Page 1 of 1

"bataa tu kaun hai"tarhi kalaam pesh e khidmat hai

Posted: Fri Oct 13, 2006 6:21 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

aik tarhi kalaam aapki basaarato.n ki nazar.

gar qubool uftad zahay..........

arz kiya hai.....

bataa tu kaun hai aur teri haiciyyat kya hai
nabi(a.s.)rasool(s.a.w.)ko bhi humnay aazmaaya hai

shareek karkay kisee ko hamaari qudrat mei.n
'azeem zulm yeh insaan karta aaya hai

jo sabr kartay hue haq pah chaltay rehtay hai.n
unhee.n kay waastay humnay jahaa.n banaaya hai

jo saath detay hai.n baatil ka aisay logo.n per
har ek zamaanay mei.n humnay 'azaab dhaaya hai

bhalaayee karta chalaa jaa har aik insaa.n say
nah sauch yeh keh woh apna hai ya paraaya hai

farishtay kehtay hai.n momin ki maut per akcar
"isay zamaanay nay shaayed bahut sataaya hai"

nah yu.n akad kay chalaa kar zameen per haamid
akadnay waalo.n ko allaa'h nay giraaya hai

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah


note:"hum -ya -humnay" say muraad allah(sbhnwt)hai.

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Nov 01, 2006 7:57 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapka TaraHi kalaam jo aapke khaaS andaaz-e-fikr kaa namoonah hei bahut pasand aayaa jisked liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Thu Nov 02, 2006 6:11 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapka TaraHi kalaam jo aapke khaaS andaaz-e-fikr kaa namoonah hei bahut pasand aayaa jisked liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

mohtaram abdullah nazir saaahib
salaamun alaikum

aapki musalsal hausalah afzaayee,purkhuloos daad aur mubaarakbaad kayliye hum aapkay behad mamnoono mashkoor hai.n.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri