muHabbat! ph`ir us kaa bayaaN! Allah, Allah!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

muHabbat! ph`ir us kaa bayaaN! Allah, Allah!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

ek Ghazal le kar HaaZ^ir huwaa hooN. aap meN se kuch` eHbaab ne yeh Ghazal shaayad kaheeN aur dekh`ee ho gee. lekin is bazm ke liYe nayee hai! (kam se kam meraa yehee Khayaal hai!) aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah peshagee qubool farmaaYeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

==========================

Ghazal:

muHabbat! ph`ir us kaa bayaaN! Allah Allah!
zameeN ho gayee aasmaaN, Allh Allah!

huyee aarzoo ph`ir javaaN, Allah Allah!
koyee ho gaYaa mehrbaaN, Allah Allah!

sar-e-t^oor-e-i'rfaaN yeh t^oofaan-e-Hairat?
Hijaabaat-e-kaun-o-makaaN, Allah Allah!

bh`alaa kis t^araH miltee manzil Khudee kee?
Sanam-Khaanah-e-een-o-aaN, Allah Allah!

nah meraa gulistaaN, na meree Khudaayee
magar hai Gham-e-aashiyaaN, Allah Allah!

use Dh`hooNDte Dh`hooNDte kh`o gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN, Allah Allah!

Khudaa ban gayee meree yeh Khud-shanaasee
huwaa jab maiN Khud per a'yaaN, Allah Allah!

magar zindah hai chaar-o-naachaar "Sarwar"
taqaaZ^aaYe-daur-e-jahaaN, Allah Allah!
---------------
Sarwar A. Raz "Sarwar
"
Attachments
gg-muhabbat.gif
gg-muhabbat.gif (5.79 KiB) Viewed 349 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: muHabbat! ph`ir us kaa bayaaN! Allah, Allah!

Post by najma »

Sarwar Raz wrote:yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

ek Ghazal le kar HaaZ^ir huwaa hooN. aap meN se kuch` eHbaab ne yeh Ghazal shaayad kaheeN aur dekh`ee ho gee. lekin is bazm ke liYe nayee hai! (kam se kam meraa yehee Khayaal hai!) aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah peshagee qubool farmaaYeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

==========================

Ghazal:

muHabbat! ph`ir us kaa bayaaN! Allah Allah!
zameeN ho gayee aasmaaN, Allh Allah!

huyee aarzoo ph`ir javaaN, Allah Allah!
koyee ho gaYaa mehrbaaN, Allah Allah!

sar-e-t^oor-e-i'rfaaN yeh t^oofaan-e-Hairat?
Hijaabaat-e-kaun-o-makaaN, Allah Allah!

bh`alaa kis t^araH miltee manzil Khudee kee?
Sanam-Khaanah-e-een-o-aaN, Allah Allah!

nah meraa gulistaaN, na meree Khudaayee
magar hai Gham-e-aashiyaaN, Allah Allah!

use Dh`hooNDte Dh`hooNDte kh`o gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN, Allah Allah!

Khudaa ban gayee meree yeh Khud-shanaasee
huwaa jab maiN Khud per a'yaaN, Allah Allah!

magar zindah hai chaar-o-naachaar "Sarwar"
taqaaZ^aaYe-daur-e-jahaaN, Allah Allah!
---------------
Sarwar A. Raz "Sarwar
"

JANAB S.A.RAZ :SARWAR: SAHIB!

najma wrote:

assalam-o-alaikum
hasb-e-ma,mool ek haseen ghazal inayat farmaaee aap ne.

use Dh`hooNDte Dh`hooNDte kh`o gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN, Allah Allah!

Khudaa ban gayee meree yeh Khud-shanaasee
huwaa jab maiN Khud per a'yaaN, Allah Allah!

khusoosiitaur peye ash,aar to bohat hi pasand aaey, lekin poori ghazal hii qabil-e-daad hay.,ihazah bhar-pur daad qubuul kijiye
ek arz:
mehz apni ma,loomaat meiN izafayke liye=======
(kya kisi muqaam par ''allaah'' ki ''hay'' gir jana jaaiz hay?aur agar hay to kin sooratoN meiN? :oops: )
khair andesh
najma
:-)
Post Reply