doostoo joo sabad adm sahib nay bataya hay mayray forum chooRnay ka sabad woo nahi tha.
aik nazm kay sath janay ka irada multavi kar kay hazir hoon
rizwan
aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 35
- Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
- Location: Islamabad
- Contact:
aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis
- Attachments
-
- azam-nazm.gif (4.99 KiB) Viewed 438 times
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob waah waah
MuHtarami o Azeezi
DAWOOD-RIZWAN Saahib
Purkhuloos Tasleemaat,
Sab se pahle maiN aapka behad shukrguzaar hooN ke aap ne apni hii is site kii forum se munqatiA houne ke khayaal ko multavi kardiyaa. Yehi nahiN balkeh apne khuloos-e-dil kaa izhaar karte houe aek bahut hii dilkash nazm "naye ta'alluq kii ibtedaa hei" se apne chaahne waale doustaoN aur aHbab-e-sukhan ko navaazaa.
Mujhe aapki yeh nazm bahut pasand aayi aur maiN apni daad o teHseen ke saath aapki khidmat meiN Haazir hooN. Ummeed ke aayindah bhii aap apne kalaam se ahl-e-sukhan kii rehnumaayi farmaate rahenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.

- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis
bahut khoobsurat nazm ke daad hazir hai, aur yaqeenan aap gayaa waqt to nahi ho ke wapisi na mumkin ho, wapisi ka bhi shukriaDawood_Rizwan wrote:doostoo joo sabad adm sahib nay bataya hay mayray forum chooRnay ka sabad woo nahi tha.
aik nazm kay sath janay ka irada multavi kar kay hazir hoon
rizwan
mahtab qadr
Re: aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis
Rizwan ji,Dawood_Rizwan wrote:doostoo joo sabad adm sahib nay bataya hay mayray forum chooRnay ka sabad woo nahi tha.
aik nazm kay sath janay ka irada multavi kar kay hazir hoon
rizwan
ye maiN kyaa sun rahi hooN? aap kahaaN jaane kee teyaari pakaR rahe thay?
aap kee ye nazm paRhee aur paRh kar dil khush ho geyaa, ba'z auqaat hum apne dil kee baat jab kisi aur kee zubaani sunte haiN tau qadre hairaangee hoti hai. aap kee ye nazm mujhe buhat pasaNd aayee hai, iss khobsoorat takhliq par daad paish karti hooN.
mukhliS
Naheed
-
- -
- Posts: 35
- Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
- Location: Islamabad
- Contact:
Re: aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis
naheed g main yahi forum nahi balka sab urdu forums koo khuda hafiz kahna ka sooch raha hoon. is ki waja buhat hi zati hay.naheedv wrote:
Rizwan ji,
ye maiN kyaa sun rahi hooN? aap kahaaN jaane kee teyaari pakaR rahe thay?
aap kee ye nazm paRhee aur paRh kar dil khush ho geyaa, ba'z auqaat hum apne dil kee baat jab kisi aur kee zubaani sunte haiN tau qadre hairaangee hoti hai. aap kee ye nazm mujhe buhat pasaNd aayee hai, iss khobsoorat takhliq par daad paish karti hooN.
mukhliS
Naheed
woo tamam loog bhi mayray is faislay par khush hoo saktay hain jin kay mutabiq mujay in forums say wo rukhsat kar kay dam lain gay aur khasay ba izzat tarqay par. is kay ilawa kuch dil shikniyan bhi hain joo mujay urdu forums say rukhsat hoonay par uksati hain.
taham aik darkhwast itni sahadeed thi ka main nay filhal apna irada multavi kar dia hay.
rizwan
-
- -
- Posts: 35
- Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
- Location: Islamabad
- Contact:
Re: Bahut khoob waah waah
Nazir sahib main aap ki muhabbatooN ka too shroo din say hi maqrooz hoon. nazm pasand farmanay ka shukriyaAbdullah Nazir wrote:
MuHtarami o Azeezi
DAWOOD-RIZWAN Saahib
Purkhuloos Tasleemaat,
Sab se pahle maiN aapka behad shukrguzaar hooN ke aap ne apni hii is site kii forum se munqatiA houne ke khayaal ko multavi kardiyaa. Yehi nahiN balkeh apne khuloos-e-dil kaa izhaar karte houe aek bahut hii dilkash nazm "naye ta'alluq kii ibtedaa hei" se apne chaahne waale doustaoN aur aHbab-e-sukhan ko navaazaa.
Mujhe aapki yeh nazm bahut pasand aayi aur maiN apni daad o teHseen ke saath aapki khidmat meiN Haazir hooN. Ummeed ke aayindah bhii aap apne kalaam se ahl-e-sukhan kii rehnumaayi farmaate rahenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
rizwan
-
- -
- Posts: 40
- Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis
Mohtaram Dawood" sahib aap ki nazm buhat pasand aayee. Aap nay buhat khubusurti say apnay khayalat ko nazm kiya hai. Saath hi aap ko apnay majmoo'a-e-kalam ki isha'at par bhi mubarakbaad.Dawood_Rizwan wrote:doostoo joo sabad adm sahib nay bataya hay mayray forum chooRnay ka sabad woo nahi tha.
aik nazm kay sath janay ka irada multavi kar kay hazir hoon
rizwan