Page 1 of 1
tamaam duniyaa meN Dh`ooND aayaa!
Posted: Thu Sep 28, 2006 6:04 am
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-meHfil: aadaab!
kal baiThe baiThe Zehn meN ek miSra' dar aayaa:
pasand aayee magar hameN to janaab-e-man! aap kee hee Soorat!
dil chaahaa keh is par Ghazal kahee jaaYe. so pesh kar rahaa hooN. is kee a'laamaat ke baare meN Khud maiN bh`ee soch meN hooN! dekh`iYe aap kyaa kehte haiN. raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.
mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh rahaa hooN. koshish kee hai keh aasaan hoN chaahe luGhat ke e'tibaar se b.ilkul SaHeeH nah hoN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
=============================================
GHAZAL:
tamaam duniyaa meN DhooND aayaa maiN gum-shudah zindagee kee Soorat
milee to akcar Hayaat-e-muZ^t^ar magar milee ajnabee kee Soorat!
sabaq hai seekh`aa ham ahl-e-dil ne yeh i'jz kee sar-balandiyoN se
keh ek sajdah hai kaafee lekin ho bandagee bandagee kee Soorat!
a'jeeb dastoor-e-a'ashiqee hai! nah maiN hee maiN hooN, nah too hee too hai!
nah dostee dostee kee Soorat, nah dushmanee dushmanee kee Soorat!
Khabar, taSawwur, Khayaal, eemaaN, gumaaN, yaqeeN, fikr, i'lm, Hikmat
maqaam-e-Khud-aagahee ke aage sawaad-e-kam-aagahee kee Soorat!
barahnah-paa, aablah-gazeedah, shikastah-dil, pairhan-dareedah
maqaam-e-Sidrah pah soch meN hooN, koyee hai pardah-daree kee Soorat?
milaa sar-e-raah Khud se jab maiN, a'jeeb hee apnaa Haal dekh`aa
kisee kee aaNkh`eN, kisee kaa chehrah, naz^ar kisee kee, kisee kee Soorat!
nah pooch` mujh` se keh maiN kahaaN hooN, mujh`e to kuch` bh`ee patah naheeN hai
keh apnee Soorat meN aa rahee hai naz^ar mujh`e har kisee kee Soorat!
yeh sach hai duniyaa meN aur hoN ge jameel-o-Khushroo, Haseen-o-dilbar
pasand aayee magar hameN to, janaab-e-man!, aap kee hee Soorat!
nah jaane kab se kh`aRaa th`aa "Sarwar" ik aasteen-e-umeed th`aame
woh niklaa Khud se hee Ghair-HaaZ^ir! huyee a'jab HaaZ^iree kee Soorat!
--------------------------------
gum-shudah = kh`oyee huyee
Hayaat-e-muZ^tar = pareshaan zindagee
ahl-e-dil = dil waale log
i'jz = inkisaar (humility)
sar-balandee = sar ooNchaa honaa, faKhr honaa
taSawwur = Khayaal (imagination)
Hikmat = a'qlmandee (wisdom)
Khud-aagahee = Khud ko pehchaan lenaa
kam-aagahee = bohat kam i'lm honaa
barahnah = naNgaa
barahnah-paa = naNge paa,ooN
aablah-gazeedah = pair ke ch`aaloN kaa maaraa huwaa
shikastah-dil = TooTe dil waalaa
pairhan = kurtaa
dareedah = ph`aTaa huwaa
Sidrah = woh maqaam jahaaN se Khudaa kaa i'rfaan miltaa hai
pardah-daree = pardah ph`aaR denaa, raaz ma'loom kar lenaa
jameel, Khushroo, Haseen, dilbar = Khoob-Soorat
aasteen-e-umeed = ummeed kaa daaman
===================================
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Bahut khoob, waah waah
Posted: Fri Sep 29, 2006 7:44 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil ghazal bahaut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Saare ashAar dilkash heiN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Fri Sep 29, 2006 8:13 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram janab Sarwar a'alam Raz Sarwar SaHeb!
