Page 1 of 1

zindagee meN baat yehee fikr o fan kee hai

Posted: Wed Aug 24, 2011 6:50 pm
by ismail ajaz
Khayaal SaaHeb e ilm SaaHeb e kamaal ,SaaHeb e aql o daanish aiHaab e se muKhaatib ba'Ad az aadaab o taseelaamt ke Arz kiya hai

zindagee meN baat yehee fikr o fan kee hai
keh ulfatoN kee zindagee hee bas phaban kee hai

mat dekh mujhe nafratoN se Saaheb e chaman
Khushboo mire SaHen meN bhee tere chaman kee hai

ooNchee uRaaneN maiN uRooN mujh meN hai HauSlah
uRtaa naheeN yeh baat bhee mere chalan kee hai

us se kaho keh turshi'ey guftaar chhoR de
keh talKhee e guloo meN samaa'At chubhan kee hai

hai jisqadar firaaq meN pursoz zindagee
utnee Haseen zeest bhee hotee milan kee hai

dil jalaa kar paa'ee hai jo maiN ne raushnee
sarmaayaa e Hayaat wohee jaan o tan kee hai

har Haal meN izhaar e tashakkur ke waaste
tarz e Salaat e zindagee rooH o badan kee hai

saathee tow TooT jaa'ey par TooTe naheeN uSool
kyaa SaaHeb e Khirad yeh baat fehm o fan kee hai ?

tum Zabt jitnaa bhee karo yeh dard e dil "Khayaal"
chehre se hotee hai AyaaN Haalat jo mann kee hai

Ismail Ajaz Khayaal