kal hee a'zeezee Najm Hashmee ne pooch`aa keh kyaa maiN idh`ar Mall naheeN gayaa? aur agar gayaa to kyaa koyee naz^m yaa Ghazal naheeN huyee?
Mall to maiN yaqeena" jaataa rahaa hooN aur zabaan-e-Haal se yeh bh`ee kehtaa huwaa waapas aayaa hooN keh:
:Khoob-rooyoN se yaariyaaN nah gayeeN!: (Hasrat Mohani)
lekin whaaN kee she'ree sauGhaat pesh-e-Khidmat karte huwe Zaraa jh`ijh`ak rahaa th`aa keh shaayad aap ab tak :bore: ho gaYe hoN ge. lekin Najm ne ba-Z^id kahaa keh maiN woh taazah naz^m Z^aroor sunaa,ooN jo do din qabl hee huyee hai. woh naz^m likh` rahaa hooN. agar aap ko pasand nah aaYe to apnee tanqeed kaa ruKh Najm kee jaanib rakh`iYe gaa kyoN.k unhoN ne hee mujh` ko aap par yeh aazmaa,ish musallat^karne kee tarGheeb dee hai!
ab naz^m suniYe aur apnee raaYe likh` kar shukriyah kaa mauqa' i'naayat keejiYe!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
=============================== Behlaawe!
SubH-e-Gham ne oRhee hai ph`ir se shaam-e-tanhaayee
meree be-kasee yaa Rab! mujh` ko yeh kahaaN laayee?
yaad meN kisee kee maiN ho gayaa hooN saudaayee
dard hai keh seeneh meN SubH-o-shaam paltaa hai!
sehmee sehmee woh naz^reN, sarsaraatee woh chilman!
kaaNpte huwe woh lab, do diloN kee woh dh`aRkan!
rezah-rezah woh chehre, taar-taar woh daaman!
koyee Khwaab meN aa kar dil miraa masaltaa hai!
ab kahaaN rahe woh din, ab kahaaN woh raateN haiN!
us ko yaad kar lenaa Khwaab kee see baateN haiN!
a'ashiqee kee baazee meN roz-o-shab kee maateN haiN!
HasratoN kaa ik t^oofaaN rooH meN ubaltaa hai!
shaam-e-aarzoo hai aur aaftaab Dhaltaa hai!
dard hai keh seeneh meN SubH-o-shaam paltaa hai!
koyee Khwaab meN aa kar dil miraa masaltaa hai!
raNg roo-e-hastee kaa dam-ba-dam badaltaa hai!
HasratoN kaa ik t^oofaaN rooH meN ubaltaa hai hai!
ik chiraaGh bujh`taa hai, ik chiraaGh jaltaa hai
lekin aisee yaadoN se dil kahaaN behaltaa hai!
============================= Sarwar A. Raz "Sarwar"
Attachments
nz-belaawe_cr.gif (20.27 KiB) Viewed 171 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Mon Sep 05, 2005 1:19 pm, edited 1 time in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
haaN SaaHeb! yeh aap kee hee mehrbaanee th`ee jo naz^m ho gayee. to ab yeh aap ke hee naam hai! paZeeraayee ke liye ek lafz^ :shukriyah: kaa hai jo is qadar ghisaa piTaa hai keh kyaa kahiYe. lekin aur koyee chaarah bh`ee naheeN hai. so leejiYe "SHUKRIYAH"!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
aap kaa mufaSSil tabSirah dekh` kar dil bohat Khush huwaa. ab naubat yeh aa gayee hai keh beshtar dost meree taKhleeqaat se baalaa hee baalaa guZar jaate haiN. koyee kuch` likh` detaa hai to achh`aa lagtaa hai! dilee shukriyah qubool keejiYe.
aaj kal sab hee Urdu meHfileN sust chal rahee haiN. mujh` ko i'lm naheeN keh aisaa kyoN hai. albattah sab Urdu-doston se guZaarish hai keh woh is jaanib tavajjuh deN aur Urdu kaa naam baland kareN.
Nazir SaaHeb bh`ee idh`ar kuch` dinoN se Khaamosh haiN. un kee waapasee kaa intiz^aar hai.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
aajkal aap kee nazmeN paRhne ka mauqa mil raha hai aur hamare zehn bhi khul rahe heN keh shairee meN kaifiyaat ka bayaan yooN bhi hota hai jo bara-e-raast qalb par acar kare.
aap kee yeh nazm bhi aap ke guzishtaa deegar manZ^oomaat kee taraH se pasand aayii.
shaam-e-aarzoo hai aur aaftaab Dhaltaa hai!
dard hai keh seeneh meN SubH-o-shaam paltaa hai!
koyee Khwaab meN aa kar dil miraa masaltaa hai!
raNg roo-e-hastee kaa dam-ba-dam badaltaa hai!
HasratoN kaa ik t^oofaaN rooH meN ubaltaa hai hai!
ik chiraaGh bujh`taa hai, ik chiraaGh jaltaa hai
lekin aisee yaadoN se dil kahaaN behaltaa hai!
bohat hee khoobsoorat bohat hee a'alah.
meree janib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
talib-e-dua
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
naz^m pasand karne aur daad dene ke liYe mamnoon hooN. ab maiN makaan tabdeel kar ke is t^ilismaatee Mall se door jaa rahaa hooN. kyaa Khabar keh wahaaN aisaa koyee mall hai bh`ee keh naheeN! dekh`iYe kyaa hotaa hai.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa