Page 1 of 1

aahistah aahistah!!

Posted: Sun Oct 01, 2006 10:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar



Yaran-e-meHfil aadaab!

aek muddat se Aarzu lakhnawee marHoom ke Ghazal sunta aa raha th~a.

"kaTe gee rat aae gee seher aahistah aahistah"

meree baRee khuwahish th~ee keh is zameen meN maiN bh~ee iz^haar-e-kheYaal karooN lekin kabh~ee kehne kee koshish nah kee zameen radeef"aahistah aahistah " kee wajah se dushwaar ho gaee hai.bahar Haal aaj chand she'er ho gae haiN aor yeh she'er keh kar mujh~e bohot lut^f aaYa hai.

aap yaaran-e-bazm kee a'dalat meN pesh kar rahaa hooN mulaHeZ^ah farmaiYe.

beHer ka naam hai. (beHer-e-hazaj mucamman saalim)=1222, 1222, 1222, 1222


Ghazal


1,

muHabbat dil peh kartee hai acar aahistah aahistah

mareeZ^-e-Gham ko hotee hai khabar aahistah aahistah!


2,

khuda ma'loom kiYa HaSil hai meree bandgaanee ka?

gh~isa jata hai tera sang-e-dar aahistah aahistah!


3,

junoon-e-ishq le aaYa hai aakhir dasht-e-Ghurbat meN

muqaddar ban gaee gard-e-safar aahistah aahistah!


4,

kiYa hai junbish-e-lab ne mujh~e beHaal kuch aesa

agarcheh saans leta hooN magar aahistah aahistah!


5,

bachaooN kis t^araH kachche makaaN ko teez barish meN?

gire jate haiN sab diwaar-o-dar aahistah aahistah!


6,

t^uloo' ho ga hamare waSl ha khursheed bh~ee ek din

magar ho gee shab-e-Gham mukhtaSir aahistah aahistah!


7,

naheeN marta YakaYaq maiN kabh~ee bh~ee nazninoN par

guzarta maiN bh~ee jaaN se hooN magar aahistah aahistah!


8,

kh~ula hai dar qafas ka par naheeN hai t^aqat-e-parwaaz

simaTte ja rahe haiN baal-o-par aahistah aahistah!


9,

GhaZ^ab hai bazm meN tera yeh keef angeez nazz^aarah

huwa jaata hooN khud se be khabar aahistah aahistah!


10,

mujh~e karne laga hai khaanumaN barbaad Gham tera

wat^an meN ho geYa SeHra bah sar aahistah aahistah!


11,

kisee ke door rehne se muHabbat kam naheeN hotee

magar barbaad hota hai jigar aahistah aahistah!


12,

mujh~e ma'loom hai anjaam kiYa ho ga gulistaaN ka

shuroo' hone ko hai raqS-e-sharar aahistah aahistah!


13,

umaD aaee hai kiYooN tareek shab at^raaf-e-a'aalam par

kahaaN gum ho gaYe shams-o-qamar aahistah aahistah!


14,

muz^affar Haal posheedah rahe ga kese meHfil meN

laho Tapka rahee hai chash-e-tar aahistah aahistah!


muz^affar aHmad muz^affar[/b]




Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Oct 02, 2006 2:06 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki ghazal aarzoo Luknawi kee zameen meiN, bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

muHabbat dil peh kartee hai acar aahistah aahistah
mareeZ^-e-Gham ko hotee hai khabar aahistah aahistah!


MatlaA bahut khoob hei, waah waah.

khuda ma'loom kiYa HaSil hai meree bandgaanee ka?
gh~isa jata hai tera sang-e-dar aahistah aahistah!


Ibaarat ke liHaaz se pahle miSreA meiN sharTiaH jumlah nateejeh se naawaaqifiyyat kaa patah de rahaa hei. Is liye lafz "hei" kee bajaaye "hou" behtar hei.
Agar pahle miSreA meiN lafz "meree" ko nazar mein rakhkheN tou doosre miSreA meiN lafz "hai" kee bajaaye "hooN" hounaa chaahiye.
MaAnavi liHaaz se sheAr bahut achchaa hei, waah waah.

junoon-e-ishq le aaYa hai aakhir dasht-e-Ghurbat meN
muqaddar ban gaee gard-e-safar aahistah aahistah!


Waah waah, kyaa kehne.

kiYa hai junbish-e-lab ne mujh~e beHaal kuch aesa
agarcheh saans leta hooN magar aahistah aahistah!


Waah waah.

bachaooN kis t^araH kachche makaaN ko teez barish meN?
gire jate haiN sab diwaar-o-dar aahistah aahistah!


Bahut hee khoob, waah waah.

t^uloo' ho ga hamare waSl ha khursheed bh~ee ek din
magar ho gee shab-e-Gham mukhtaSir aahistah aahistah!


Pahle miSreA meiN lafz "TulooA" ke Harf "Ain" ke suqqoT ke baare meiN yeh javaaz bataayaa jaataa hei ke wo "alif" kee saut ke mumaacil hei. Agar aap pahle miSraA badalna chaaheN tou yuN keh sakte heiN:
ubhar aayega apne waSl kaa khursheed bhee ek din
Achcha sheAr hei, waah waah.

naheeN marta YakaYaq maiN kabh~ee bh~ee nazninoN par
guzarta maiN bh~ee jaaN se hooN magar aahistah aahistah!


sheAr achchaa hei, waah waah. Lekin meri nazar meiN isko yuN kahaa jaaye tou behtar hei:
nahiN martaa yakayak be-iraadah naazneenaoN per
chiRaktaa hooN maiN jaaN tujh per magar aahistah aahistah


kh~ula hai dar qafas ka par naheeN hai t^aqat-e-parwaaz
simaTte ja rahe haiN baal-o-par aahistah aahistah!


Bahut khoob, waah waah.

GhaZ^ab hai bazm meN tera yeh keef angeez nazz^aarah
huwa jaata hooN khud se be khabar aahistah aahistah!


Waah waah, kyaa kehne.

mujh~e karne laga hai khaanumaN barbaad Gham tera
wat^an meN ho geYa SeHra bah sar aahistah aahistah!


Doosre miSreA meiN "SeHra ba'sar" kee tarkeeb meri nazar se nahiN guzri. Meri nazar meiN is miSreA ko yuN kehnaa behtar hei:
WaTan meiN hou rahaa hooN dar badar aahistah aahistah
MaAnawi liHaaz se sheAr bahut achchaa hei, waah waah.

kisee ke door rehne se muHabbat kam naheeN hotee
magar barbaad hota hai jigar aahistah aahistah!


Bahut khoob, waah waah.

mujh~e ma'loom hai anjaam kiYa ho ga gulistaaN ka
shuroo' hone ko hai raqS-e-sharar aahistah aahistah!


achcha sheAr hei, waah waah. Doosre miSreA meiN "shurooA" ke Harf "Ain" ko giraane kaa javaaz "alif" kee mumaacilat se jaayez hei lekin maiN khud is TaraH ke isteAmaal se gurez kartaa hooN.

umaD aaee hai kiYooN tareek shab at^raaf-e-a'aalam par
kahaaN gum ho gaYe shams-o-qamar aahistah aahistah!


Bahut khoob, waah waah.

muz^affar Haal posheedah rahe ga kese meHfil meN
laho Tapka rahee hai chashm-e-tar aahistah aahistah!


Bahut achchaa maqTaA hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Tue Oct 03, 2006 10:06 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Abdullah Nazir SaHeb!

maiN aap ka jitna bh~ee shukriYa ada karooN kam hai keh aap ne ramaZ^aan kee guna gooN maSrufiYaat ke bawajood meree t^uweel Ghazal par tafSeelee tabSirah farmaYa.

khuda janta hai keh mujh~e Ghazal lagane ke ba'd malaal bh~ee huwa keh aap is mah taSfeel se likh~ne se gurez farma rahe haiN is liYe aap se ma'zrat bh~ee chahata hooN mujh~e chaiYe th~a keh Ghazal takheer se lagata.aor ramaZ^aan ke guzarne ka intz^aar karta. mujh~e qawee ummeed hai keh aap darguzar farma deeN ge.

is nawazish ke liYe aap ka ta u'mr aHsaan mand rahooN ga.

khuda aap ko hameshah khush rakkh~e!(aameen)

Wassalam
khadim
muz^affar