Page 1 of 1

zameen taNg ho ga'ee , aasmaaN biphar gayaa

Posted: Sun Aug 21, 2011 4:01 am
by ismail ajaz
ek taazah kalaam ke saath Khayaal aihl e fikr o fan aihl e daanish aihl e Khirad aihl e eemaan aihl e ilm se muKhaatib ba'Ad az aadaab o tasleemaat ke Arz e Khidmat hai

zameen taNg ho ga'ee , aasmaaN biphar gayaa
rawaaN Hayaat kaa safar , maut par Thahar gayaa

bichhaR gayaa woh Khud se aur apnee hee talaash meN
bemahaar uThaa'ey muNh jab bhee jo jidhar gayaa

ay kaash merhbaan ko'ee raastah dikhaa'ey abb
keh SaaHeb e Khirad ko hai junoon le kidhar gayaa ?

taveel daastaaN bataa sunaa'uN kistaraH tujhe ?
qaleel waqt meN bayaan meraa muKhtaSar gayaa

" aHsan e taqveem " ke ay paikar e insaaN bataa
kyuN aadamee Hayewaaniyat kee Had se hai guzar gayaa ?

lagaa'ee maiN ne yeh Sadaa fikr o fan kee hai "Khayaal"
agar sha'oor aagahee saa dil meN hai utar gayaa

Ismail Ajaz Khayaal