kuchh roz qabl :Meer: ko Khaaksaar kii Khiraaj-e-tahseen par nigaah-e-karam ke baad hamaare azeez dost Amjad Sb ne hukm saadir kiyaa thaa ki :Ghalib: kii yaad taaza karuuN. to leejiye, :Ghalib: kii zameen meN ek Ghazal pesh hai. ye taKhleeq koii do saal qabl vujuud meN aayii thii, lekin jahaaN tak mujhe yaad hai, ab tak aap ke saamne pesh nahiiN kii gayii. yahaaN ye arz kartaa chaluuN ki is Ghazal meN maiN ne :Ghalib: kii sirf zameen istemaal kii hai aur :Meer: vaalii Ghazal kii maanind maaKhiz-e-taaseer (source of inspiration) ke :raNg: ko apnaane kii koii daanista koshish nahiiN kii hai. haaN, naa.daanista taur par ye raNg dar aayaa ho to aur baat hai!

Ghazal
yuuN umr kaT rahii hai jahaan-e-Kharaab meN
jaise hoN jism-o-jaan musalsal azaab meN
pesh-e-nazar jo hai so faqat sat.h-e-bahr hai
muKhfee hai ek aalam-e-jalva hijaab meN
shaidaa-e-rang sab haiN magar vo nazar kahaaN
dekhe jo baaGhbaaN ke lahuu ko gulaab meN
miTnaa hai ek aan meN donoN hii kaa vujuud
hastii ko apnii dekh rahaa huuN habaab meN*
yuuN to har ek nafs kaa anjaam hai fanaa
mujh saa miTe na koii zamaan-e-shabaab meN
farhaad-o-qais ho gaye jis meN supurd-e-Khaak
ham ne bhii rakh diyaa hai qadam us saraab meN
tasleem, aap aayeNge pursish ko ek roz
tab tak magar jiye jo koii iztiraab meN!
ik jaaN.ba.lab ke chain ko talqeen-e-intizaar
likkhaa hai qaaida ye bhalaa kis kitaab meN?
baaz aaye ham jo tum se kareN aur kuchh savaal
hote haiN sau savaal tumhaare javaab meN
aisaa bhii kyaa ki aap ke qaabil na ban sakuuN
maqbuul ho jo arz-e-muhabbat janaab meN
:Abid: kii paarsaaii par uNglii uThii hai aaj
mumkin hai kal ko daaGh lage aaftaab meN!
Niyaazmand,
Irfan :Abid:
* hastii apnii habaab kii sii hai (Meer)