tamaam shorish-o-tamkeeN nicaar-e-beKhabareeL ek Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

tamaam shorish-o-tamkeeN nicaar-e-beKhabareeL ek Ghazal

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-Anjuman: aadaab-o-tasleemaat!

Urdu Anjuman ke t^araHee mushaa,i'reh meN janaab Ahmad Ali Barqi SaaHeb ne ek mujawwizah miSr' ko naa-munaasib qaraar diyaa hai. t^araH kaa mu,a'amilah a'jeeb hai. jo miSra' kisee ko mushkil naz^ar aataa hai wohee doosre ko pasand bhee aataa hai. lekin is meN koyee shak naheeN hai keh kuchh miSre' waaqa,e'e aise hote haiN keh un meN she'r-goyee :joo-e-sheer laane: ke baraabar ho saktaa hai.

abhee Haal hee meN Houston (TX, USA) kee ek meHfil Gehwaarah-e-Adab ne ek miSra' diyaa hai jis par shaa,i'roN ne bohat eHtijaaj kiyaa hai (aur bajaa kiyaa hai!) keh us neN She'r kehnaa taqreeba" naa-mumkin ho gaa. lekin intiz^aamiyah apnee raaYe par qaa,im hai keh :Urdu kee tarweej: ke liYe aise miSre' diYe jaane chaahiYeN! miSra' hai:


tamaam shorish-o-tamkeeN nicaar-e-beKhabaree (Ghair-muraddaf)

mujh se bhee kahaa gayaa hai keh Ghazal kahooN. maiN ne bhee unheN likhaa keh :yeh kis "z^aalim" kee tajweez hai? Khud woh SaaHeb bhee is meN Ghazal keh kar i'naayat kareN!: dekhiYe kyaa hotaa hai. ba-har Haal jo koshish maiN ne kee hai woh pesh kar rahaa hooN. dekhne meN to harj naheeN?

Sarwar A. Raz "Sarwar"

===============================
GHAZAL

t^araH kisee ne yeh dee hai za-roo-e-naamwaree!
ye shaa,i'ree hai keh alfaaz^ kee hai baazeegaree?

milee hai shehr-e-GhizaalaaN se ham ko Khush-Khabaree
hai shikwah-e-Gham-e-hijraaN daleel-e-kamnaz^aree!

Khudee-o- beKhudee meN farq hai to bas itnaa
Khudaa se aagahee yeh hai, woh Khud se beKhabaree!

nah soz-o-saaz meN laZZat, nah shaa,i'ree meN mazaa
likhee gayee miree qismat za-raah-e-beca-maree!

naz^ar jahaaN bhee rukee phir nah baRh sakee aage
tamaam Haalat-e-imkaaN, maqaam-e-jalwahgaree!

nah aarzoo, nah tamannaa, nah Hasrat-o-ummeed
ilaahee! zindagee hai yeh keh ek dard-e-saree?

tiree a't^aa-e-maHabbat naheeN to phir kyaa hai?
miree yeh Khaanah-badoshee, miree yeh dar-badaree!

nigaah Khud peh jo Daalee to yeh huwaa ma'loom
koyee bhee raaz naheeN hai raheen-e-pardahdaree!

junooN ne daaman-e-jaan-o-jigar kiyaa yooN chaak
Zaraa bhee kaam nah aayee Khirad kee baKhyah-garee!

kahaa sabhee ne sunee jab Ghazal sar-e-meHfil
keh aaj khul gayee "Sarwar" tumhaaree be-hunaree!
==================[

یاران انجمن : تسلیمات
انجمن کے حالیہ طرحی مشاعرہ میں جناب احمد علی برقی صاحب نے ایک مصرع کو نا مناسب قرار دیا ہے۔ طرح کا معاملہ عجیب ہے۔ جو مصرع ایک شاعرکو خراب لگتا ہے وہی دوسرے کو پسند آتا ہے۔ لیکن اس میں تو کوئی شک نہیں کہ بعض مصرعے ایسے ہوتے ہیں کہ ان میں شعر کہنے کے لئے :پاپڑ بیلنے پڑتے ہیں:۔
ابھی حال ہی میں ہیوسٹن، ٹیکساس، امریکہ کی ایک ادبی محفل گہوارہء ادب نے ایک مصرع طرح تجویز کیا ہے جس پر شعرا نے بہت احتجاج کیا ہے اور بجا کیا ہے کہ اس میں شعر گوئی جوئے شیر لانے سے کم نہیں ہے۔ مصرع یہ ہے:

