tamaam shaurish-o-tamkeeN nicaar-e-bai.khabaree ..(Ghazal.nu

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

tamaam shaurish-o-tamkeeN nicaar-e-bai.khabaree ..(Ghazal.nu

Post by yasir shah »

bismillaah.ir.RaHmaan.ir.RaHeem
assalaamoa'laikum!


ba'Z tarHee miSre' aisay hotay haiN keh Ghazal kahlwaa hi daitay haiN -ustaad-e-muHtaram Sarwar SaaHib ne bhee aisay hi aik miSre' peh khoobSoorat Ghazal kah ke ham maiN taHreek paidaa kee hay -AsGhar GauNDvee SaaHib kaa yeh miSra' bahut buland hay aur is ki zameen dushwaar bhee-sauchaa mashq-e-sukhan kaa khoob mauqa' hay chunaaNcheh is zameen maiN chalnay ki sa'aadat HaaSil kee hay-

mairee aap HaZraat se dastbastah guzaarish hay keh kuCh maSroofiyaat ke sabab aap ki takhleeqaat peh raa.ay dainay kaa mauqa' kam mil paata hay,ma'zarat, chunaaNcheh woh aHbaab jo badlay ki tavaqqo' par iz'haar-e-raa.ay kartay haiN zaHmat nah farmaa.aiN keh un ko nateejatan aziyyat hotee hay aur sabab maiN bantaa hooN -maaZee qareeb maiN agar aisaa huvaa hay to maiN bama' iHsaas-e-sharmindagee ma'zirat.khwaah hooN -

ab yeh "Ghazal.numaa" paRhiye -waaZeh rahay keh mairee kaavishoN maiN chooNkeh rivaayatee taGhazzul khaal khaal hi hotaa hay is liye bad.u'nvaanee se parhaiz kartay huvay Ghazal ke bajaa,ay apnee kaawish "Ghazal.numaa" ke u'nvaan ke taHt paish kar rahaa hooN -qiSSah mukhtaSar mulaaHizah farmaaiyay:

Ghazal.numaaa

kahaa farishtoN ne sun mairaa naalah-e-saHaree
kahaaN se aa.ee hay aakhir Sadaa yeh dard bharee ?





woh aayaa khaanah-e-dil maiN ,junooN rahaa nah paree
tamaam shaurish-o-tamkeeN nicaar-e-bai.khabaree





har aik bazm-e-hunar hay bisaat'-e-bai.hunaree
har aik ahl-e-naz'ar hay shikaar-e-kam naz'aree





kahaaN se laaiyay woh jis ko apnaa kahtay ham
kahaaN pukaariyay "hay koi bahr-e-chaarah.garee?"





t'uloo'-e-mahr se kab apnay din badaltay haiN
huvee saHar shab-e-hajraaN rahee dharee ki dharee





yahaaN gunaahoN peh "Sattaar" pardah raKhtaa hay
umeed hay keh vuhaaN bhee nah ho gee pardah.daree





rukh-e-shaheed se lagtaa hay jaaN naheeN niklee ,
huvaa hay qatl kaa mulzim muqaddameh se baree





Siraat'-e-i'shq peh chalyay a'jab nishaat' hay "shaah" !
safar kaRaa hay magar mut'ma.in hay har safaree
__________________________
Last edited by yasir shah on Tue Jul 14, 2009 5:40 am, edited 1 time in total.
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: tamaam shaurish-o-tamkeeN nicaar-e-bai.khabaree ..(Ghazal.nu

Post by munir-armaan-nasimi »

Mohtaram Janab Shaah Saheb,

Salaam o Rehmat, Hazrat Asghar GaunDvee SaHeb ka miSra' aur Dushwaar (Banjar kahoon to???) Zameen pe aapki ghazal........... Masha'Allah bohat khoob hai. Es misre ko nibhana aur "Ghazal Numa" keh dena aap jaise Ustaad-e-fann ka hi karishma ho sakta hai. Hum jaise nau-waarid to misra padh kar hi baGhlein jhaankne lagte hain.

Mujhe aapki ghazal ka har sher achcha laga magar jo sher haasil-e-mutaa'la hai woh yeh hai...

har aik bazm-e-hunar hay bisaat'-e-bai.hunaree
har aik ahl-e-naz'ar hay shikaar-e-kam naz'aree

Agar ess sher ko husn-e-matla' bana diya jaaye to....... aapka kya khayaal hai?

Taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: tamaam shaurish-o-tamkeeN nicaar-e-bai.khabaree ..(Ghazal.nu

Post by yasir shah »

munir-armaan-nasimi wrote:Mohtaram Janab Shaah Saheb,

Salaam o Rehmat, Hazrat Asghar GaunDvee SaHeb ka miSra' aur Dushwaar (Banjar kahoon to???) Zameen pe aapki ghazal........... Masha'Allah bohat khoob hai. Es misre ko nibhana aur "Ghazal Numa" keh dena aap jaise Ustaad-e-fann ka hi karishma ho sakta hai. Hum jaise nau-waarid to misra padh kar hi baGhlein jhaankne lagte hain.

Mujhe aapki ghazal ka har sher achcha laga magar jo sher haasil-e-mutaa'la hai woh yeh hai...

har aik bazm-e-hunar hay bisaat'-e-bai.hunaree
har aik ahl-e-naz'ar hay shikaar-e-kam naz'aree

Agar ess sher ko husn-e-matla' bana diya jaaye to....... aapka kya khayaal hai?

Taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi

baradaar-e-a'zeez
Munir Armaan Nasimi !
assalaamoa'laikum

aaj yahaan haRtaal ke sabab mairaa parchah multavee ho gayaa sauchaa aap se baat ho jaa-ay-

patah hay kyaa ba'z auqaat daad dainaa she'r kahnay se bhee mushkil ho jaataa hay-magar aap to mujh se bhee ziyaadah darpa-ay-dushvaar lagtay haiN -Allaah aap ko khush raKhay aur aap ke zauq-e-sukhanwaree maiN mazeed taraqqee a't'aa farmaa.ay aur mujhay ustaad kah ke kharaab nah karnay ki taufeeq bhee ,aameen-

waisay aap ne jo she'r pasand kiyaa hay woh kuCh ziyaadah hi maayoos naheeN hay ? :( tarHee kaavishoN maiN to kuCh mazaameen baraa-ay-bait bhee hotay haiN ,woh Iqbaal kyaa khoob kah ga.ay :

zaraa nam ho to yeh miTTee baRee zarkhaiz hay saaqee

aap ki tajweez bhalee hay isay maiN Husn-e-Husn-e-mat'la kiyay daitaa hooN keh aglay she'r se bhee is kaa ta'lluq hay-


jazaakumullahu khairan wa aHsanul jazaa

bandah yasir
Post Reply