MoHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil Aadaab !
is naye forum keleye apni ik nayee ghazal paish karte howe mujhey beHad khushi maHsoos horahi hai. umeed hai k aap apni qeemati aaraa aur tanqeed se nawaazeNge :D . shukriya.
Urdu Version :

Roman Version :
1. Ye gumaaN, jo k tire dil maiN utar saktaa hai
Dil-e-a'aashiq peh qayaamat sa guzar saktaa hai

2. To chaman se bhi dabe paaoN guzar,baad-e-saHar
Waraq-e-gul bhi, tire haathoN bikhar saktaa hai

3. Ye jo rakhtaa hai khazeenoN ko, chupaa kar teh maiN
Ye samandar bhi mire dil maiN utar saktaa hai 8)
4. YouNhi gar daagh-e-jigar se miree taHSeel rahi
Mira andaaz-e-bayaaN aur nikhar saktaa hai 8)
5. YouN na ho mujh se gureezaN, mire mahtaab-e-jahaaN

Tire jalvoN se mira bakht saNwar saktaa hai

6. Aye shab-e-taar tujhey, yaad rahe baat miree

Tire dil se mira sooraj bhi ubhar saktaa hai

7. Na safar kar to, jafaaoN k safeeney maiN kabhi

K wafaaoN ka samandar bhi, biphar saktaa hai

8. Tire kooche ki hawaaoN ka acar hai pyaare

Tira deevaana bhala kaise sudhar saktaa hai

9. Qaafila, faSl-e-bahaar-e-rah-e-ulfat ka Sanam
Jaras-e-dil ki Sadaa par hi tiher saktaa hai

10. Ishq karnaa tire fitrat hai, tu kyaa hai gham :Zia:

basar ab to yeh shab-e-hijr bhi kar saktaa hai

MokhliS : Zia Baloch