tasleem a'rZ^ hai
"nawak ne tere Saed nah ch~oRa zamane meN
taRpe hai murGh-e-qiblah numa aashiYane meN"
abh~ee abh~ee aap kee yeh Ghazal dekh~ee hai bohot mazah aaya kalaam meN be sakhtagee aor barjastagee apnee micaal aap hai ghazal meN meHeZ^ takalluf aor kheYaal aafreenee naheeN belkeh sachche tajribe aor i'shq ke Haqiqee jazbaat aor aHsaasaat ka bh~ar poor a'ks hai
maiN naqqaad naheeN lekin yeh barmala kehna chahooN ga keh bilah shubah aap jama'-ul-HeciYat she'ir haiN aap rasmee ya rawajee shae'iree naheeN karte aap kee taba'aazmaaee sha'uree masaae'ee kee aae'nah dar hai, aap kee shae'iree Sirf tafreH-e-t^aba' ke liYe naheeN balkeh Z^arurat-e-zamanah aor baqa-e-urdu ke waste hai.
khuda aap ko salamat rakh~eYe!
tamaam duniyaa meN DhooND aayaa maiN gum-shudah zindagee kee Soorat
milee to akcar Hayaat-e-muZ^t^ar magar milee ajnabee kee Soorat!
kiYa kehne!! bohot khoob!! ghazab ka mat^la' hai!!
sabaq hai seekh`aa ham ahl-e-dil ne yeh i'jz kee sar-balandiyoN se
keh ek sajdah hai kaafee lekin ho bandagee bandagee kee Soorat!
waah waah waah !! sab kuch keh dala hai aap ne !!
a'jeeb dastoor-e-a'ashiqee hai! nah maiN hee maiN hooN, nah too hee too hai!
nah dostee dostee kee Soorat, nah dushmanee dushmanee kee Soorat!
waah SaHeb! kiYa kehne!! Haqiqee she'er hai.
Khabar, taSawwur, Khayaal, eemaaN, gumaaN, yaqeeN, fikr, i'lm, Hikmat
maqaam-e-Khud-aagahee ke aage sawaad-e-kam-aagahee kee Soorat!
bohot khoob!! kiYa baat hai! maiN sar dh~un ke reh geYa hooN!
barahnah-paa, aablah-gazeedah, shikastah-dil, pairhan-dareedah
maqaam-e-Sidrah pah soch meN hooN, koyee hai pardah-daree kee Soorat?
inteha hai fikr-o-fan kee waah! waah waah bohot khob!HaSil-e-Ghazal she'er hai.
milaa sar-e-raah Khud se jab maiN, a'jeeb hee apnaa Haal dekh`aa
kisee kee aaNkh`eN, kisee kaa chehrah, naz^ar kisee kee, kisee kee Soorat!
bohot khoob waah waah!! Had kar dee hai aap ne yeh she'er gohar-e-aabdar se kam naheeN, magar afsoos keh aek duniYa aap ke kamaal-e-fan se meHroom aor na aashna hai. aap ke walid-e-majid ka she'er Yad araha hai
"sarapa sooz hooN maiN hamnawa-e-saaz-e-fit^rat hoN
ta'jub hai meree aawaz pehchanee naheeN jatee"
nah pooch` mujh` se keh maiN kahaaN hooN, mujh`e to kuch` bh`ee patah naheeN hai
keh apnee Soorat meN aa rahee hai naz^ar mujh`e har kisee kee Soorat!
waah kiYa bat hai bohot khoob!! upar wale she'er ke martabah ka hai ye she'er bh~ee waah !! aaj to aap ne aatish hee barsa dee hai.....!
yeh sach hai duniyaa meN aur hoN ge jameel-o-Khushroo, Haseen-o-dilbar
pasand aayee magar hameN to, janaab-e-man!, aap kee hee Soorat!
waah aageYa taGhazzul ka she'er waah!! janab-e-man keetarkeeb khob hai!!
nah jaane kab se kh`aRaa th`aa "Sarwar" ik aasteen-e-umeed th`aame
woh niklaa Khud se hee Ghair-HaaZ^ir! huyee a'jab HaaZ^iree kee Soorat!
waah waah! HuZ^oor HaZ^ree kee koee bh~ee Surat ho, HaZ^ree lage nah lage par aap aasteen-e-umdeed nah ch~aRiYe ga.
