aadaab!
ek ghazal ap sab ki nazr hay, pasand aey to zaroor aaggah farmaiye.
asaatizah-kiraam ki raey ki bhi muntazor rahoongii.
khair andesh
najma

arz hay
========================
saathiyo!
aadaab
aap meiN se kuch saathii hamarii ghazal ko urdu
hamarre kuch saathiyoN, khusuusi taur pe waqar sahib najm sahib aur khurram ko hamari ye ghazal urdu meiN nazar nahii aasakii, lihaza ab ham, un ke hukm ki ta,meel meiN, ise roman meiN bhi pesh kar rahay haiN.

sunte haiN, raqeeboN se mulaaqaat karo ho
phir jee ko jalane ki wohii baat karo ho
mazloom ko soolii pe chaRhaa dete haiN haalaat
aiy dosto! kya shikwa-e-haalaat karo ho
karne ko maiN wa,doN pe yaqeeN kalooN tumhaare
har roz magar tum to naee baat karo ho
is darjah sulagte huey mausim meiN bhi logo!
zondah ho agar tum, to karamaat karo ho
jannat se nikaale huey insaan ke beTo!
dunyaa ko bhi dunyaa-e-kharaabaat karo ho
apnoN ki sii chaahat hay na GhairoN ki sii nafrat
dunya se niraalii hiihar-ik baat karo ho
saawan ka guzartaa hua baadal tha wo NAJMA!
tum jis ke liye ash,koN ki barsaat karo ho
NAJMA ANSAR NAJMA