aaj aap sab ke saamne apnee aik taazah.tareen Ghazal paish kar rahaa hooN ,,jo keh aik na.ay rang meN hay mumkin hay isay paRh kar aap ko sindh ki miTTee ki khushboo aa.ay ,,ab aik aadh maah tak mumkin hay bazm meN aamad kam ho jaa.e jis kaa sabab a'nqareeb honay waalay papers heN ,,Haalat yeh hay keh niSaabee kitaaboN ko bahut kam Chuwaa hay -deKhiye ab kyaa hotaa hay-
kher Ghazal paish-e-khidmat hay ,,aap ke giraaN.qadr tabSiroN kaa intzaar rahay gaa-
Ghazal
raat kehne lagee raah saa.eeN !
ab to so jaaiye Shah saa.eeN !
dil se niklee agar aah saa.eeN !
anjuman bol uThee waah saa.eeN !
kuCh naheeN hay agar paas to kyaa ?
shukr al.Hamdulillaah saa.eeN !
yaad gaa.oN ki aanay lagee hay
deKh kar itnay bad.khwaah saa.eeN
khaalee masjid meN karnaa i'baadat
Allah Allah re, Allah saa.eeN !
nain mere diye but.kaday ke
qalb weeraan dargaah saa.eeN !
tum kahaaN aur kahaaN dunyaa.daaree
Allah Allah karo Shah Saa.eeN !
kyaa kahi khoob Shah Saa.eeN
Boul uThTi maiN waah! Saa.eeN
yasir sahib,
adaab arz hei.
kuch masroofiyet ki wajah se aana dair mein hua lekin
apki ye ghazal pehle dekh li thi aur bohat pasand aayi
khaaSka is liye ke aap ne radeef aur qaafiyaoN ko bahut
hi khoobi se isteAmaal kiyaa hei.
is kaamyaab ghazal per meri daad aur mubaarakbaad
qubool keejiye.