"pewastah reh shajae se ummeed-e-bahaar rakh~"
ijazat chahoon ga!
Wassalam
muz^affar
[/color]
Posted: Sat Sep 30, 2006 5:11 am
by Sarwar A. Raz
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram janab Sarwar a'alam Raz Sarwar SaHeb!

mukarramee Muzaffar SaaHeb: tasleem!
sab se pehle to yeh bataa,iYe keh itnee tafSeel se likhne kaa waqt aap ko kaise miltaa hai? aisaa to naheeN hai keh England meN din 36 ghanTe kaa hotaa hai?
Saaheb! aap jis a'raq-rezee se tabSirah karte haiN agar maiN usee tafSeel se shukriya adaa karooN to kisee aur kaam kaa nah rahooN gaa!
aap hameshah ek ek she'r Ghaur se paRhte haiN. phir us kaa tajziyah karte haiN aur ba'd az-aaN apnee raaYe likhte haiN. aur yeh Sirf mere saath naheeN sab ke saath karte haiN. aise aadamee ko hamaaree t^araf :jinnaatee: kehte haiN! itnaa istiqlaal aur dil-jama,e'e aur kis ke paas ho saktee hai?
mere paas shukriyah ke alfaaz^ naheeN haiN. yeh bazm kuch dinoN tak be-raunaq thee. aur ab aap jaise Urdu-dost eHbaab kee aamad se gulzaar ho rahee hai. maiN mamnoon hooN!
tum salaamat raho hazaar baras!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Re: Bahut khoob, waah waah
Posted: Sat Sep 30, 2006 5:14 am
by Sarwar A. Raz
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil ghazal bahaut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
tamaam duniyaa meN DhooND aayaa maiN gum-shudah zindagee kee Soorat
milee to akcar Hayaat-e-muZ^t^ar magar milee ajnabee kee Soorat!
sabaq hai seekh`aa ham ahl-e-dil ne yeh i'jz kee sar-balandiyoN se
keh ek sajdah hai kaafee lekin ho bandagee bandagee kee Soorat!
a'jeeb dastoor-e-a'ashiqee hai! nah maiN hee maiN hooN, nah too hee too hai!
nah dostee dostee kee Soorat, nah dushmanee dushmanee kee Soorat!
Khabar, taSawwur, Khayaal, eemaaN, gumaaN, yaqeeN, fikr, i'lm, Hikmat
maqaam-e-Khud-aagahee ke aage sawaad-e-kam-aagahee kee Soorat!
barahnah-paa, aablah-gazeedah, shikastah-dil, pairhan-dareedah
maqaam-e-Sidrah pah soch meN hooN, koyee hai pardah-daree kee Soorat?
milaa sar-e-raah Khud se jab maiN, a'jeeb hee apnaa Haal dekh`aa
kisee kee aaNkh`eN, kisee kaa chehrah, naz^ar kisee kee, kisee kee Soorat!
nah pooch` mujh` se keh maiN kahaaN hooN, mujh`e to kuch` bh`ee patah naheeN hai
keh apnee Soorat meN aa rahee hai naz^ar mujh`e har kisee kee Soorat!
yeh sach hai duniyaa meN aur hoN ge jameel-o-Khushroo, Haseen-o-dilbar
pasand aayee magar hameN to, janaab-e-man!, aap kee hee Soorat!
nah jaane kab se kh`aRaa th`aa "Sarwar" ik aasteen-e-umeed th`aame
woh niklaa Khud se hee Ghair-HaaZ^ir! huyee a'jab HaaZ^iree kee Soorat!
