhi doN khushee sey, voh roo-ba-roo to rahe !

4.
nishaan-e-manzil-e-gum-karda mil hi jaayegaa !!
koii qadam to chale, koi justujoo to rahe !

5(a).
nigaah-e-dahr se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-jahaaN pe magar , meri guftugoo to rahe !

5(b).
nigaah-e-yaar se be-shak chhupaaye waqt mujhe
lab-e-Sanam pe magar, meri guftugoo to rahe !!

aur ab maqt^a'
6.
machalte naachte Khanjar pe jaan dey de :Zia:
lahoo bahe to sahii, dil ki aabroo to rahe !

.............................................................................................
hmmm, paRh chuke na Ghazal aap ? achcha Theek hai , abhi jaasakte haiN , magar reply dena mat bholeyega !!

moKhliS :
Zia Baloch 8)