Hasb-e-ma'mool aek taveel Gher Haaziree k baa'd apnee aek taaza tareen Ghazal k saath Haazir-e-Khidmat hoN ! ummed hai k Hasb-e-ma'mool karam farmaayeNge ! aur mujhe bhi aahista aahista , waqfe waqfe se shukriya adaa karne ka moqa deNge :D ;)
to lejeye !
::: Urdu V ::

::: Roman V ::
1.
mire paas paas aanaa , mujhe us ka woh bulaana
maiN kahaaN se DhoNRH laaoN mire dil ka woh zamaana ?

2.
mujhe bhoolna bhi chaaho, to kuchh is t^araH bhulaana
mujhe bhool bhool kar bhi, kabhi paas paas paana ! :smt010
3.
wo fareb-e-chashm-e-jaado , k rahaa na dil pe qaabo
kare meeThi meeThi baateN, ba-zubaan-e-shaai'raana :-17
4.
"koi mere dil se pochhe , tire teer-e-neem kash KAA"
k lage hai dil pe aa kar , ba-adaa-e-maHramaana ! :E
5.
tire chashm-e-naaz mujh ko , kaheN maar hi na Daale
ye adaa-e-paarsaana ! ye sharaab-e-dilbaraana ! :smt120
6.
bhare bazm ki nigaaheN mire saadgee TaToleN
haN ! shabaab-e-fitna-saamaaN ! mire hosh tak uRaana ! :D
7.
mira dil laho laho hai , to faqat^ isee liye hai
tira naam le adab se , mire baa'd ye zamaana !

8.
ye mataa'-e-jaavidaaN hai , woh chiraaGh-e-rahguzar hai
mire shaa'iree Haqeeqat , mire zindagee fasaana ! :smt083
9.
maiN kafan wafaa ka oRhe so-e-daar chal paRaa hoN
mire dosto ! guloN se , mira raasta sajaana ! :)
10.
mujhe yaad aaraha hai woh maqaam-e-shoq tera
woh jabeen-e-dil-figaaraaN, woh junoN ka aastaana ! :G
11.
yoN na mut^ribaan-e-dil se , tha kabhi chaman ye Khaalee
na surood-e-SubH-gaahee , na nawaa-e-aa'shiqaana !

12.
na woh garmiy-e-junoN hai , na woh Husn ki adaa hai
na woh raqS-e-maHsharaana , na woh chashm-e-saaHiraana

13.
na woh fan ki qadrdaanee , na woh ahl-e-dil ki meHfil
na woh Husn-e-shea'r gooee , na woh zauq-e-saami'aana


au ab maqta !


14.
na Zia se koi pochhe , pata kyaa hai us k ghar ka ;)
a'jab uski zindagee hai , na qafas na aashiyaana ! :smt120
.......................................................
to kyaa itnee taveel Ghazal par itnee taveel Gher Haaziree k baa'd bhi taveel taveel waqfoN se jawaab dene k baa'd bhi aap daad dene par aamaada haiN ?? :D
muntazir
Zia Baloch