Saare ashAar dilkash heiN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
mushfiqee janaab-e-Nazir SaaHeb: aadaab!
naz^ar-e-karam ke liYe jis qadar shukriyah bhee adaa karooN kam hai. aap ne ek ek she'r dekhaa, parkhaa aur phir us par likhaa. jazaak-Allah!
ummeed hai keh yeh i'naayat qaa,im rahe gee.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Sun Oct 01, 2006 3:44 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sarwar Raz wrote:Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram janab Sarwar a'alam Raz Sarwar SaHeb!
tasleem a'rZ^ hai
"nawak ne tere Saed nah ch~oRa zamane meN
taRpe hai murGh-e-qiblah numa aashiYane meN"
abh~ee abh~ee aap kee yeh Ghazal dekh~ee hai bohot mazah aaya kalaam meN be sakhtagee aor barjastagee apnee micaal aap hai ghazal meN meHeZ^ takalluf aor kheYaal aafreenee naheeN belkeh sachche tajribe aor i'shq ke Haqiqee jazbaat aor aHsaasaat ka bh~ar poor a'ks hai
maiN naqqaad naheeN lekin yeh barmala kehna chahooN ga keh bilah shubah aap jama'-ul-HeciYat she'ir haiN aap rasmee ya rawajee shae'iree naheeN karte aap kee taba'aazmaaee sha'uree masaae'ee kee aae'nah dar hai, aap kee shae'iree Sirf tafreH-e-t^aba' ke liYe naheeN balkeh Z^arurat-e-zamanah aor baqa-e-urdu ke waste hai.
khuda aap ko salamat rakh~eYe!
tamaam duniyaa meN DhooND aayaa maiN gum-shudah zindagee kee Soorat
milee to akcar Hayaat-e-muZ^t^ar magar milee ajnabee kee Soorat!
kiYa kehne!! bohot khoob!! ghazab ka mat^la' hai!!
sabaq hai seekh`aa ham ahl-e-dil ne yeh i'jz kee sar-balandiyoN se
keh ek sajdah hai kaafee lekin ho bandagee bandagee kee Soorat!
waah waah waah !! sab kuch keh dala hai aap ne !!
a'jeeb dastoor-e-a'ashiqee hai! nah maiN hee maiN hooN, nah too hee too hai!
nah dostee dostee kee Soorat, nah dushmanee dushmanee kee Soorat!
waah SaHeb! kiYa kehne!! Haqiqee she'er hai.
Khabar, taSawwur, Khayaal, eemaaN, gumaaN, yaqeeN, fikr, i'lm, Hikmat
maqaam-e-Khud-aagahee ke aage sawaad-e-kam-aagahee kee Soorat!
bohot khoob!! kiYa baat hai! maiN sar dh~un ke reh geYa hooN!
barahnah-paa, aablah-gazeedah, shikastah-dil, pairhan-dareedah
maqaam-e-Sidrah pah soch meN hooN, koyee hai pardah-daree kee Soorat?
inteha hai fikr-o-fan kee waah! waah waah bohot khob!HaSil-e-Ghazal she'er hai.
milaa sar-e-raah Khud se jab maiN, a'jeeb hee apnaa Haal dekh`aa
kisee kee aaNkh`eN, kisee kaa chehrah, naz^ar kisee kee, kisee kee Soorat!
bohot khoob waah waah!! Had kar dee hai aap ne yeh she'er gohar-e-aabdar se kam naheeN, magar afsoos keh aek duniYa aap ke kamaal-e-fan se meHroom aor na aashna hai. aap ke walid-e-majid ka she'er Yad araha hai
"sarapa sooz hooN maiN hamnawa-e-saaz-e-fit^rat hoN
ta'jub hai meree aawaz pehchanee naheeN jatee"
nah pooch` mujh` se keh maiN kahaaN hooN, mujh`e to kuch` bh`ee patah naheeN hai
keh apnee Soorat meN aa rahee hai naz^ar mujh`e har kisee kee Soorat!
waah kiYa bat hai bohot khoob!! upar wale she'er ke martabah ka hai ye she'er bh~ee waah !! aaj to aap ne aatish hee barsa dee hai.....!
