Hindustaan Pakistaan kee aazaadee manaane waaloN kee nazr
tiraNgaa tum kaho jisko use parcham bhee kaihte haiN
muHabbat hai humeN tum se yeh akCar hum bhee kaihte haiN
tumheN jo mausamoN kee har adaa aakar lubhaatee hai
use sardee o garmee kaa amal mausam bhee kaihte haiN
chalo hum mil ke Khitte ko nayaa ikk roop de DaaleN
keh jis meN ho aKhuwat aur jise paihum bhee kaihte haiN
agar hum pursukooN hoN ge tumheN bhee chayen aaye gaa
muHabbat meN phaTheN gey dil jinheN LOV bom bhee kaihte haiN
manaaow jashn e aazaadee "Khayaal" kuchh istaraH mil kar
keh jisko chashm e nam Gham e insaaniyat fehm bhee kaihte haiN
Ismail ajaz Khayaal
jashnn e aazaadee ke mubaarak mauqe par
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- ismail ajaz
- -
- Posts: 486
- Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm
jashnn e aazaadee ke mubaarak mauqe par
- Attachments
-
- tirangaa tum kaho jisko use parcham bhee kaihty hain.gif (34.5 KiB) Viewed 131 times
محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا
muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Ismail Ajaz Khayaal
(خیال)