Ghazal: "naGhma-e-ishq hai ..."

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Ghazal: "naGhma-e-ishq hai ..."

Post by irfan abid »

aadaab, dosto!

bahut arsa huaa, ek tarahii misra nazar se guzraa thaa: raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane vaalaa. yaad nahiiN ki misra kis kaa hai, lekin hai Khuub! maiN ne is tarah par kuch ash.aar kahe the lekin Ghazal mukammal nahiiN kar sakaa thaa. haal hii meN is naa.mukammal taKhleeq par nigaah paRii to sochaa ki ise takmeel tak puNhchaa duuN. to leejiye, Ghazal pesh hai, aap se izhaar-e-Khayaal kii guzaarish ke saath!

Ghazal

naGhma-e-ishq hai jis saaz pe gaane vaalaa*
us meN ik sur bhii nahiiN, aah! sunaane vaalaa

tujh ko dekhaa hai to phir terii qasam, us ke baad
koii chahraa na milaa dil ko lubhaane vaalaa

dasht-e-ulfat ke musaafir! ye tujhe yaad rahe
ek tukRaa bhii nahiiN abr kaa chhaane vaalaa!

aah-o-giriyaa meN shareek aur miraa kaun hai ab
:raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane vaalaa:

hichkiyaaN maut kaa paiGhaam haiN, ai dil! yaa phir
yaad kartaa hai mujhe koii bhulaane vaalaa!?

is tarah manzil-e-maqsood kahaaN miltii hai
ham.safar hai na koii raah dikhaane vaalaa

kabhii us kaa bhii nasheman thaa isii gulshan meN
kis tarah bhuul gayaa aag lagaane vaalaa?

tab tak insaan yahaaN :paak: nahiiN ho saktaa
jab tak apnaaye na har aib zamaane vaalaa!

ek tuufaan zaruurii hai ab is aalam meN
nau-e-insaan ko Ghaflat se jagaane vaalaa

yaa to naadaan hai yaa saahib-e-hikmat :Abid:
shahr-e-pur.aish kii tasveer banaane vaalaa

niyaazmand,
Irfan :Abid:

* muhabbat ke liye kuchh Khaas dil maKhsuus hote haiN
ye vo naGhma hai jo har saaz par gaayaa nahiiN jaataa (Makhmoor Dehlvi)
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

waah Irfan SaaHib waah ! kyaa baat hai !
aek aek shea'r dil maiN utartaa chalaa gayaa . kyaa taKhleeq hai SaaHib ! mazaa aagaya wallah ! waah waah ! Ghazal baar baar paRhee maiN ne ! bahut Khoob ! janaab ! aap ka kalaam to wese bhi Ghazab ka hotaa hai aur ye to janaab Ghazab hi Ghazab hai !
DheroN daad qabool kejeye is kaamyaab taKhleeq par !
shukriya

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

janab irfanabid sahib

adaab

apki ye tarahii ghazal bohat khoob hay. pasand aaee

daad qubool kijiye

khair andesh

najma

:-)
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Irfan SaaHeb:aadaab!

ek achh`ee Ghazal i'naayat karne ke liYe daad aur shukriyah qubool keejiYe. radeef ne aap kaa :qaafiya qadre taNg kar diyaa hai:! Ghazal aap ke u'moomee ma'yaar se kuch` kam naz^ar aayee lekin aisaa to hotaa rehtaa hai.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

mukarramee Zia Sb, aadaab!

huzuur, maiN to bas yahii arz karuuNgaa ki navaazish, karam, shukriya, mahrbaanii! :-)

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

najma sahiba, aadaab!

Ghazal kii pazeeraaii ke liye ahsaanmand huuN. meraa pur.Khuluus shukriya qubuul farmaaiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Re: Ghazal: "naGhma-e-ishq hai ..."

Post by naheedv »

Irfan saahab,
aadaab,

aap kee ye tarahi ghazal paRhee tau yaad aayaa ke iss tarah par maiN ne bhee koshish kee thee aur jahaaN tak mujhe yaad paRtaa hai ye misra.e.tarah janaab Bashir Badr saahab kaa hai (I might be wrong).

aap kee ghazal pasaNd aayee hai. aap ne buhat khoobi se saNgeen haqeeqat vaazeh karne kee koshish kee hai.

ye aakhiree 3 she'r tau vaqa'yee eHsaas ko jagaane waale haiN:

tab tak insaan yahaaN :paak: nahiiN ho saktaa
jab tak apnaaye na har aib zamaane vaalaa!