تمام شورش وامکاں نثار بے خبری

میں نے بھی لکھا کہ :یہ مصرع کس ظالم نے تجویز کیا ہے۔ صاحب موصوف سے گزارش ہے کہ وہ بھی اس زمین و بحر میں فکر کریں اور غزل عنایت فرمائیں۔ دیکھَے کیا ہوتا ہے ۔ بہر حال جو فکر میں نے کی ہے وہ پیش کر رہاہوں۔ اپنی رائے اور خیالات سےآگاہ فرمائیے۔ شکریہ۔
سرور عالم راز سرور
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
غزل

طرح کسی نے یہ دی ہے ز راہ نام وری
یہ شاعری ہے کہ الفاظ کی ہے بازیگری

ملی ہے شہر غزالاں سے ہم کو خوش خبری
ہے شکوہء غم ہجراں دلیل کم نظری

خودی و بیخودی میں فرق ہے تو بس اتنا
خدا سے آگہی یہ ہے، وہ خود سے بے خبری

نہ سوز و ساز میں لذت، نہ شاعری میں مزا
لکھی گئی مری قسمت ز راہ بےثمری

نظر جہاں بھی رکی پھر نہ بڑھ سکی آگے
تمام حالت امکاں مقام جلوہ گری

نہ آرزو نہ تمنا، نہ حسرت وامید
الہی زندگی ہے یہ کہ ایک درد سری

تری عطائے محبت نہیں تو پھر کیا ہے
یہ میری خانہ بدوشی ، یہ میری در بدری

نگاہ خود پہ جو ڈالی تو یہ ہوا معلوم
کوئی بھی راز نہیں ہےرہین پردہ دری

جنوں نے دامن جان و جگر کیا یوں چاک
ذرا بھی کام نہ آئی خرد کی بخیہ گری

کہا سبھی نے سنی جب غزل سر محفل
کہ آج کھل گئی سرور تمھاری بے ہنری
====================[/size]
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: tamaam shorish-o-tamkeeN nicaar-e-beKhabareeL ek Ghazal

Post by munir-armaan-nasimi »

Mohtaram Sarwar Saheb,

Aap bilkul saheeh farma rahe hain keh tarahi Moshairah main aksar tarah main jo
miSra kisee ko mushkil nazar aataa hai toh doosre ko aasaan, Kisee ko na-pasand to kisee ko pasand. Abhi kuch din pahle hi to 'Shaam-e-Sukhan" main aisa hi hua tha aur uska bahr dhoondne main aapki rahnumayi bohat kaam aayi.

Aapne yahaaN jis tarah misre ka zikr kiya hai woh waqayi bohat bohat aur bohat mushkil hai aur main Dr. Barqi Saheb ke baat ko tasleem karta hoon keh woh tarahi moshairah ke liye "naa-munaasib" hai kyon keh tarahi ghazal aksar hum jaise nau-waarid hi kehte hain, kabhi kabhar aap, Dr.Barqi aur deegar shora' bhi hamari hausla afzaayi ke liye apni apni ghazal se nawaz dete hain.

Bahar-kaif, aapne itne mushkil misre ko le kar itni haseen ghazal keh di hai keh baqaul aapke...''joo-e-sheer laane" ke baraabar hai.

Mujhe yeh sher behad pasand aaya...

Khudee-o- beKhudee meN farq hai to bas itnaa
Khudaa se aagahee yeh hai, woh Khud se beKhabaree!

Taalib-e-dua,

Munir Armaan
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: tamaam shorish-o-tamkeeN nicaar-e-beKhabareeL ek Ghazal

Post by Sarwar A. Raz »

munir-armaan-nasimi wrote:Mohtaram Sarwar Saheb,

Aap bilkul saheeh farma rahe hain keh tarahi Moshairah main aksar tarah main jo
miSra kisee ko mushkil nazar aataa hai toh doosre ko aasaan, Kisee ko na-pasand to kisee ko pasand. Abhi kuch din pahle hi to 'Shaam-e-Sukhan" main aisa hi hua tha aur uska bahr dhoondne main aapki rahnumayi bohat kaam aayi.

