muHabbat! ph`ir us kaa bayaaN! Allah, Allah!
Posted: Tue Mar 29, 2005 6:55 am
yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!
ek Ghazal le kar HaaZ^ir huwaa hooN. aap meN se kuch` eHbaab ne yeh Ghazal shaayad kaheeN aur dekh`ee ho gee. lekin is bazm ke liYe nayee hai! (kam se kam meraa yehee Khayaal hai!) aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah peshagee qubool farmaaYeN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================
Ghazal:
muHabbat! ph`ir us kaa bayaaN! Allah Allah!
zameeN ho gayee aasmaaN, Allh Allah!
huyee aarzoo ph`ir javaaN, Allah Allah!
koyee ho gaYaa mehrbaaN, Allah Allah!
sar-e-t^oor-e-i'rfaaN yeh t^oofaan-e-Hairat?
Hijaabaat-e-kaun-o-makaaN, Allah Allah!
bh`alaa kis t^araH miltee manzil Khudee kee?
Sanam-Khaanah-e-een-o-aaN, Allah Allah!
nah meraa gulistaaN, na meree Khudaayee
magar hai Gham-e-aashiyaaN, Allah Allah!
use Dh`hooNDte Dh`hooNDte kh`o gayaa maiN
saraab-e-yaqeen-o-gumaaN, Allah Allah!
Khudaa ban gayee meree yeh Khud-shanaasee
huwaa jab maiN Khud per a'yaaN, Allah Allah!
magar zindah hai chaar-o-naachaar "Sarwar"
taqaaZ^aaYe-daur-e-jahaaN, Allah Allah!
---------------