yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!
"BeKhud" Badaayoonee kaa ek miSra' hai:
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
Molana Hasrat Mohani kee :Nikaat-e-Sukhan: paRh rahaa th`aa keh yeh miSra' naz^ar se guZraa aur dil is par Ghazal kehne par aamaadah ho gayaa. chunaan.ch ek t^araHee koshish pesh-e-Khidmat hai. raaYe aur tabSireh kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh` rahaa hooN. is se kuch` dostoN kee madad ho jaatee hai.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
=================================
GHAZAL:
zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!
kisee kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa!
yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?

naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!
maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa!
kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish
huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa
udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:
idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:
muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!
koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!
=================================
Sarwar A. Raz "Sarwar"
------------------------------------
mo'jizah = a'jeeb-o-Ghareeb baat (miracle)
numaayee = dikh`aanaa
mo'jiz-numaayee = mo'jizah dikh`aanaa
Husn-e-z^an = kisee ke baare meN achh`aa sochnaa
zeest = zindagee
u'nwaan = title, maqSad
u'mr-e-do-rozah = do din kee zindagee
aawezish = lagaa,o, jh`agRe
za'm = gumaan
shai = cheez
dil-sitaanee = naKhre dik`aanaa
bar-t^araf = ek t^araf (=ch`oRiye)
zamaanah ek z^aalim hai!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
zamaanah ek z^aalim hai!
- Attachments
-
- gg-zamaanahekzaalim_cr.gif (20.31 KiB) Viewed 196 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:

- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut achci ghazal kahi hei aap ne
MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal hameshah kee TaraH bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye:
MULAAHIZAAT:
zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!
kisee kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa!
Aapke apne andaz meiN kahaa houaa yeh maTlaA bahut khoob hei, waah waah.
yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
Waah waah, kyaa kehne.
naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!
Bahut khoob, kyaa hee achchaa taghazzul hei.
maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa!
Bahut hee achchaa sheAr hei, kyaa kehne.
kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish
huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa
Waah bahut khoob sheAr hei faiSlah kun lehje meiN.
udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:
idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:
Bahut achchaa sheAr hei, kyaa kehne.
muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!
Bahut hee seedhaa saadah aur khoobSoorat sheAr hei, kyaa kehne.
koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!
Kyaa kehne, kyaa hee ahccha andaz-e-khud-shinaasi hei is maqTeA meiN.
Ghazal ke saar ashAaar bahut hee dilkash heiN.
Aapka MukhliS,
Nazir.

-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
mubarak bad!
moHtaram janab Sarwar a'alam raz Sarwar SaHeb aadaad!
aap kee tazah Ghazal dekh~ne kee taofeeq milee aap ka yeh lut^f-e-musalsal dekh~ kar yeh andazah ho raha hai keh aap ne urdu ko apna oRh~na bich~ona bana liya hai aor yeh iqdaam khushaai'nd hai.
aap ke kalam ko dekh~ kar aor khuSuSa" is Ghazal ko dekh~ne ke ba'd yahee kaha ja sakta hai keh aap bila`shubah fan-e-shae'eree ke mahir haiN aap ko nah Sirf zubaan-o-bayaan par qudrat HaSil hai balkeh muHawrah-o-bandish par bhee u'boor hai yeh kehna bh~ee Ghalat^ nah ho ga keh aap she'er par Hukumat karne ka fan jante haiN.
agar`cheh is Ghazal meN sooz-o-gudaaz kee qadr-e-kamee meHsoos ho rahee hai lekin dusree janib be saakhtagee aor taceer kee farawanee bh~ee hai. i'lawah a'zeeN Ghazal meN becabatee-e-zamanah ko baRe aHsan andaaz se pesh kiya geya hai.
kisee bh~ee shae'ir ka kalam un aHsaasaat-o- kefiyaat ka aai'nah daar hota hai jis meN woh zindagee guzaar raha hota hai aap chunkeh aek muddat se diyaar-e-Ghaer ke basee haiN aor aek Hassas dil rakh~te haiN ba eeN sabab! is Ghazal meN besabatee-e-zamanah aor roozmarrah ke tajribaat ka a'ks numaayaaN hai.
zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!
kisee kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa! kiYa
kene!! waah!! sach hai zamanah khud bh~ apna naheeN ho sakta to kisee ka kiYa ho ga.
yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
kiYa khoob kaha hai!! waah
naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!
waah kiYa kehne!! dad qubool kijiYe.
maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa
jee Qiblah agar meHboob chahe to kiYa naheeN ho sakta kiYa kehne!! waah!
kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish
huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa
jee jee bilkul naheN ho sakta kabh~ee to a'aashiq kee raZ^aa bh~ee daryaft kee jaeYe u'mr do rozah hai aa'tabaar-e-kal kisee ko naheeN duniYa kee chapkilesh hai keh khatam hone ka naam hee naheeN letee.
aor udh~ar aa'shiq ka Haal yeh hai keh dam dh~uta ja raha hai. kalejah muNh ko aa raha hai. aese meN meN to yahee kaha jae ga.
keh" huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa"
udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:
idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:
bohot khubSurat kefiyat ko qalam band kiya hai. waah!! waah!!
muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!
kiYa kehne waah!! bohot khoob!! waah! jawaab naheeN!!
koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!
waah! bohot khoob!! yahee sooch honee chahiYe khudshanasee baRee cheez hai.
meree janib se dobarah is khobSurat kalam par dilee dad qubool kijYe.
ijazut chhooN ga!
Wassalam
muz^affar
_________________[/color][/size]
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: zamaanah ek z^aalim hai!
mohtaram sarwar A raz sarwar saahibSarwar Raz wrote:yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!
"BeKhud" Badaayoonee kaa ek miSra' hai:
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
Molana Hasrat Mohani kee :Nikaat-e-Sukhan: paRh rahaa th`aa keh yeh miSra' naz^ar se guZraa aur dil is par Ghazal kehne par aamaadah ho gayaa. chunaan.ch ek t^araHee koshish pesh-e-Khidmat hai. raaYe aur tabSireh kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh` rahaa hooN. is se kuch` dostoN kee madad ho jaatee hai.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
=================================
GHAZAL:
zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!
kisee kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa!
yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!
maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa!
kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish
huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa
udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:
idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:
muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!
koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!
=================================
Sarwar A. Raz "Sarwar"
------------------------------------
mo'jizah = a'jeeb-o-Ghareeb baat (miracle)
numaayee = dikh`aanaa
mo'jiz-numaayee = mo'jizah dikh`aanaa
Husn-e-z^an = kisee ke baare meN achh`aa sochnaa
zeest = zindagee
u'nwaan = title, maqSad
u'mr-e-do-rozah = do din kee zindagee
aawezish = lagaa,o, jh`agRe
za'm = gumaan
shai = cheez
dil-sitaanee = naKhre dik`aanaa
bar-t^araf = ek t^araf (=ch`oRiye)
salaamun alaikum
hame.n bahut pasand aayee aapki yeh khoobsoorat ghazal.
yeh zameen bhi bahut acchee hai.jaisay hi aapki ghazal per nazar padhee dil beikhtiyaar keh uttha keh hame.n bhi is zameen per likhne ki koshish karni chaahiye. qalam chal pada hai dekhe.n kya hota hai.
filhaal aapki is munfarid ghazal per hamaari dilee daad aur mbaarabaad qubool farmaaye.n
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: Bahut achci ghazal kahi hei aap ne
Sadeeq-e-mukarram Nazir SaaHeb:aadaab!WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal hameshah kee TaraH bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye:
MULAAHIZAAT:
zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!
kisee kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa!
Aapke apne andaz meiN kahaa houaa yeh maTlaA bahut khoob hei, waah waah.
yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
Waah waah, kyaa kehne.
naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!
Bahut khoob, kyaa hee achchaa taghazzul hei.
maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa!
Bahut hee achchaa sheAr hei, kyaa kehne.
kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish
huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa
Waah bahut khoob sheAr hei faiSlah kun lehje meiN.
udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:
idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:
Bahut achchaa sheAr hei, kyaa kehne.
muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!
