Page 1 of 1
Ghazal dar zameen-e-Faiz - Tanwir Phool
Posted: Sat Jul 20, 2013 4:41 am
by Tanwir Phool
Re: Ghazal dar zameen-e-Faiz - Tanwir Phool
Posted: Sun Jul 21, 2013 12:28 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
MoHtaram Tanwir Phool SaaHib Adaab o tasleemaat,
Mizaaj bakhaer aek arsah bad HaaZire khidmat huwaa hoN faiZ AHmad FaiZ kee dilpasand Zameen meN aap kee Ghazal bahisht e nazar huee kiya kehne bayaN kee rangeenee aor salasat apnee micaal aap hai aap kee shaaeiree ham aSar usloobe sher aor usloob tanqeed ke acar se aazaad aor beneyaaz hai yahee wajah hai keh kalaam meN shaaeiree ke tamaam rang khuwaahishe takmeel se nikal kar aek Haq shanaas fard kee aawaaz ban gae haiN,
is dilkash aor purkashish ghazal par meree dilee daad o mubarak baad qubool keejiye, =D>
Wassalam Muzaffar Ahmad Muzaffar.
Re: Ghazal dar zameen-e-Faiz - Tanwir Phool
Posted: Sun Jul 21, 2013 8:17 pm
by Tanwir Phool
Janaab Muzaffar Sb. , kaafi muddat ba'ad aap ki taHreer
daikh kar Khushi hui. Ghazal pasand farmaanay kaa bahut
bahut Shukriyaa , tah-e-dil se mamnoon hooN.Urdubandhan
ko qaa'im rakhnay aur sajaanay maiN Bhai Bashwar Sb. kaa
saath detay rahi'ey.Sab ko Salaam kahi'ey aur du'aaoN maiN
yaad rakhi'ey
