Page 1 of 1

jashnn e aazaadee 14 August 2009

Posted: Thu Aug 13, 2009 10:34 pm
by ismail ajaz
jashnn e aazaadee 14 August 2009

Khoon kee nadiyaaN baih rahee haiN aur
izzateN dekho luT rahee haiN aur
karb meN siskiyaaN dabee haiN aur
hum manaate haiN jashann e aazaadee

chaak daamann grebaaN hai seene ko
tishnagee meN haiN ashak peene ko
zindagee laR rahee hai jeene ko
hum manaate haiN jashann e aazaadee

apne hee mulk meN raheN Dar kar
maut ke khel haiN jahaaN ghar ghar
roz jee jee ke roz mar mar kar
hum manaate haiN jashann e aazaadee

hum se ik dhaR judaa huwaa dekho
hum ne Khud ghar jalaa diyaa dekho
hum peh dushman bhee chhaa gayaa dekho
hum manaate haiN jashann e aazaadee

jaa bajaa kaise kaT ga'ey sab lowg
baRh ga'ey kitne ta'aSSubee ke raug
millat e muslimah hai marg e saug
hum manaate haiN jashann e aazaadee

apnee imlaak hum jalaate haiN
apnee paihchaan hum miTaate haiN
hum musalmaan haiN bhulaate haiN
hum manaate haiN jashann e aazaadee

hum ne ko'ee muqaam nah paayaa
duniyaa meN nek naam nah paayaa
shariyat kaa bhee nizaam nah paayaa
hum manaate haiN jashann e aazaadee

kab talak dhokah khaa'eN ge hum lowg
"Khayaal" kis samt jaa'eN ge hum lowg
kab yeh aiHsaas paa'eN ge hum lowh
hum manaate haiN jashann e aazaadee

taalib duaa

Ismail ajaz Khayaal