Page 1 of 1

TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Sun Jan 09, 2011 4:15 pm
by jawaid badauni
Dosto! Aadaab

Guzishta dou ya teen mahine se maiN ne
Ghazal nahiN kahee hai. Aaj Urdu Bandhan waloN
ka Khat mauSool huuwa aur unhoN ne miSra
bhi tajweez kiya so kuch sher kah liye mashq jaree
rakhne ke liye. Main bahut din se Urdu ki anjumanoN
se bhi Gair Hazir hooN. Kuch zaatee maSroofiyaat
haail theeN jin meN beTee ki shaadi bhi shamil hai. Mera
sher kahne ka apna nadaz hai jise main badal nahiN
sakta. Ummid hai in sada ashaar ko aap pasaNd
farmayeNge.

KhulooSkaar,

Jawaid Badauni
---------------------------------------------

Khule meN sone ko talaab meN nahane ko
Machal raha hai ye dil kub se gaaooN jaane ko

Mujhe yaqeeN hai jaleNge zaroor uske haath
Jo ghar se nikla hai auroN ka ghar jalaane ko

HameN ghamoN ki kaRee dhup meN jhulasne do
HaTa lo apni inaayat ke shamyaane ko

Ye waqt-e sham ye tishna labee ye Khaali jaam
Hamaari haai lage gee sharaab khane ko

Chale bhi aao kisee din na lauTne ke liye
Samajh ke apna, hamaare Gareeb Khane ko

Woh jismeN bante haiN har pal tabaah kun hathyaar
Khuda tabaah kare aise kaarKhaane ko

Halal rizq bhi ab tou Haram hai mujh per
Mira paRosee tarasta hai daane daane ko

Miree Nazar thee kisee ki nagaah per :Jawaid:
Badal badal ke sunana paRa fasane ko
-------------------------------------------

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Sun Jan 09, 2011 5:06 pm
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

Sab se pehle aapke bete ki shaadi par meri mubarakbaad qubool farmayiye.

Mujhe yaqeeN hai jaleNge zaroor uske haath
Jo ghar se nikla hai auroN ka ghar jalaane ko

:mash: bohat khubsoorat ghazal apne enayat ki hai. Ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai.
meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Mon Jan 10, 2011 7:39 pm
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

Sab se pehle aapke bete ki shaadi par meri mubarakbaad qubool farmayiye.

Mujhe yaqeeN hai jaleNge zaroor uske haath
Jo ghar se nikla hai auroN ka ghar jalaane ko

:mash: bohat khubsoorat ghazal apne enayat ki hai. Ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai.
meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Azeezi Salem Bashwar Saahab, tasleemaat

Bohat bohat shukriya Ghazal ki pazeeraayee ke liye aur mubarakbaad ke liey bhi. Urdu ki saaree maHafil hi ab baari baari veeran hoti ja rahee haiN. Phir bhi aap log apna waqt dete hain yeh amr baaYiSe sataiish hai.

Khair andesh,
Jawaid

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Wed Jan 12, 2011 12:54 pm
by sbashwar
Urdu ki saaree maHafil hi ab baari baari veeran hoti ja rahee haiN. Phir bhi aap log apna waqt dete hain yeh amr baaYiSe sataiish hai.
MoHtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

Himmat afzai ka shukria. DuaouN mein yaad rakhiyega.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Thu Jan 13, 2011 9:07 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib :salaam2: :-)

Aek muddat ba'ad aap ko meHfil meN dekhaa tabia'at khush ho gaee. maSroofiyat ne aaj kal sabhee ko apne aahanee baazuo'ooN meN jakaR rakhaa hai. khaer kuch bhee ho aap kee tashreef aawaree ke liye aor is khubSurat Ghazal jo bilashubah dilpazeer aor muraSSa' hai. dil kee gehraai'yooN se daad aor mubarak baad qubool keejiye. saath hee beTe kee shaadee kee mubarak baad bhee qubool keejiye khuda waand aap jumlah afraad-e-khaanah ko apnee amaan meN rakhee. :ameen:

Khule meN sone ko talaab meN nahane ko
Machal raha hai ye dil kub se gaaooN jaane ko

Waah!

Mujhe yaqeeN hai jaleNge zaroor uske haath
Jo ghar se nikla hai auroN ka ghar jalaane ko

Kiya baat hai Waah Waah! bohot khoob! =D>

HameN ghamoN ki kaRee dhup meN jhulasne do
HaTa lo apni inaayat ke shamyaane ko

Kiya baat hai Waah Waah! =D>

Ye waqt-e sham ye tishna labee ye Khaali jaam
Hamaari haai lage gee sharaab khane ko

bohot khoob Waah Waah! =D>

Chale bhi aao kisee din na lauTne ke liye
Samajh ke apna, hamaare Gareeb Khane ko

Kiya baat hai Waah! =D>

Woh jismeN bante haiN har pal tabaah kun hathyaar
Khuda tabaah kare aise kaarKhaane ko

Bohot khoob Waah Waah Waah!!!! =D>

Halal rizq bhi ab tou Haram hai mujh per
Mira paRosee tarasta hai daane daane ko

Kiya baat hai Waah Waah! =D>

Miree Nazar thee kisee ki nagaah per :Jawaid:
Badal badal ke sunana paRa fasane ko

Bohot khoob Waah Waah! =D>

kalaam meN e'hd-e-HaaZir ke maasaai'l aor un kee wajah se lamHah bah lamHah baRhtee huee be siyaasee-o-samaajee raahrawee kalaam ka maoZo' hai. masaai'l-e-Hayaaat se bach kar nikal jana aap ke nazdeek paspaaee-o-shikast ke mutaradif hai. aap ne aek faateH aor zafarmand saalaar kee tarH masaai'il ka nah Sirf aaHaatah kiya hai balkeh gaahe gaahe us ka Hal bhee she'er-o-miSra' meN baRe aHsan peraaya meN ada kar diya hai. Allah kare Zaor-e-qalam aor zeyaadah!

tashreef laate rahiye aor apne khubSurat kalam se Zameer-e-Aadam ko bedaar karte rahiye.

Wassalam
Muzaffar AHmad

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Fri Jan 14, 2011 7:55 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib :salaam2: :-)

Azeezi wa moHibbee Muzaffar Saahab, aadaab

Apki maSroofiyaat ne aap ko hum se chheen liya tha aur ab maiN bhi idhar kuch maSroof raha. Isee liye forum se t'aweel Ghiar Haziree huuwee. Yeh ghazal bhi mahinoN baad kahi hai jo mere yahaN kum hi hota hai. Mujhe malum tha Ghazal aap ko pasand aayegee aur aap apne giraNqadr kalmat se nawazeNge. Bohat bohat shukriya. Meri bohat himmat afzaaiee huuwe hai.

Aap se mera iltemaas hai kuch na kuch rabt qaiim rakhiyega forum ke zareeye bhi aur zati mailbox per bhee. Kum se kuch to raah.o.rabt rahe dou chaahne waloN meN jab ke donoN Khidmatgaaraan e Urdu haiN aur moHibbaan e Urdu bhee. .

Khush raheN!

MukHliS,

Jawaid Badauni

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Mon Jan 17, 2011 1:04 pm
by Nayeem Khan
Murassa ghazal hai. Daad qubool kijiye.

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Mon Jan 17, 2011 4:43 pm
by sfaseehrabbani
محترم جاوید بدایونی صاحب!
السلام علیکم!

ایک بہت دلکش اور دلفریب غزل پر میری طرف سے بہت زیادہ داد اور مبارکباد قبول کیجیے۔

مخلص
شاہین فصیح ربانی
[/b]

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Tue Jan 18, 2011 4:00 am
by syed ziauddin naeem
Janbb muhtaram Badayuni sb...salam

Pehli bar aap ki ghazal daikhne ki saadat hasil huvi.Poori ghazal bata rahi hai k janab iss maidan k shahsawaron main se hain .Matla hi ghazab ki kashish aur tanawo ka hamil hai.
Halal rizq bhi ab tow haram hai mujh per
mira parosi tarasta hai dane dane ko ......wah kiya eeman afroz aur insaniat nawaz sher se nawaza aap ne .
aap k liye bahut si duaoun k sath

Talib e dua .
Syed Ziauddin Naeem.

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Sat Jan 22, 2011 6:34 am
by jawaid badauni
Nayeem Khan wrote:Murassa ghazal hai. Daad qubool kijiye.

Nayeem Khan Saahab

Bohat bohat shukriya

Jawaid

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Sat Jan 22, 2011 6:36 am
by jawaid badauni
sfaseehrabbani wrote:
محترم جاوید بدایونی صاحب!
السلام علیکم!

ایک بہت دلکش اور دلفریب غزل پر میری طرف سے بہت زیادہ داد اور مبارکباد قبول کیجیے۔

مخلص
شاہین فصیح ربانی
[/b]

MoHtarmee Shaheen FaSeeH Rabbani SaaHab
aadaab

Aap ki daad himmat afazaayee ka sabab bani. BeHud mamnoon hooN.

MuKhliS

Jawiad Badauni

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Sat Jan 22, 2011 6:39 am
by jawaid badauni
syed ziauddin naeem wrote:Janbb muhtaram Badayuni sb...salam

Pehli bar aap ki ghazal daikhne ki saadat hasil huvi.Poori ghazal bata rahi hai k janab iss maidan k shahsawaron main se hain .Matla hi ghazab ki kashish aur tanawo ka hamil hai.
Halal rizq bhi ab tow haram hai mujh per
mira parosi tarasta hai dane dane ko ......wah kiya eeman afroz aur insaniat nawaz sher se nawaza aap ne .
aap k liye bahut si duaoun k sath

Talib e dua .
Syed Ziauddin Naeem.

Mukarramee S Ziauddin Naeem Sahab,
tasleemaat

Aap ke giraNqadr tabsarey aur duaoN ke liye aapka beHud mamnoon hooN. Mian tou kaiee saal se apna adna kalam in chaupaloN ki nazr kerta raha ooN. Meri budnaSeebi ke aap ne pahlee baar dekha hai. Ummid haai aaindah bhee apne tabsarey se nawazte raheNge.

Aapka MUkHliS

Jawaid Badauni

Re: TaraHe Ghazal (Mushairah # 54)

Posted: Mon Jun 06, 2011 6:57 am
by JFthunder1
Nice one i like it