




Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
sirf 1-2 alfaaz ki adaaigii /talaffuz ka farq hay, warnabaqi to hameN bohatpasand aaee.
ham nishan-dahii to kar rahay haiN, lekin ye ummeed bhi hay keh aap mehsoos naheeN kareNgay.
1=pyaarii see chhez kyuuN( naa)==dar asl ye naa (noon alif zabar naa)naheeN, bal-k na(noon zabar na)ke wazn par hota hay. is se apke misr,e ka wazn gir raha hay
2=zehn-o-jigar meiN bhar leiN tere (lamas) ka sawera
(lamas)==saheeh lafz =lam,s= hay
(lamas) ka sawera==ye tarkeeb bhi hameiN samajh naheeN aasakii, wazahat farmaa deiN to inayat hogii
majmooee taur pe apka kalaam bohatpasand aaya
daad qubool kijiye
Sara jiAlmas saahib,
salaam.
is mehfil ke liye apka ye anmol tohfa pasand aaya.
bohat khoob! husn o ada se aapne bohat haseen adayein maange hain .
ghazal ke sabhi ahsaar bohat pasand aaye, paRhte hue hum bhi usi manzar mein kho se gaye. dhair saari daad qubool keejiye.
aapke aur bhi kalaam ka intezar rahega.
sara
Steve Almas wrote:sirf 1-2 alfaaz ki adaaigii /talaffuz ka farq hay, warnabaqi to hameN bohatpasand aaee.
ham nishan-dahii to kar rahay haiN, lekin ye ummeed bhi hay keh aap mehsoos naheeN kareNgay.
1=pyaarii see chhez kyuuN( naa)==dar asl ye naa (noon alif zabar naa)naheeN, bal-k na(noon zabar na)ke wazn par hota hay. is se apke misr,e ka wazn gir raha hay
2=zehn-o-jigar meiN bhar leiN tere (lamas) ka sawera
(lamas)==saheeh lafz =lam,s= hay
(lamas) ka sawera==ye tarkeeb bhi hameiN samajh naheeN aasakii, wazahat farmaa deiN to inayat hogii
majmooee taur pe apka kalaam bohatpasand aaya
daad qubool kijiye
Najma Ji
Aadab-o-Niaz
Itni purkhuloos Daad ka Shukriya qabool kijiye.
Lam,s ko mene Lam,s hi likha he Lamas nahein, doosray Lam,s ka sawera uss roshni ki taraf ishara he jo kisi ke pass hone aour chooney se jism mein khilti he, to isse zara uss andaz se dekhiye.
Daad ka phir se shukriya