muhatam janaab anwer jawaid hashmi sahib adaab-o-salaam-e-masnoon !
janaab ki ghazal nazar say kiya guzri koyi paikar-e-raNg-o-bu guzar gaya dair tak kaifiat taari rahi
aisii ghazal koy kohna'mashkq shai'r hi keh sakta hay ...
mereii nigaah say sad shukr keh wo mass na huaa
jiss aaiynay maiN teraa aks mun'akiss na huaa
janab ko maiN kis kis shair pe daad dooN wallah puri ghazal hi aisi hai kay jee khush hogaya....
hazoor se aik shikayaat kay aap aisi khobsurat ghazalaiN kahaN rakhtay haiN
woo alag bandh kay rakha hay jou maal acha hay
aur hamaiN aap nay aisi khobsurat ghazalooN se abhi tak mahroom rakha...
Munir Arman Naseem sahib ghazal ki pasandeedgi ka shukriya aap ki houSla afzai ce mazed ghazleiN bhii hojaiengi 8)
Afzal Shah tumm ne to kamal kerdia jann e mann lams k laam per zaber [fatt]nazer aatey houey bhii tumm ne
munakis [kaaf per zer [kass] daal ke misSraA bigaRa baRa ehHsan kiya mujh per
jo aleg baandh k rakhkha he voh maal achcha hey kii tarteeb bhii badel Dalii kheir
iss terhah to hota hey iss qism ki ujlet meiN!
ghazal pasand aai shukriya!