Aapne yahaaN jis tarah misre ka zikr kiya hai woh waqayi bohat bohat aur bohat mushkil hai aur main Dr. Barqi Saheb ke baat ko tasleem karta hoon keh woh tarahi moshairah ke liye "naa-munaasib" hai kyon keh tarahi ghazal aksar hum jaise nau-waarid hi kehte hain, kabhi kabhar aap, Dr.Barqi aur deegar shora' bhi hamari hausla afzaayi ke liye apni apni ghazal se nawaz dete hain.

Bahar-kaif, aapne itne mushkil misre ko le kar itni haseen ghazal keh di hai keh baqaul aapke...''joo-e-sheer laane" ke baraabar hai.

Mujhe yeh sher behad pasand aaya...

Khudee-o- beKhudee meN farq hai to bas itnaa
Khudaa se aagahee yeh hai, woh Khud se beKhabaree!

Taalib-e-dua,

Munir Armaan
a'zeezee Munir SaaHeb:aadaab!

Ghazal pasand karne aur daad se nawaazne ke liYe mamnoon hooN. t^araHee mushaa,i'roN ke liYe log bohat meHnat karte haiN aur un kee har koshish qaabil-e-daad hai. Sham-e-Sukhan meN bhee aap log bohat achhaa kaam kar rahe haiN. aur aa,indah behtaree hee ho gee.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Re: tamaam shorish-o-tamkeeN nicaar-e-beKhabareeL ek Ghazal

Post by aabarqi »

Mohtararam Sarwar Alam Raaz sarwar Sb
Aadaab o Tasleemaat
Is sangalaagh zameen mei tab'a aazmaa'ee waqa,ee joo'e sheer laane ke mutaradif hai.Baharhaal aapka yeh shaahkaar rang e taghazzul aapki ustanah mahaarat e zabaan o bayaan aur diqqat e fikr o nazar ka mazhar aur Sheikh Saadi ke is sher ke misdaaq hai ki :

Mushkili neest ki aasaan na shawad
Mard baayad ki haraasaan na shawad

Aapki yeh tab'a aazmaaii ham jiase mubtadiyon ke liye daawat e fikr o amal hai.Jahaan tak Mujawwazah tarhi misre ka ta'alluq hai us mein istemaal ek lafz aaj kal Hundustani Media mein "gaali" taswwur kiya jaata hai.Is zimn mein ek Natia Misrah e tarah par Pandit Daya Shankar Naseem ka dandaan shikan jawaab aap ke zehn mein hoga jise main yahaan tahreer nahin karna chahta.Mera isharah usi taraf tha.Mujawwazah misr e par ghazal likhne mein mujhe koi aieteraaz nahin hai .Isi liye main ne likha tha ki : Rumooz e mumlekat e khwesh khurawaan daanand.
aaqil ra Esharah ,ee bas ast.

Neyazmand
Ahmad Ali Barqi Azmi
Attachments
ghazal-pardah-dari.gif
ghazal-pardah-dari.gif (46.73 KiB) Viewed 424 times
http://www.drbarqiazmi.com
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: tamaam shorish-o-tamkeeN nicaar-e-beKhabareeL ek Ghazal

Post by Sarwar A. Raz »

bandah-parwar janaab Barqi SaaHeb:aadaab-o-tasleemaat!

aane meN aur iz^haar-e-tashakkur meN taaKheer huyee. wajh aap ko ma'loom hee hai. ba-qaul-e-Ghalib:

huyee taaKheer to kuchh baa,i'c-e-taaKheer bhee thaa!

aap kaa raNg-e-taGhazzul aap kaa hee HiSSah hai. kyaa kehne haiN SaaHeb. idhar kuchh sunaa yaa paRhaa aur udhar ash,a'ar kaa nuzool shuroo' ho gayaa! aur she'r bhee kitne dilpazeer aur ma'nee-Khez! yaqeena" yeh janaab Rehmat Ilahi :Barq: SaaHeb kaa faiZ^-e-SuHbat-o-tarbiyat hee hai jo in ash,a'ar meN bol rahaa hai. daad qubool keejiYe. haaN yeh kehnaa bhee Z^arooree hai keh yeh Ghazal-goyee kisee mustaHiq hastee par Sarf hotee to behtar thaa. :man aanam, keh man daanam:!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply