Yaaran-e-meHfil aadaab,
aaj aap ki Khidmat maiN aek t^araHee Ghazal paish karne jaarahaa hoN ! ummeed hai k HoSla afzaayee farmaayeNge ! shukria.
miSra'-e-t^araH
hai " wafa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai"
to lejeye Ghazal Haazir hai
1.
ab us se rishta-e-jaaN ustuwaar apnaa hai
"wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai"
2.
wuhi hai saaz-e-moHabbat , wuhi hai soz-e-nihaaN
usee k faiZ^ se dil , laala-zaar apnaa hai !
3.
Khudaa kare k use bhi hamaari yaad aaye
woh jis ki yaad maiN dil be-qaraar apnaa hai
4.
chale bhi aao k phir se bahaar aajaaye
bichaR k tum se chaman Khaar Khaar apnaa hai !
5.
woh jin ko chhoRe hameN ik zamaana beet gayaa
sunaa hai ab bhi unheN intezaar apnaa hai !
6.
hameN bhi taab nahiN daastaaN sunaane ki
unheN bhi zikr-e-wafaa naagawaar apnaa hai !
7.
dayaar-e-Gher maiN kis se kaheN Hadeec-e-dil ?
yahaaN pe kon bhalaa Ghamgusaar apnaa hai !
8.
ye iz^t^iraab-e-moHabbat nahiN to phir kyaa hai?
bahaar maiN bhi chaman sogwaar apnaa hai !
9.
faZ^aa-e-koocha-e-jaanaN se Saaf z^aahir hai
Sabaa k lab pe payaam-e-bahaar apnaa hai !
10.
jigar k Khoon se seeNchaa hai ham ne gulshan ko
ye rang-o-noor ye naqsh-o-nigaar apnaa hai !
11.
ham aasmaan-e-moHabbat k rehne waale haiN !
har ik dayaar se achcha dayaar apnaa hai !
12.
madene waale(SAW) k dam se hai aabro-e-Hayaat
madene waale(SAW) pe sab kuchh nicaar apnaa hai !
13.
kisee k shauq maiN kyaa kyaa na marHale aaye
magar woh josh-e-junooN bar qaraar apnaa hai !
14.
yehi bohut hai moHabbat se aashnaa to howe
balaa se daaman-e-dil taar taar apnaa hai !
15.
maqaam jaisa bhi aaye rukeN na apne qadam
rah-e-wafaa maiN yehi ik shi'aar apnaa hai !
16.
nigaah-e-toba shikan ki sharaab mojoN par
janaab-e-shaiKh kahaaN iKhtiyaar apnaa hai ?
17.
ye mu'jiza hai kisee ki kitaab aaNkhoN ka
suKhanwaroN maiN Zia jo shumaar apnaa hai !
.................................
shukriya
Zia Baloch
:: "wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai ! "
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
:: "wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai ! "
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: :: "wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai ! &q
Bradar e Azeez zia ji
salaam e khuloos
wah bhai bahut haseen ghazal se nawaza hai aapne bahut lutf aaya parhkar, ghazal saari ki saari bahut khoobsurat hai. aur baaz ashaar to dil ko cholene wale haiN. jaise
ab us se rishta-e-jaaN ustuwaar apnaa hai
"wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai"
hameN bhi taab nahiN daastaaN sunaane ki
unheN bhi zikr-e-wafaa naagawaar apnaa hai !
dayaar-e-Gher maiN kis se kaheN Hadeec-e-dil ?
yahaaN pe kon bhalaa Ghamgusaar apnaa hai !
faZ^aa-e-koocha-e-jaanaN se Saaf z^aahir hai
Sabaa k lab pe payaam-e-bahaar apnaa hai !
jigar k Khoon se seeNchaa hai ham ne gulshan ko
ye rang-o-noor ye naqsh-o-nigaar apnaa hai !
ham aasmaan-e-moHabbat k rehne waale haiN !
har ik dayaar se achcha dayaar apnaa hai !
madene waale(SAW) k dam se hai aabro-e-Hayaat
madene waale(SAW) pe sab kuchh nicaar apnaa hai !
yehi bohut hai moHabbat se aashnaa to howe
balaa se daaman-e-dil taar taar apnaa hai !
maqaam jaisa bhi aaye rukeN na apne qadam
rah-e-wafaa maiN yehi ik shi'aar apnaa hai !
nigaah-e-toba shikan ki sharaab mojoN par
janaab-e-shaiKh kahaaN iKhtiyaar apnaa hai ?
ye mu'jiza hai kisee ki kitaab aaNkhoN ka
suKhanwaroN maiN Zia jo shumaar apnaa hai !
Shukria
MQ

Star Mind wrote:
e-meHfil aadaab,
aaj aap ki Khidmat maiN aek t^araHee Ghazal paish karne jaarahaa hoN ! ummeed hai k HoSla afzaayee farmaayeNge ! shukria.
miSra'-e-t^araH
hai " wafa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai"
to lejeye Ghazal Haazir hai
1.
ab us se rishta-e-jaaN ustuwaar apnaa hai
"wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai"
2.
wuhi hai saaz-e-moHabbat , wuhi hai soz-e-nihaaN
usee k faiZ^ se dil , laala-zaar apnaa hai !
3.
Khudaa kare k use bhi hamaari yaad aaye
woh jis ki yaad maiN dil be-qaraar apnaa hai
4.
chale bhi aao k phir se bahaar aajaaye
bichaR k tum se chaman Khaar Khaar apnaa hai !
5.
woh jin ko chhoRe hameN ik zamaana beet gayaa
sunaa hai ab bhi unheN intezaar apnaa hai !
6.
hameN bhi taab nahiN daastaaN sunaane ki
unheN bhi zikr-e-wafaa naagawaar apnaa hai !
7.
dayaar-e-Gher maiN kis se kaheN Hadeec-e-dil ?
yahaaN pe kon bhalaa Ghamgusaar apnaa hai !
8.
ye iz^t^iraab-e-moHabbat nahiN to phir kyaa hai?
bahaar maiN bhi chaman sogwaar apnaa hai !
9.
faZ^aa-e-koocha-e-jaanaN se Saaf z^aahir hai
Sabaa k lab pe payaam-e-bahaar apnaa hai !
10.
jigar k Khoon se seeNchaa hai ham ne gulshan ko
ye rang-o-noor ye naqsh-o-nigaar apnaa hai !
11.
ham aasmaan-e-moHabbat k rehne waale haiN !
har ik dayaar se achcha dayaar apnaa hai !
12.
madene waale(SAW) k dam se hai aabro-e-Hayaat
madene waale(SAW) pe sab kuchh nicaar apnaa hai !
13.
kisee k shauq maiN kyaa kyaa na marHale aaye
magar woh josh-e-junooN bar qaraar apnaa hai !
14.
yehi bohut hai moHabbat se aashnaa to howe
balaa se daaman-e-dil taar taar apnaa hai !
15.
maqaam jaisa bhi aaye rukeN na apne qadam
rah-e-wafaa maiN yehi ik shi'aar apnaa hai !
16.
nigaah-e-toba shikan ki sharaab mojoN par
janaab-e-shaiKh kahaaN iKhtiyaar apnaa hai ?
17.
ye mu'jiza hai kisee ki kitaab aaNkhoN ka
suKhanwaroN maiN Zia jo shumaar apnaa hai !
.................................
shukriya
Zia Baloch
Zia Baloch SaaHeb: Aadaab,
aap kee yeh ghazal ek aur meHfil meN bhi dekhii thee aur yahaN dekh kar aur ise dobarah paRh kar Khushii hoovii.
meree jaanib se ek achii taKhleeq par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
Khair andesh
Zahida Raees :Raji:

Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Re: :: "wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai ! &a
Mahtab Qadr wrote:Bradar e Azeez zia ji
salaam e khuloos
wah bhai bahut haseen ghazal se nawaza hai aapne bahut lutf aaya parhkar, ghazal saari ki saari bahut khoobsurat hai. aur baaz ashaar to dil ko cholene wale haiN. jaise
Mahtab bhai , w/salaam
muddatoN baa'd aap ko dekh kar beHad Khushee hoi !
aap ka Husn-e-nazar hai janaab ! warna ham kyaa balaa haiN ?
ab us se rishta-e-jaaN ustuwaar apnaa hai
"wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai"
hameN bhi taab nahiN daastaaN sunaane ki
unheN bhi zikr-e-wafaa naagawaar apnaa hai !
dayaar-e-Gher maiN kis se kaheN Hadeec-e-dil ?
yahaaN pe kon bhalaa Ghamgusaar apnaa hai !
faZ^aa-e-koocha-e-jaanaN se Saaf z^aahir hai
Sabaa k lab pe payaam-e-bahaar apnaa hai !
jigar k Khoon se seeNchaa hai ham ne gulshan ko
ye rang-o-noor ye naqsh-o-nigaar apnaa hai !
ham aasmaan-e-moHabbat k rehne waale haiN !
