aap kee Zarrah nawaazee ! dil miraa ghaa'il huwaa
Posted: Sun Aug 28, 2011 4:04 am
ek tazaah kalaam ke saath Khayaal kaa aihl e bazm ko salaam
Arz se Khidmat hai
aap kee Zarrah nawaazee ! dil miraa ghaa'il huwaa
aap kee nazar e Enaayat kaa bhee maiN qaa'il huwaa
raNjisheN baRhne lageeN tafreeq aapas meN hu'ee
dostoN ke darmiyaaN jab bhee Adoo Haa'il huwaa
aitbaar aisaa uThaa mashkook rishte ho ga'ey
bhaa'ee bhaa'ee se judaa hone ko hai maa'il huwaa
kibr kee ooNchee Emaarat aaj hai girne lagee
waqt ne kaayaa palaT dee baadshah saa'il huwaa
jisqadar baRhtee ga'eeN unkee sitam ZareefiyaaN
usqadar meraa "Khayaal" dard e dil zaa'il huwaa
Ismail Ajaz Khayaal