Page 1 of 1

meraa jurm meraa aitraaf

Posted: Thu Apr 09, 2009 1:34 pm
by ismail ajaz
baad az aadaab o tasleemaat ke

muHabbat aap se kii hai
sazaa bhii aap de deeje

meraa jurm meraa aitraaf,tamaam bazm yaaraaN ke saamne

Ghazal pesh e Khidmat hai

tumheN dekh kar muskuraane laga
tumheN dekh kar gungunaane laga

tumhaare laboN kii maiN pyaaree hansee
khud apne laboN par sajaane laga

yeh duniya mujhe pyaaree lagne lagee
maiN pal pal meN jeevan bitaane laga

meree aarzoo tum meree justujoo
maiN tum ko tumhee se churaane laga

achaanak tumheN yeh Khabar ho chalee
tow rooThee thee tum maiN manaane laga

tum bass ikk muHabbat ho paikar jamaal
maiN tum se muHabbat jataane laga

meree neeNd chayen o sukooN kho gaya
maiN yaadoN meN tum ko basaane laga

meraa jurm chaahat muHabbat "khayaal"
sazaa umr bhar kii maiN paane laga

Ismail ajaz khayaal

Re: meraa jurm meraa aitraaf

Posted: Fri Apr 10, 2009 3:36 am
by sbashwar
Mohtaram Ismail ajaz Khayal Saheb
:salaam:

achaanak tumheN yeh Khabar ho chalee
tow rooThee thee tum maiN manaane laga
Iss sher ke misre sani mein mujeh typo nazar araha hai.

Ek umda ghazal kehne par meri daad aur mubarakbaad arz hai.

Re: meraa jurm meraa aitraaf

Posted: Wed Jul 29, 2009 7:18 pm
by ismail ajaz
sbashwar wrote:Mohtaram Ismail ajaz Khayal Saheb
:salaam:

achaanak tumheN yeh Khabar ho chalee
tow rooThee thee tum maiN manaane laga
Iss sher ke misre sani mein mujeh typo nazar araha hai.

Ek umda ghazal kehne par meri daad aur mubarakbaad arz hai.
moHtaramee "sbashwar" SaaHeb

salaam arz hai

aur main maazrat khwaah hooN aap kee muHabbatoN kaa jaawaab taaKheer se dene ke sabab

aap kee inaayat hai keh aap ne meree tawajjoh iss jaanib karaa'ee

aap kaa kaihna hai keh miSraa Caaniyah TYPO hai,naheeN aisa naheen hai laikin aap ke baat par Ghaur karne par mujhe bhee lagaa keh kuchh kamee zaroor hai

yeh miSraa kuchh yuN honaa chaahiye

"tow rooTheeN theeN tum maiN manaane laga"

Allah aap ko jaza e Khair ata farmaaey

Ismail ajaz Khayaal

Re: meraa jurm meraa aitraaf

Posted: Thu Jul 30, 2009 5:57 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Bhai Ismail Ejaz 'Khayal' Saheb... Salaam o Rehmat...!

Main bhi sharmindah hoon keh bohat der se aaya...... mujhe ghazal badi aasaan aur sahal lagi...... padhte hoye nahin laga keh aapki ghazal padh raha hoon... yeh shayad aapki ibtedaayi ghazlon main se hai....... Ghazal ka doosra Sher bhi aapki tawazzu chaahta hai......

tumhaare laboN kii maiN pyaaree hansee
khud apne laboN par sajaane laga


misra e ula main "main" ziyada hai.... jab misra e saani main "Khud" keh diya hai to baat saaf ho gayi keh Shair apne ko keh raha hai phir...... "main" kii kya zaroorat thee???

Taalib e dua,

Munir Armaan Nasimi

Re: meraa jurm meraa aitraaf

Posted: Tue Aug 11, 2009 10:24 pm
by ismail ajaz
munir-armaan-nasimi wrote:Mohtaram Bhai Ismail Ejaz 'Khayal' Saheb... Salaam o Rehmat...!

Main bhi sharmindah hoon keh bohat der se aaya...... mujhe ghazal badi aasaan aur sahal lagi...... padhte hoye nahin laga keh aapki ghazal padh raha hoon... yeh shayad aapki ibtedaayi ghazlon main se hai....... Ghazal ka doosra Sher bhi aapki tawazzu chaahta hai......

tumhaare laboN kii maiN pyaaree hansee
khud apne laboN par sajaane laga


misra e ula main "main" ziyada hai.... jab misra e saani main "Khud" keh diya hai to baat saaf ho gayi keh Shair apne ko keh raha hai phir...... "main" kii kya zaroorat thee???

Taalib e dua,

Munir Armaan Nasimi
janaab Munir Armaan Nasimi SaaHeb

Khush rahiye :-"