aap ki raey ka muntazir huN.

Beyfikr kabhi aur kahiN ho nahiN sakta
Her baat peh ab dil to hazeeN ho nahiN sakta
Is bazm ki ronaq kehay ji lo koi din aur
Yeh rang kabhi zer e zameeN ho nahiN sakta
Is taak main rehta hay keh chand tukRay uTha lay
Kargas kabhi aflak nasheeN ho nahiN sakta
Suntay haiN keh gulshan main baRa nazm raha tha
Yeh shehr kabhi waisa haseeN ho nahiN sakta
Ik aaho baka, shor o fughaN, garm tmasha
Bey khater try ghar ka makeeN ho nahiN sakta
Itnay millay ezaz keh dil bhar sa gaya hay
Her lamha to pendar e muteeN ho nahiN sakta
Chand aur marahil haiN keh ho garm tira dil
Sab kuch to miray dost yehiN ho nahiN sakta
Nadan baseerat ko teri zang laga hay
Cheetah kabhi bheRoN ka ameeN ho nahiN sakta
wassalam
sohail malik