yeh sach hai duniyaa meN aur hoN ge jameel-o-Khushroo, Haseen-o-dilbar
pasand aayee magar hameN to, janaab-e-man!, aap kee hee Soorat!
waah aageYa taGhazzul ka she'er waah!! janab-e-man keetarkeeb khob hai!!
nah jaane kab se kh`aRaa th`aa "Sarwar" ik aasteen-e-umeed th`aame
woh niklaa Khud se hee Ghair-HaaZ^ir! huyee a'jab HaaZ^iree kee Soorat!
waah waah! HuZ^oor HaZ^ree kee koee bh~ee Surat ho, HaZ^ree lage nah lage par aap aasteen-e-umdeed nah ch~aRiYe ga.
"pewastah reh shajae se ummeed-e-bahaar rakh~"
ijazat chahoon ga!
Wassalam
muz^affar
[/color]
mukarramee Muzaffar SaaHeb: tasleem!
sab se pehle to yeh bataa,iYe keh itnee tafSeel se likhne kaa waqt aap ko kaise miltaa hai? aisaa to naheeN hai keh England meN din 36 ghanTe kaa hotaa hai?
Saaheb! aap jis a'raq-rezee se tabSirah karte haiN agar maiN usee tafSeel se shukriya adaa karooN to kisee aur kaam kaa nah rahooN gaa!
aap hameshah ek ek she'r Ghaur se paRhte haiN. phir us kaa tajziyah karte haiN aur ba'd az-aaN apnee raaYe likhte haiN. aur yeh Sirf mere saath naheeN sab ke saath karte haiN. aise aadamee ko hamaaree t^araf :jinnaatee: kehte haiN! itnaa istiqlaal aur dil-jama,e'e aur kis ke paas ho saktee hai?
mere paas shukriyah ke alfaaz^ naheeN haiN. yeh bazm kuch dinoN tak be-raunaq thee. aur ab aap jaise Urdu-dost eHbaab kee aamad se gulzaar ho rahee hai. maiN mamnoon hooN!
tum salaamat raho hazaar baras!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
mohtaram Sarwar a'alam Raz Sarwar SaHeb aadaab!
sab se pehle to yeh bataa,iYe keh itnee tafSeel se likhne kaa waqt aap ko kaise miltaa hai? aisaa to naheeN hai keh England meN din 36 ghanTe kaa hotaa hai?
HuZ^oor yahaaN barT^aniYah meN din lambe hote haiN aor agar din lambe hoon to waqt hee waqt hai....! aap ka takhmeenah bilkul durust hai jee haaN yahaaN din kh~eench taan kar 36 kh~anTe ka ho jata hai.
Saaheb! aap jis a'raq-rezee se tabSirah karte haiN agar maiN usee tafSeel se shukriya adaa karooN to kisee aur kaam kaa nah rahooN gaa!
janaab agar aek t^araf maiN aap ke rashHaat-e-qalam par iz^haar-e-kheyaal karooN aor dusree janib aap mera shukriyah ada karne kee GharZ^ se kaee kaee SafeHe siyaah karte raheeN to bh~ir aap ka 12 kh~anTe ka din nah Sirf kam paRe ga balkeh waqae'ee dusre kam kh~aTaee meN paR jaeeN ge!
lehazah yeh kaam mujh~e hee karne deeN aor mera shukriyah ada karne kee koee fikr nah kareeN.
wajah wohee hai keh yahaaN din lambe haiN.
yad aawaree ke liYe maiN aap ka teh-e-dil se mamnoon hooN.
ijazat chahooN ga!
Wassalam
khadim
muz^affar[/color][/size]
Re: tamaam duniyaa meN Dh`ooND aayaa!
