Tarhi Ghazal tum se shayed koi sawaal na ho

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Tarhi Ghazal tum se shayed koi sawaal na ho

Post by Mahtab Qadr »

chahe chahat pari jamaal naho
phir bhi uski koi misaal naho

sab ko hai tootna bikharjaaana
koi shae hai jisay zawaal na ho?

vo khyaaloN mai kab se haiN meray
unko shayed yahi khyaal na ho

un se milte raho magar itnaa
door hoN to bahut malaal na ho

mahwe hairat ho kisllye mahtab
mehrbaani bhi unki chaal na ho

Mahtab Qadr
Last edited by Mahtab Qadr on Sun Jan 16, 2005 10:17 pm, edited 2 times in total.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Tarhi Ghazal tum se shayed koi sawaal na ho

Post by Shummu »

Mahtab Qadr wrote:
sab ko hai tootna bikharjaaana
koi shae hai jisay zawaal na ho?

vo khyaaloN mai kab se haiN meray
unko shayed yahi khyaal na ho

un se milte raho magar itnaa
door ho to bahut malaal na ho

wah..bahut khoob Sarfaraz jee..ye dekh kar bahut accha lag raha hai ke aajkal khoob aamad ho rahi hai...well done and keep it up :D

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Mahtaab saaHib,

ummed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

aapkii Ghazaal paRhii aur baRa lutf aayaa...ek ek she'r par daad aur sirf daad nikalti gai...waah, waah! subHaan Allah.

haaN shummu, aamad aamad hai...KHoob taaRaa...Sarfaraz saaHib kah Daaliye ash'aar is se pahle ki JAAMAD ho jaaye :wink: :lol: :lol: :lol: :lol:

mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye:


sabko hai TooTnaa, bikhar jaanaa
koii shai hai jise zawaal na ho?


waah kia baat kahii hai janaab...kise zawaal nahiiN? sach much sach baat hai. waah...marHaba!

unse milte raho, magar itnaa
door hoN, to bahut malaal na ho!


waah janaab kia pre-meditated moHabbat hai janaab e shaa'ir saaHib kii...vaise, nusKha achchha hai...shukria sujhaao ka :wink: :lol:

Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada!

faqat naa_cheez,

Hashmat
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

tarmeem

Post by Mahtab Qadr »

shukria Shummu ji aur Hashmat sahib ..aapki sitayesh yaqeenan mere lye qabil e qadr hai. aakhri sher ko tarmeem kardia hai maine balke maqta banadia hai.
shukria
MQ
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut achchi ghazal kahii hei aap ne

Post by Abdullah Nazir »


Muhtarami
Mehtaab Qadr Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aapki TaraHi ghazal be had pasand aayi. Izhaar-e-raaye meiN takheer ke liye maAzirat-khwaah hooN jiske asbaab aapko maAloom heiN.

Sirf aik sheAr meiN mujhe ruknaa paRaa wo yeh hei:

"un se milte raho magar itnaa
door ho to bahut malaal na ho "

Un se milte raho magar itnaa (is sharT meiN zameer un kaa isteAmaal houaa doosre misreA meiN "door ho" kii bajaye "door houN" ka taqaazah karrahaa hei. Housaktaa hei ke aap ke zehn meiN koiee mukhtalif baat hou. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: Tarhi Ghazal tum se shayed koi sawaal na ho

Post by Star Mind »

Mahtab Qadr wrote:chahe chahat pari jamaal naho
phir bhi uski koi misaal naho

sab ko hai tootna bikharjaaana
koi shae hai jisay zawaal na ho?

vo khyaaloN mai kab se haiN meray
unko shayed yahi khyaal na ho

un se milte raho magar itnaa
door ho to bahut malaal na ho

mahwe hairat ho kisllye mahtab
mehrbaani bhi unki chaal na ho

Mahtab Qadr
Assalam-o-a'laikum,

moHtarami M.Q SaaHib,
janaab aap ki ye kaavish mujhe nihaayat hi pasand aayee :D .
tamaam asha'aar hi dil-kash haiN, maiN tu jhoomta reh gayaa :wink: .
meri jaanib se DheeroN daad qabool kejeye. shukriya

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Bahut haseen ghazal pesh farmayee hai aap ne Mahtab Sahab. Meri janib se dili mubarkbaad aur beshumar daad.O.tahseen qubool farmaiyega.

Mukhlis,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Post Reply