har ik dayaar se achcha dayaar apnaa hai !
madene waale(SAW) k dam se hai aabro-e-Hayaat
madene waale(SAW) pe sab kuchh nicaar apnaa hai !
yehi bohut hai moHabbat se aashnaa to howe
balaa se daaman-e-dil taar taar apnaa hai !
maqaam jaisa bhi aaye rukeN na apne qadam
rah-e-wafaa maiN yehi ik shi'aar apnaa hai !
nigaah-e-toba shikan ki sharaab mojoN par
janaab-e-shaiKh kahaaN iKhtiyaar apnaa hai ?
ye mu'jiza hai kisee ki kitaab aaNkhoN ka
suKhanwaroN maiN Zia jo shumaar apnaa hai !
Shukria
ye ash'aar KhaaS t^or se pasand farmaane par aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN ! shukriya
MQ
Star Mind wrote:
e-meHfil aadaab,
aaj aap ki Khidmat maiN aek t^araHee Ghazal paish karne jaarahaa hoN ! ummeed hai k HoSla afzaayee farmaayeNge ! shukria.
miSra'-e-t^araH
hai " wafa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai"
to lejeye Ghazal Haazir hai
1.
ab us se rishta-e-jaaN ustuwaar apnaa hai
"wafaa kare na kare phir bhi yaar apnaa hai"
2.
wuhi hai saaz-e-moHabbat , wuhi hai soz-e-nihaaN
usee k faiZ^ se dil , laala-zaar apnaa hai !
3.
Khudaa kare k use bhi hamaari yaad aaye
woh jis ki yaad maiN dil be-qaraar apnaa hai
4.
chale bhi aao k phir se bahaar aajaaye
bichaR k tum se chaman Khaar Khaar apnaa hai !
5.
woh jin ko chhoRe hameN ik zamaana beet gayaa
sunaa hai ab bhi unheN intezaar apnaa hai !
6.
hameN bhi taab nahiN daastaaN sunaane ki
unheN bhi zikr-e-wafaa naagawaar apnaa hai !
7.
dayaar-e-Gher maiN kis se kaheN Hadeec-e-dil ?
yahaaN pe kon bhalaa Ghamgusaar apnaa hai !
8.
ye iz^t^iraab-e-moHabbat nahiN to phir kyaa hai?
bahaar maiN bhi chaman sogwaar apnaa hai !
9.
faZ^aa-e-koocha-e-jaanaN se Saaf z^aahir hai
Sabaa k lab pe payaam-e-bahaar apnaa hai !
10.
jigar k Khoon se seeNchaa hai ham ne gulshan ko
ye rang-o-noor ye naqsh-o-nigaar apnaa hai !
11.
ham aasmaan-e-moHabbat k rehne waale haiN !
har ik dayaar se achcha dayaar apnaa hai !
12.
madene waale(SAW) k dam se hai aabro-e-Hayaat
madene waale(SAW) pe sab kuchh nicaar apnaa hai !
13.
kisee k shauq maiN kyaa kyaa na marHale aaye
magar woh josh-e-junooN bar qaraar apnaa hai !
14.
yehi bohut hai moHabbat se aashnaa to howe
balaa se daaman-e-dil taar taar apnaa hai !
15.
maqaam jaisa bhi aaye rukeN na apne qadam
rah-e-wafaa maiN yehi ik shi'aar apnaa hai !
16.
nigaah-e-toba shikan ki sharaab mojoN par
janaab-e-shaiKh kahaaN iKhtiyaar apnaa hai ?
17.
ye mu'jiza hai kisee ki kitaab aaNkhoN ka
suKhanwaroN maiN Zia jo shumaar apnaa hai !
.................................
shukriya
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Raji sis , w/salaamRaji wrote:Zia Baloch SaaHeb: Aadaab,
aap kee yeh ghazal ek aur meHfil meN bhi dekhii thee aur yahaN dekh kar aur ise dobarah paRh kar Khushii hoovii.
meree jaanib se ek achii taKhleeq par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
Khair andesh
Zahida Raees :Raji:
janaab aap ne yaqeena" Urdustan maiN dekhee hai , aur maiN aap ka bharpoor tabSira bhi paRh aayaa hoN ! inshaa Allah jald jawaab doNga ! filHaal aap ka shukriya adaa kroN k aap ko is qadar pasaNd aayee hamaaree Haqeer kaavish ! aur wese bhi aap Khud a'ala Shaai'ra haiN ! daad paa kar dil baaGh baaGh hojaataa hai ! shukriya