Page 1 of 1

~~~~~~FuGhaan-e-Qaaruni~~~~~

Posted: Fri Oct 26, 2007 9:27 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!

A'llamah A'adil farooqi SaaHib duniyaa-e-i'lm-o-fan meN moHtaaj-e-ta'aruf naheeN.
Haal hee meN mujhe A'lami Anjuman MuSannefeen kee janib se aek a'dad maktoob
maoSool huwaa. maiN aap dostooN kee dilchaspee ke liye woh bhee shaae' kar
raha hooN. taa Surat-e-Haal ko khub samajhaa jaa sake. aor maoSoof kaa
mudda'aa-o-khuwhish ko malHooz^-e-khaat^ir rakh kar is teHreer ko paRhaa jaeY.
maiN tafSeel meN naheeN janaa chahataa. is liye aamdam barsar-e-mat^lab keh
is khat^ ko baGhaor paRhnee kee Z^arurat hai. aor maoSoof ham sab ke ta'awun
kee ummeed waar haiN. shukriyah!

bandah is nazm par Ghaer janibdaranah magar tafSeelee raaeY de chukaa hai. aap kee
aara' kaa shiddat se intiz^aar hai. mujheY bhee aor khud khaaliq-e-nazm A'llamah A'adil
Farooqi SaaHib ko bhee is kaa intiz^aar hai. wucooq se kaha jaa saktaa hai keh yeh nazm
Maolana Haalee kee :musaddas-e-Haalee: ke shaanah bashaanah chalne kee quwwat aor
iste'dad rakhtee hai. aap kee aara' kal kee taareekh caabet hooN gee. pas der nah keejiye
dar kaar-e-khaer Haajat heech istekhaarah neest ke miSdaq apnee awwaleen furSat meN
maoSoof ko bazaria'ah-e-Post aapnee aara' se nawaziye. shukriyah!

maoSoof kee khuwahish ke mut^abiq khaaksaar ne ise aap ke saamne pesh kar ke gaoyaa
apnaa farZ^ aor wa'adah puraa kar diyaa hai. ab baaqee aap par chooRtaa hooN.

Posted: Fri Oct 26, 2007 9:32 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
:-)

Posted: Fri Oct 26, 2007 9:41 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
:-)

Posted: Fri Oct 26, 2007 9:46 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
:-)

Posted: Fri Oct 26, 2007 9:47 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
:-)

Posted: Fri Oct 26, 2007 9:49 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
:-)

Posted: Fri Oct 26, 2007 9:51 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
:-)

Posted: Fri Oct 26, 2007 9:53 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
:-)

Posted: Fri Oct 26, 2007 9:57 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
:-)

Posted: Fri Oct 26, 2007 10:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
:-)