Posted: Tue Oct 17, 2006 8:04 am
by haamidbaaqri
Sarwar Raz wrote:yaaraan-e-meHfil: aadaab!
kal baiThe baiThe Zehn meN ek miSra' dar aayaa:
pasand aayee magar hameN to janaab-e-man! aap kee hee Soorat!
dil chaahaa keh is par Ghazal kahee jaaYe. so pesh kar rahaa hooN. is kee a'laamaat ke baare meN Khud maiN bh`ee soch meN hooN! dekh`iYe aap kyaa kehte haiN. raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.
mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh rahaa hooN. koshish kee hai keh aasaan hoN chaahe luGhat ke e'tibaar se b.ilkul SaHeeH nah hoN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
=============================================
GHAZAL:
tamaam duniyaa meN DhooND aayaa maiN gum-shudah zindagee kee Soorat
milee to akcar Hayaat-e-muZ^t^ar magar milee ajnabee kee Soorat!
sabaq hai seekh`aa ham ahl-e-dil ne yeh i'jz kee sar-balandiyoN se
keh ek sajdah hai kaafee lekin ho bandagee bandagee kee Soorat!
a'jeeb dastoor-e-a'ashiqee hai! nah maiN hee maiN hooN, nah too hee too hai!
nah dostee dostee kee Soorat, nah dushmanee dushmanee kee Soorat!
Khabar, taSawwur, Khayaal, eemaaN, gumaaN, yaqeeN, fikr, i'lm, Hikmat
maqaam-e-Khud-aagahee ke aage sawaad-e-kam-aagahee kee Soorat!
barahnah-paa, aablah-gazeedah, shikastah-dil, pairhan-dareedah
maqaam-e-Sidrah pah soch meN hooN, koyee hai pardah-daree kee Soorat?
milaa sar-e-raah Khud se jab maiN, a'jeeb hee apnaa Haal dekh`aa
kisee kee aaNkh`eN, kisee kaa chehrah, naz^ar kisee kee, kisee kee Soorat!
nah pooch` mujh` se keh maiN kahaaN hooN, mujh`e to kuch` bh`ee patah naheeN hai
keh apnee Soorat meN aa rahee hai naz^ar mujh`e har kisee kee Soorat!
yeh sach hai duniyaa meN aur hoN ge jameel-o-Khushroo, Haseen-o-dilbar
pasand aayee magar hameN to, janaab-e-man!, aap kee hee Soorat!
nah jaane kab se kh`aRaa th`aa "Sarwar" ik aasteen-e-umeed th`aame
woh niklaa Khud se hee Ghair-HaaZ^ir! huyee a'jab HaaZ^iree kee Soorat!
--------------------------------
gum-shudah = kh`oyee huyee
Hayaat-e-muZ^tar = pareshaan zindagee
ahl-e-dil = dil waale log
i'jz = inkisaar (humility)
sar-balandee = sar ooNchaa honaa, faKhr honaa
taSawwur = Khayaal (imagination)
Hikmat = a'qlmandee (wisdom)
Khud-aagahee = Khud ko pehchaan lenaa
kam-aagahee = bohat kam i'lm honaa
barahnah = naNgaa
barahnah-paa = naNge paa,ooN
aablah-gazeedah = pair ke ch`aaloN kaa maaraa huwaa
shikastah-dil = TooTe dil waalaa
pairhan = kurtaa
dareedah = ph`aTaa huwaa
Sidrah = woh maqaam jahaaN se Khudaa kaa i'rfaan miltaa hai
pardah-daree = pardah ph`aaR denaa, raaz ma'loom kar lenaa
jameel, Khushroo, Haseen, dilbar = Khoob-Soorat
aasteen-e-umeed = ummeed kaa daaman
===================================
Sarwar A. Raz "Sarwar"
salaamun alaikum
mohtaram sarwar A raz sarwar saahib
aapki yeh ghazal hum padhtay huay jhomtay jaarahay thay.
ghazab ki rawaani hai.
bahut lutf aaya hame.n.
hame.n bhi yeh zameen bahut acchee lagti hai.
insha allah agar waqt mila tau hum zaroor is zameen per ghazal kahe.nge.
is munfarid ghazal per hamaari jaanib say bhi dilee mubaarakbaad au daad qubool farmaaye.n.
allah(sbhnwt) karay zoray qalam aur ziyaadah.
mukhlis
haamidbaaqri