Page 1 of 1

dil hii kaafir hai jo har baat bhulaa detaa hai...Ghazal

Posted: Wed Nov 01, 2006 1:11 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

aaj ek 'arsa_haa-e-daraaz ke ba'd idhar kaa ruKh kiyaa aur aapkii Khidmat meN ek taazah Ghazal pesh karne kii jurrat kartaa huuN gar qubool uftaad. shukria.

Hashmat


1.
terii galiyoN kaa bhalaa kaun pataa detaa hai
jisse poochho vahii kuchh door bataa detaa hai

2.
dil ke veeraane meN yaaroN ke nishaaN bhii na rahe
waqt zaalim hai jo har naqsh miTaa detaa hai

3.
ham pe kis kis kii madaaraat ke ai'Hsaan nahiiN
dil hii kaafir hai jo har baat bhulaa detaa hai

4.
kisko fursat hai jo afsaana-e-aalaam sune
kaun riste huye zaKhmoN kii davaa detaa hai

5.
yaad aatii hai terii yuN shab-e-tanhaaii meN
door se jaise koii dil ko sadaa detaa hai

6.
kia kareN shikwa-e-be_mehrii-e-'aalam, "Sai'hbaa!"
choT khaa kar bhii dil-e-zaar du'aa detaa hai

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Nov 01, 2006 7:50 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Hashmat Usmaani SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

aek muddat se Taweel ghiyaab ke baAd aap Kalam e Sukhanwar mein tashreef laaye heiN aek dilkash ghazal ke saath. Saare ashAar bahut pasand aaye jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.