pakistan ke zalazle ke bad pehli EID
Posted: Tue Oct 10, 2006 12:23 pm
AOA bazm ke muhtram sathion aj ek lambe arse ki gher hazri ke bad is bazm me anna howa jis ke liye me tumam muazaz mimbarn se sharminda hon bas is doran kuch ese hadse pesh aye ke zindagi ka rukh hi badal kar reh geya .bahar hal ek bar phir ap ki is bazm me hazir hon umeed he ap log usi mohabat se apne sath bethne ka moqaa de ge ......
aj apni ek shaksita our dukhi tehreer le kar i sbazm me aya hon umeed he ap pasand farmye ge ...............
aj se ek sal qabl pakistan ki tareekh ka sab se bara qudrati sanhea waqu pazeer howa jis me lakho insan luqma-e_ ajl ban ge lakho be ghar ho ge our lakho ek sal guzar jane ke bad bhi abhi kheemo me apni zindagi basar kar rahe hain pichle sal jab is zalzale ke bad pehli EID aei to me ne pardees me rehte howe apni EID ko jese mehsos kiya us waqt me ne yeh chand satre tehreer ki thi aj jab is hadse ko ek sal guzar geya our raat ko me ese hi beth kar soch raha tha to mujhe yeh ehsas howa ke meri yeh EId bhi pichli EID se mukhatlif nahi kion ke peichli EID par agar mujhe apne tumam un hum watnao ka dukh tha to is bar bhi un ke dukh ke sath sath mera apna dukh bhi shamil he ke meri WALDA ki wafat ke bad meri yeh pehli EID ho gi . razi he hum usi me jis me teri raza he . bahar hal ALLHA ki marzi ke age hum siraf sarbasajod hi kar sakte hain . wohi hum sab ko sabr dene wala our ghamo me humara hami o nasar he . ap sab ki khob sorat bisarto ki nazr apne dil ka yeh dukh jis me mere wo tumam ehle watan shamil he jo ek sal pehle is hadse se mutasir howe . waslam ramishjaan

KahiN haadse bare dukh bhare kahiN raounQeiN bhi yeh laayee hai
KahiN ashak ashak hua koi kahiN dil meiN eid samayee hai
Koi khush hai apne suhaaG se koi ro raha hai suhaag ko
KahiN kirchi kirchi haiN chooriyaN kahiN haath koi hinayee hai
KahiN QehQe kahiN QumQumeiN kahiN hichkiyaN kahiN siskiyaN
KahiN aas hai kahiN yaas hai kayee rang eid yeh laayee hai
Main to zakham zakham raha sada kabhi chaqin se na main so saka
Sabhi zakham e dil mere khil uthe kabhi Aankh gar yeh lagayee hai
Thmuhi yaad aate rahe humeiN kabhi roye hum kabhi khoye hum
KaheiN kya ko ehal e watan mere yahaN eid kaise manaayee hai
Kabhi hans para kabhi ro diya be basi meiN ramish be nawa
Mera jabar hi mera sabar hi meri Umar bhar ki kamaayee hai[/color][/size]