"bekhud badaayuni"keh micre per hamaara tarhi kala
Posted: Wed Oct 04, 2006 7:17 am
salaamun alaikum
dosto
bekhud badayuni keh micre per mohtaram sarwar A raz sarwar saahib ki ustaadanah takhleeq padhnay ke b'aad hamaara qalam apnay aap chalnay laga aur nateejah aapkay saamnay hai.
umeed hai pasand farmaaye.nge.
arz kiya hai.........
musalmaa.n hai tau phir dar dar ka maara ho nahi.n sakta
keh naakaarah kabhie ahmed(s.a.w.)ka pyaara ho nahi.n sakta
gunaaho.n mei.n jinho.n nay zindagi apni guzaari hai
andheri qabr mei.n unkay ujaala ho nahi.n sakta
milay.nge sainkdo.n yu.n tau baraaye naam keh 'aabid
chamak jisme.n nah ho hargiz woh taara ho nahi.n sakta
faza mei.n goonj'ta hai aaj tak ahmed(s.a.w.)ka yeh n'aarah
khuda ka jo nahi.n hai woh hamaara ho nahin sakta
khuda ko chorh" hum kyu.n sar jhukaaye.n 'ghair ke aagay
"keh uska hokay phir koyee kisee ka ho nahi.n sakta"
qinaa't ka hunar too seekhlay haamid payambar(s.a.w.)say
keh iskay bin zamaanay mei.n guzaara ho nahi.n sakta
nateejaye fikr
hamidbaaqri
al hamdulillah