Page 1 of 1

"RaheN aabaad Ya Rub yeh suKhan ki mehfileN yuuN hee...

Posted: Mon Oct 09, 2006 6:32 pm
by jawaid badauni

RaheN aabaad Ya Rub yeh suKhan ki mehfileN yuuN hee

YahaN jo log aate haiN woh sub aate raheN yuuN hee
RaheN aabaad ya Rub yeh suKhan ki mehfileN yuuN hee

Hamraai mehfiloN meN aaj jo bhee log aate haiN
Woh sub hee dil peh goya abr.e rahmat bunke chaate haiN

Bohat se naam mujhko yaad haiN kuch bhool baiTha hooN
JinheN bhoola hooN unko bhi hameshah paRhta rahta hooN

Hamaari in maHafil ke janab.e :Raz: haiN sarwar
Rah-e sher.o.adab meN :Hazrat.e Nazir: haiN ik rahbar

Janab.e :Qais: yuuN to mehfiloN men kum hi aate haiN
Magar woh jab bhi aayeN sher unke sub ko bhaate haiN

Bohat maSroof haiN :Irfan Abid: apne kamoN meN
Woh tab aate haiN jab FoorSat mile thoRee see shaamoN meN

Magar :Jawaid: aise haiN jo subH.o.shaam aate haiN
Kabhi GazaleN sunate haiN kabhi nazmeN sunate haiN

:Husaini: ka kalaam aisa hai paRhke lutf aata hai
Keh sher oosko hi kahte haiN jo dil ko chhu keh jaata hai

:Zia:, “Mehtab:, :Amjad: haiN :Muzaffar: bhee hain :Haamid: bhee
Gazal aur Nazm le aaya hai koyee Naat bhee koyee

YahaN :Tanveer: bhee aate haiN shamm.e Gam jalaane ko
YahaN :Zoya: bhi aati haiN hamara Gam baTane ko

Hamari bazm meN pardah nasheeN bhee aate jaate haiN
Keh haiN chilman ke peeche she’r woh phir bhee sunate haiN

Woh :Raji: hoN keh :Sara: hoN keh hoN :Anmol: ya :Zarqa:
Sabhee kee fikr dilkash hai sabhee ke sher haiN a’ala

Kalam.e :Tahira:, :Naheed: Sub ke dil ko bhaata hai
Hazal :Shummu: kaheN tou lutf hi kuch aur aata hai
-----------------------------------------------------------------

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Oct 10, 2006 11:56 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm beHad pasand aayi jis se shoAaraa aur shaayeraat kee khaatirkhwaah HauSlah afzaayi houti hei.

Is mubaarak tuHfe per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Re: "RaheN aabaad Ya Rub yeh suKhan ki mehfileN yuuN he

Posted: Wed Oct 11, 2006 7:14 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
jawaid badauni wrote:

moHtaram jawaid Badauni SaHeb aadaab!

aap kee yeh naz^m aap ke jazbaat aor aHsaasaat kee tarjumanee kar rahee hai. YooN farda" farda" sabh~ee dostooN ka zikr karna HoSilah afzah amr hai.

khudawand aap ko jaza-e-khaer se nawaze!

waah!

kiYa kehne!

waah ji waah!

baja farmaya hai! waah!

waah!!

kiYa kehne! waah! khuda kare keh SubH -o-shaam aate raheeN!

kiYa khoob hai!

Wassalam
muz^affar
[/size]
[/size][/size]

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Oct 11, 2006 4:22 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm beHad pasand aayi jis se shoAaraa aur shaayeraat kee khaatirkhwaah HauSlah afzaayi houti hei.

Is mubaarak tuHfe per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

MoHtarmee Abdullah Nazir SaHib, Aadaab

YuuN hee baiThe baiThe ek din socha ek Nazm kahee jaye so kah Daali. Aap ko nazm pasand aaii yeh mere liye baRee sanad hai jise maiN saNbhaal kar rakhooNga.

Ummid hai mizaaj baKhair hoNge. Ramadhan ke bAAd aur tafSeel se mulaaqateN rahengee, insha Allah.

Apka MuKhliS
Jawaid

Re: "RaheN aabaad Ya Rub yeh suKhan ki mehfileN yuuN he

Posted: Wed Oct 11, 2006 4:25 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
jawaid badauni wrote:
RaheN aabaad Ya Rub yeh suKhan ki mehfileN yuuN hee

YahaN jo log aate haiN woh sub aate raheN yuuN hee
RaheN aabaad ya Rub yeh suKhan ki mehfileN yuuN hee

Hamraai mehfiloN meN aaj jo bhee log aate haiN
Woh sub hee dil peh goya abr.e rahmat bunke chaate haiN

Bohat se naam mujhko yaad haiN kuch bhool baiTha hooN
JinheN bhoola hooN unko bhi hameshah paRhta rahta hooN

Hamaari in maHafil ke janab.e :Raz: haiN sarwar
Rah-e sher.o.adab meN :Hazrat.e Nazir: haiN ik rahbar

Janab.e :Qais: yuuN to mehfiloN men kum hi aate haiN
Magar woh jab bhi aayeN sher unke sub ko bhaate haiN

Bohat maSroof haiN :Irfan Abid: apne kamoN meN
Woh tab aate haiN jab FoorSat mile thoRee see shaamoN meN

Magar :Jawaid: aise haiN jo subH.o.shaam aate haiN
Kabhi GazaleN sunate haiN kabhi nazmeN sunate haiN

:Husaini: ka kalaam aisa hai paRhke lutf aata hai
Keh sher oosko hi kahte haiN jo dil ko chhu keh jaata hai

:Zia:, “Mehtab:, :Amjad: haiN :Muzaffar: bhee hain :Haamid: bhee
Gazal aur Nazm le aaya hai koyee Naat bhee koyee

YahaN :Tanveer: bhee aate haiN shamm.e Gam jalaane ko
YahaN :Zoya: bhi aati haiN hamara Gam baTane ko

Hamari bazm meN pardah nasheeN bhee aate jaate haiN
Keh haiN chilman ke peeche she’r woh phir bhee sunate haiN

Woh :Raji: hoN keh :Sara: hoN keh hoN :Anmol: ya :Zarqa:
Sabhee kee fikr dilkash hai sabhee ke sher haiN a’ala

Kalam.e :Tahira:, :Naheed: Sub ke dil ko bhaata hai
Hazal :Shummu: kaheN tou lutf hi kuch aur aata hai
-----------------------------------------------------------------

moHtaram jawaid Badauni SaHeb aadaab!

aap kee yeh naz^m aap ke jazbaat aor aHsaasaat kee tarjumanee kar rahee hai. YooN farda" farda" sabh~ee dostooN ka zikr karna HoSilah afzah amr hai.

khudawand aap ko jaza-e-khaer se nawaze!

YahaN jo log aate haiN woh sub aate raheN yuuN hee
RaheN aabaad ya Rub yeh suKhan ki mehfileN yuuN hee

waah!

Hamraai mehfiloN meN aaj jo bhee log aate haiN
Woh sub hee dil peh goya abr.e rahmat bunke chaate haiN

kiYa kehne!

Bohat se naam mujhko yaad haiN kuch bhool baiTha hooN
JinheN bhoola hooN unko bhi hameshah paRhta rahta hooN

waah ji waah!

Hamaari in maHafil ke janab.e :Raz: haiN sarwar
Rah-e sher.o.adab meN :Hazrat.e Nazir: haiN ik rahbar

baja farmaya hai! waah!

Janab.e :Qais: yuuN to mehfiloN men kum hi aate haiN
Magar woh jab bhi aayeN sher unke sub ko bhaate haiN

waah!

Bohat maSroof haiN :Irfan Abid: apne kamoN meN
Woh tab aate haiN jab FoorSat mile thoRee see shaamoN meN

waah!!

Magar :Jawaid: aise haiN jo subH.o.shaam aate haiN
Kabhi GazaleN sunate haiN kabhi nazmeN sunate haiN

kiYa kehne! waah! khuda kare keh SubH -o-shaam aate raheeN!

:Husaini: ka kalaam aisa hai paRhke lutf aata hai
Keh sher oosko hi kahte haiN jo dil ko chhu keh jaata hai
waah!

:Zia:, “Mehtab:, :Amjad: haiN :Muzaffar: bhee hain :Haamid: bhee
Gazal aur Nazm le aaya hai koyee Naat bhee koyee

kiYa kehne!

YahaN :Tanveer: bhee aate haiN shamm.e Gam jalaane ko
YahaN :Zoya: bhi aati haiN hamara Gam baTane ko

waah!

Hamari bazm meN pardah nasheeN bhee aate jaate haiN
Keh haiN chilman ke peeche she’r woh phir bhee sunate haiN

kiYa khoob hai!

Woh :Raji: hoN keh :Sara: hoN keh hoN :Anmol: ya :Zarqa:
Sabhee kee fikr dilkash hai sabhee ke sher haiN a’ala

waah!

Kalam.e :Tahira:, :Naheed: Sub ke dil ko bhaata hai
Hazal :Shummu: kaheN tou lutf hi kuch aur aata hai

kiYa kehne!

Wassalam
muz^affar
[/size]
[/size][/size]

MoHtarmee Muzaffar SaaHib,
Aadaab

Nazm aap ko pasaNd aai yeh mere liye Khooshee ki baat hai.
Bohat bohat shukriya. Aap bohat Khuloos se aur tafSeel se likhte
haiN aur aap ka yeh "central allignment" wala "style" yaqeenan mun-
farid hai.

Khoosh raheN!

MuKhliS
Jawaid