mazmoon paRhne se qabl aap ko chand baateN bataana zaroori samajhta hoN.
sab se pehli baat to yeh k maiN khud ko hargiz is qaabil nahiN samajhta k Hazrat-e-iqbal k afkaar par raushnii daal sakoN, is leye mumkin hai k aap ko is mazmoon ko paRh kar tishnagee ka iHsaas ho.
choNke maiN koi mazmoon nigaar nahiN , is leye maHaal nahiN k aap ko mire usloob-e-bayaaN maiN jaa-ba-jaa khaamiyaaN nazar aayeN
subHan Allah, kia baat hai, bahot zabardast mazmoon qalam_band kiyaa hai aapne. ek ek baat aapkii baja hai...Iqbaal ke nazdeek ishq bas ishq e Haqeeqi aur ishq e Rasool [s.a.w.s.] hii hai. paRh kar baRa lutf aayaa bil-Khusoos faarsii ke ash'aar. aapke pas-maanda mazmoon ka intezaar rahe ga mujhe shiddat se. shukria!

w/salaam
MoHtarami Hashmat SaaHib, aap ki izzat-afzaai keleye maiN aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN. aap ne jis firakh-dili se meri HoSla-afzaai ki hai , us ka shukriya adaa karne keleye mere paas alfaaz kam paR rahe haiN. bahut bahut shukriya.
mazmoon-e-baalaa maiN choNke Farsi asha'aar ka Hawaala diyaa gayaa hai , is leye mumkin hai , bahut se aHbaab Farsi zuban se na-waaqiffiyyat ki waja se lutf-andoz na hosakeN :D . is leye mazkora asha'aar ka tarjuma paish karta hoN :D .
......................................Asha'aar ka tarjuma...................................
MokhliS : Zia Baloch
aek taveel ghair Haaziree k baa'd aap ki khidmat maiN "Asha'aar-e-mazkora aur un ka tarjuma" ki Qist # 3 lekar Haazir howaa hoN :D .
"Hoi taakheer to kuch baa'ice-e-taakheer bhi thaa" !
to lejeye Qist # 3 Haazir hai !
mokhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne