Page 1 of 1

aihl e HINDUSTAN ke liye nazraanaa e aqeedat

Posted: Sat Aug 15, 2009 11:45 pm
by ismail ajaz
aihl e HINDUSTAN ke liye nazraanaa e aqeedat

jee haaN baHaiCiyat PAKISTAN (Ismail ajaz Khayaal) HINDUSTAN se muKhaatib


jashnn e aazaadee mubaarak hai suhaanee aapkee
humko bhaaney lag ga'ee hai zindagaanee aapkee

aap aaNkhoN meN basey haiN aap hee KhwaaboN meN haiN
maar Daaley gee humeN alhaR jawaanee aapkee

hum muHabbat kaa agar izhaar kartey haiN kabhee
kis liye baRh jaatee hai yeh badgumaanee aapkee

apney chaaroN aur lowgoN kee bohot hee bheeR hai
par lagey Soorat humeN hai jaanee maanee aapkee

shaKhSiyat hai aap ke kirdaar kee aa'eenah daar
aapkee guftaar hai Khud tarjumaanee aapkee

aapkey dillee sey hee dhaRkan humaaree hai juRee
maaNgtey haiN iss liye hum dil nishaanee aapkee

aapko hum dekhtey haiN dil machal jaataa hai kyuN
hum peh jaadoo kar rahee hai mehrbaanee aapkee

aap ji'eN taa qayaamat aur sada qaa'im raheN
ho "Khayaal" hum se juree bass yeh kahaanee aapkee

taalib e muHabbat

Ismail ajaz Khayaal

Re: aihl e HINDUSTAN ke liye nazraanaa e aqeedat

Posted: Sat Aug 22, 2009 1:15 pm
by aabarqi
Azeezam Ismail Aijaz Khayaal
Aadaab
Aap hain ham se mukhaatib mehrbaani aap ki
Khoob se ho khoobtar yeh zindagaani aap ki

Badgumaani ka nahin insaan ki ko'ee ilaaj
Mohtaram Achchhi nahin hai badgumaani aap ki

Ham hain khwaahaan amn o sulh o aashti ke aap se
Hai nehaayat dilnasheen Sheereen bayaani aap ki

Rakhiye dil ko saaf apne aap misl e aa'inah
Hai hamari bhi wahi jo hai kahaani aap ki
Mukhlis
aabarqi