Bahut hee seedhaa saadah aur khoobSoorat sheAr hei, kyaa kehne.
koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!
Kyaa kehne, kyaa hee ahccha andaz-e-khud-shinaasi hei is maqTeA meiN.
Ghazal ke saar ashAaar bahut hee dilkash heiN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
jawaab kee taaKheer ke liYe ma'Zirat! ab yeh maSroofiat to ham sab kee hee qismat ho kar reh gayee hai!
zindagee hai yaa koyee t^oofaan hai
ham to is jeene ke haathoN mar chale! (Mir)
maiN aap kaa dil se mamnoon hooN keh aap ne waqt nikaal kar meree Ghazal par mufaSSil tabSirah kiyaa aur meree HauSilah-afzaayee kee. Ghazal kaisee hee ho aap kee daad ke ba'd behtar kehne kee koshish par dil Khud hee maa,il ho jaataa hai. bohat bohat shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: mubarak bad!
a'zeezee Muzaffar SaaHeb: tasleemaat!Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
moHtaram janab Sarwar a'alam raz Sarwar SaHeb aadaad!
aap kee tazah Ghazal dekh~ne kee taofeeq milee aap ka yeh lut^f-e-musalsal dekh~ kar yeh andazah ho raha hai keh aap ne urdu ko apna oRh~na bich~ona bana liya hai aor yeh iqdaam khushaai'nd hai.
aap ke kalam ko dekh~ kar aor khuSuSa" is Ghazal ko dekh~ne ke ba'd yahee kaha ja sakta hai keh aap bila`shubah fan-e-shae'eree ke mahir haiN aap ko nah Sirf zubaan-o-bayaan par qudrat HaSil hai balkeh muHawrah-o-bandish par bhee u'boor hai yeh kehna bh~ee Ghalat^ nah ho ga keh aap she'er par Hukumat karne ka fan jante haiN.
agar`cheh is Ghazal meN sooz-o-gudaaz kee qadr-e-kamee meHsoos ho rahee hai lekin dusree janib be saakhtagee aor taceer kee farawanee bh~ee hai. i'lawah a'zeeN Ghazal meN becabatee-e-zamanah ko baRe aHsan andaaz se pesh kiya geya hai.
kisee bh~ee shae'ir ka kalam un aHsaasaat-o- kefiyaat ka aai'nah daar hota hai jis meN woh zindagee guzaar raha hota hai aap chunkeh aek muddat se diyaar-e-Ghaer ke basee haiN aor aek Hassas dil rakh~te haiN ba eeN sabab! is Ghazal meN besabatee-e-zamanah aor roozmarrah ke tajribaat ka a'ks numaayaaN hai.
zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!
kisee kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa! kiYa
kene!! waah!! sach hai zamanah khud bh~ apna naheeN ho sakta to kisee ka kiYa ho ga.
yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
kiYa khoob kaha hai!! waah
naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!
waah kiYa kehne!! dad qubool kijiYe.
maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa
jee Qiblah agar meHboob chahe to kiYa naheeN ho sakta kiYa kehne!! waah!
kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish
huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa
jee jee bilkul naheN ho sakta kabh~ee to a'aashiq kee raZ^aa bh~ee daryaft kee jaeYe u'mr do rozah hai aa'tabaar-e-kal kisee ko naheeN duniYa kee chapkilesh hai keh khatam hone ka naam hee naheeN letee.
aor udh~ar aa'shiq ka Haal yeh hai keh dam dh~uta ja raha hai. kalejah muNh ko aa raha hai. aese meN meN to yahee kaha jae ga.
keh" huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa"
udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:
idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:
bohot khubSurat kefiyat ko qalam band kiya hai. waah!! waah!!
muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!
kiYa kehne waah!! bohot khoob!! waah! jawaab naheeN!!
koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!
waah! bohot khoob!! yahee sooch honee chahiYe khudshanasee baRee cheez hai.
meree janib se dobarah is khobSurat kalam par dilee dad qubool kijYe.
ijazut chhooN ga!
