MuHtaramat o MuHtarameen
arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Apni aek maAmooli aur saadah see ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni aaraa se mustafeed houne kaa mauqa denge.
GHAZAL roman meiN
Khud se kyaa dushmani baRh gayi
Aap se dousti baRh gayi
Gul kee khandah labi baRh gayi
Meri dil kee lagi baRh gayi
Jab wo meh-rukh houaa hamqadam
Raah meiN raushni baRh gayi
Dasht-e-ghurbat meiN kyaa bus gaye
Aur deewanagi baRh gayi
naagahaaN kis ne dhoukah diyaa
chashm-e-nam kiyuN nami baRh gayi
besabab wo khafaa hougaye
baat kuch bhee nah thee baRh gayi
dard-e-dil baRh gayaa aur bhee
jab se chaarah gari baRh gayi
ham se aakhir houee kyaa khaTaa
kis liye be-rukhi baRh gayi
iHtimaal-e-mulaaqaat per
shaam-e-gham khudsari baRh gayi
chashm-e-Nazir hei tar sarbasar
hijr kee teeagi baRh gayi
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