ek tuufaan zaruurii hai ab is aalam meN
nau-e-insaan ko Ghaflat se jagaane vaalaa

yaa to naadaan hai yaa saahib-e-hikmat :Abid:
shahr-e-pur.aish kii tasveer banaane vaalaa


iss umdah kaavish par daad qubool kijiye!

jaate jaate aik maze kaa qissah yaad aa geyaa hai, lagte haathoN sunaaye detee hooN :grin:

aap ne jo Makhmoor Dehlvi kaa she'r likhaa hai tau iss se yaad aayaa ke jab maiN 6, 7 saal kee thee(gau ke iss baat ko zeyaadah arsah nahi huvaa :wink: ) tau jaane kaise mujhey ye she'r aur aik aur she'r:
chaaNdani chaaNd se hoti hai sitaaroN se naheeN
muhabbat aik se hoti hai hazaaroN se naheeN

zubaani yaad ho gaye aur maiN Quran kaa sabq paRhne ke ba'd in kaa sabq bhee khoob sar hilaa kar jhoom jhoom kar paRhaa kartee thee.
aik din kyaa huvaa ke maiN apnee moj meN aaNkheN baNd kiye in 2 she'roN ko khoob ooNchi ooNchi paRh rahee thee ke Abba ji (marhoom) ne sun liyaa(voh uss vaqt ghusse meN bhee thay), pehel tau voh samjhe naheeN ke maiN kyaa paRh/gaa rahee hoN aur samajhne ke liye voh mere sar par aa khaRe huve aur jab unheN samajh aayaa tau unhoN ne meree voh claas lee ke aaj tak voh manzar yaad kar ke meraa haath be.ikhteyaar mere gaal ko chhoo letaa hai :lol: :oops:


bahar. haal Makhmoor Dehlvi kaa she'r paRhne ke ba'd ye baat yaad aa gayee tau bataa dee.

ghazal par aik baar phir daad haazir hai.

mukhliS
Naheed
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

muhtaram Sarwar Sb, aadaab!

javaab meN taaKheer kii maazrat, aur Ghazal kii pazeeraaii kaa shukriya! jaisaa aap ne farmaayaa, fikr-o-bayaan kaa maeyaar badaltaa rahtaa hai. koshish karuuNgaa ki aaindah kuchh bahtar pesh kar sakuuN.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Naheed sahiba, aadaab!

Ghazal par umuumii aur chand ash.aar par Khusuusii daad kaa shukriya!


aap kee ye tarahi ghazal paRhee tau yaad aayaa ke iss tarah par maiN ne bhee koshish kee thee aur jahaaN tak mujhe yaad paRtaa hai ye misra.e.tarah janaab Bashir Badr saahab kaa hai (I might be wrong).


aise ittifaaqaat bahut kam hote haiN, lekin abhii do ek roz qabl Dr. Wazir Agha kii ek Ghazal par nigaah paRii aur ye misra us meN nazar aa gayaa!


jaate jaate aik maze kaa qissah yaad aa geyaa hai, lagte haathoN sunaaye detee hooN :grin:


aap kaa qissa baRaa mazedaar hai, go ki is kaa end zaraa dardnaak thaa! :-)


aap ne jo Makhmoor Dehlvi kaa she'r likhaa hai tau iss se yaad aayaa ke jab maiN 6, 7 saal kee thee(gau ke iss baat ko zeyaadah arsah nahi huvaa )


You want me to believe that!? :-)


.. tau jaane kaise mujhey ye she'r aur aik aur she'r:

chaaNdani chaaNd se hoti hai sitaaroN se naheeN
muhabbat aik se hoti hai hazaaroN se naheeN

zubaani yaad ho gaye ...


R K Sb Maehfil-e-SuKhan meN is sher ke misra-e-saanii kii Khaamii (aur aap ke Abba huzuur kii naaraazgii kii vajh!) kii jaanib ishaaraa kar hii chuke haiN. maiN ne dar-asl is sher kii jo shakl sunii hai us meN duusraa misra bar.vazn hai aur yuuN hai: pyaar bhii ek se hotaa hai hazaaroN se nahiiN. sher kii ye shakl ek filmii gaane kaa mukhRaa bhii hai. gaanaa Kishore Kumar aur Asha Bhosle ne gaayaa hai, baaqii tafseelaat kaa mujhe ilm nahiiN.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

sara sahiba, aadaab arz hai!

izzat.afzaaii ke liye mamnuun huuN. meraa pur.Khuluus shukriya quubul farmaaiye! ummeed hai mizaaj baKhair hoNge.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Post Reply