Wassalam
muz^affar
_________________[/color][/size]
SaaHeb! koyee nacr meN shaa,i'ree karnaa to aap se seekhe! kyaa hee achhaa likhte haiN! ek ek she'r ko paRh kar us par mufaSSil likhne ke liYe waqt hee naheeN :dil-gurdah: bhee chaahiYe! kabhee kabhee Khayaal hotaa hai keh England meN shaayad din meN 36 ghanTe hote hoN ge warnah itnaa likhne ke liYe aap kahaaN se waqt laate haiN?

Ghazal kee aisee dilkash paZeeraayee ke liYa saraapaa sipaas hooN. Khush rahiYe.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Last edited by Sarwar A. Raz on Sun Oct 01, 2006 5:42 am, edited 1 time in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: zamaanah ek z^aalim hai!
qiblah Hamid SaaHeb: wa-a'lekum-as-salaam!haamidbaaqri wrote:mohtaram sarwar A raz sarwar saahibSarwar Raz wrote:yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!
"BeKhud" Badaayoonee kaa ek miSra' hai:
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
Molana Hasrat Mohani kee :Nikaat-e-Sukhan: paRh rahaa th`aa keh yeh miSra' naz^ar se guZraa aur dil is par Ghazal kehne par aamaadah ho gayaa. chunaan.ch ek t^araHee koshish pesh-e-Khidmat hai. raaYe aur tabSireh kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh` rahaa hooN. is se kuch` dostoN kee madad ho jaatee hai.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
=================================
GHAZAL:
zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!
kisee kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa!
yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!
maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa!
kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish
huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa
udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:
idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:
muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!
koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!
=================================
Sarwar A. Raz "Sarwar"
------------------------------------
mo'jizah = a'jeeb-o-Ghareeb baat (miracle)
numaayee = dikh`aanaa
mo'jiz-numaayee = mo'jizah dikh`aanaa
Husn-e-z^an = kisee ke baare meN achh`aa sochnaa
zeest = zindagee
u'nwaan = title, maqSad
u'mr-e-do-rozah = do din kee zindagee
aawezish = lagaa,o, jh`agRe
za'm = gumaan
shai = cheez
dil-sitaanee = naKhre dik`aanaa
bar-t^araf = ek t^araf (=ch`oRiye)
salaamun alaikum
hame.n bahut pasand aayee aapki yeh khoobsoorat ghazal.
yeh zameen bhi bahut acchee hai.jaisay hi aapki ghazal per nazar padhee dil beikhtiyaar keh uttha keh hame.n bhi is zameen per likhne ki koshish karni chaahiye. qalam chal pada hai dekhe.n kya hota hai.
filhaal aapki is munfarid ghazal per hamaari dilee daad aur mbaarabaad qubool farmaaye.n
mukhlis
haamidbaaqri
aap kee daad ke liYe mamnoon to hooN hee keh yeh meraa intihaayee Khushgawaar farZ^ hai, saath hee aap kee us Ghazal kaa be-chainee se muntaz^ir bhee hooN jis kee jaanib aap ne ishaarah kiyaa hai! aap kaa andaaz-e-suKhan aur yeh zameen! dekhiYe kyaa kyaa gul khilte haiN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: mubarak bad!
Sarwar Raz wrote:a'zeezee Muzaffar SaaHeb: tasleemaat!Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
moHtaram janab Sarwar a'alam raz Sarwar SaHeb aadaad!
aap kee tazah Ghazal dekh~ne kee taofeeq milee aap ka yeh lut^f-e-musalsal dekh~ kar yeh andazah ho raha hai keh aap ne urdu ko apna oRh~na bich~ona bana liya hai aor yeh iqdaam khushaai'nd hai.
aap ke kalam ko dekh~ kar aor khuSuSa" is Ghazal ko dekh~ne ke ba'd yahee kaha ja sakta hai keh aap bila`shubah fan-e-shae'eree ke mahir haiN aap ko nah Sirf zubaan-o-bayaan par qudrat HaSil hai balkeh muHawrah-o-bandish par bhee u'boor hai yeh kehna bh~ee Ghalat^ nah ho ga keh aap she'er par Hukumat karne ka fan jante haiN.
agar`cheh is Ghazal meN sooz-o-gudaaz kee qadr-e-kamee meHsoos ho rahee hai lekin dusree janib be saakhtagee aor taceer kee farawanee bh~ee hai. i'lawah a'zeeN Ghazal meN becabatee-e-zamanah ko baRe aHsan andaaz se pesh kiya geya hai.
kisee bh~ee shae'ir ka kalam un aHsaasaat-o- kefiyaat ka aai'nah daar hota hai jis meN woh zindagee guzaar raha hota hai aap chunkeh aek muddat se diyaar-e-Ghaer ke basee haiN aor aek Hassas dil rakh~te haiN ba eeN sabab! is Ghazal meN besabatee-e-zamanah aor roozmarrah ke tajribaat ka a'ks numaayaaN hai.
zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa!
kisee kaa Zikr kyaa, yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa! kiYa
kene!! waah!! sach hai zamanah khud bh~ apna naheeN ho sakta to kisee ka kiYa ho ga.
yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?
:keh us kaa ho ke ph`ir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa:
kiYa khoob kaha hai!! waah
naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooNDh le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardaa ho naheeN saktaa!
waah kiYa kehne!! dad qubool kijiYe.
maqaam-e-naa-umeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thaire?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa
jee Qiblah agar meHboob chahe to kiYa naheeN ho sakta kiYa kehne!! waah!
kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah, kahaaN dunyaa kee aawezish
huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa
jee jee bilkul naheN ho sakta kabh~ee to a'aashiq kee raZ^aa bh~ee daryaft kee jaeYe u'mr do rozah hai aa'tabaar-e-kal kisee ko naheeN duniYa kee chapkilesh hai keh khatam hone ka naam hee naheeN letee.
aor udh~ar aa'shiq ka Haal yeh hai keh dam dh~uta ja raha hai. kalejah muNh ko aa raha hai. aese meN meN to yahee kaha jae ga.
keh" huwaa ab tak, magar ab yooN guZaaraa ho naheeN saktaa"
udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN aise laakh` deewaane!:
idh`ar yeh za'm keh :koyee bh`ee ham saa ho naheeN saktaa!:
bohot khubSurat kefiyat ko qalam band kiya hai. waah!! waah!!
muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa!
kiYa kehne waah!! bohot khoob!! waah! jawaab naheeN!!
koyee achh`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai, us se achh`aa ho naheeN saktaa!
waah! bohot khoob!! yahee sooch honee chahiYe khudshanasee baRee cheez hai.
meree janib se dobarah is khobSurat kalam par dilee dad qubool kijYe.
ijazut chhooN ga!
Wassalam
muz^affar
_________________[/color][/size]
SaaHeb! koyee nacr meN shaa,i'ree karnaa to aap se seekhe! kyaa hee achhaa likhte haiN! ek ek she'r ko paRh kar us par mufaSSil likhne ke liYe waqt hee naheeN :dil-gurdah: bhee chaahiYe! kabhee kabhee Khayaal hotaa hai keh England meN shaayad din meN 36 ghanTe hote hoN ge warnah itnaa likhne ke liYe aap kahaaN se waqt laate haiN?
Ghazal kee aisee dilkash paZeeraayee ke liYa saraapaa sipaas hooN. Khush rahiYe.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
moHtaram Sarwar Aalam Raz Sarwar SaHeb aadaab!
Qiblah! agar aap yeh samajh~te haiN keh London meN din 36 kh~ante ka hota hai to Ghalat^ naheeN samajh~te, isee liYe to do chaar Harf likh~ lete haiN. wagarnah yeh kaam 24 kh~anTooN men tamaam hone wala to naheeN!!

baherHaal! yad aawaree ke liYe aap ka minnat pazeer hooN aor ummeed karta hooN keh aap hameeN aae'ndah bh~ee yooN hee apnee garaaN gadr takhlikaat se aashna karte raheeN ge aor ham bh~ee apne 36 kh~nTooN ka bh~arpoor fae'dah uTh~ate huwe dil kh~ool kar iz^haar-e-kheyaal kareeN ge.
ijazat chahooN ga!
Wassalam
khadim
muz^affar