Page 1 of 1

aek saadah see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir.

Posted: Wed Sep 20, 2006 5:24 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbab-e-meHfil aur aHbab-e-sukhan

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek saadah see taazah ghazal lekar Haazir houaa hooN is ummeed ke saath ke aapki giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA milegaa.

Ghazal Roman meiN:

Dil meiN gar khauf houtaa khudaa kaa
Khoon karte nah Ahd-e-wafaa kaa

Ik nazar tou hou vajh-e-tasalli
Kuch taqaaZaa tou hou mudduAa kaa

Ham tujhe maangte hee rahenge
Baab jab tak khulaa hei duAaa kaa

Jisko kahte heiN jaan-e-tamanna
Daagh-e-dil hei nishaaN oos balaa kaa

Naazish-e-gul kahaaN ghurbataoN meiN
Kaise thaamooN maiN daaman Sabaa kaa

Mauj-e-ToofaaN bhee roune lagi hei
Rukh badalne lagaa hei hawaa kaa

Micl-e-gard-e-safar hooN paraishaaN
Raanda-e-Haq hooN dasht-e-wafaa kaa

Tujh se nazdeek tar hougayaa hooN
Milgayaa hei acar naqsh-e-paa kaa

Jaane kab jaaN chali jaaye :Nazir:
Kyaa bharousah hei kaafir adaa kaa


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: aek saadah see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir.

Posted: Sat Sep 23, 2006 3:24 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbab-e-meHfil aur aHbab-e-sukhan

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek saadah see taazah ghazal lekar Haazir houaa hooN is ummeed ke saath ke aapki giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA milegaa.

Ghazal Roman meiN:

Dil meiN gar khauf houtaa khudaa kaa
Khoon karte nah Ahd-e-wafaa kaa

Ik nazar tou hou vajh-e-tasalli
Kuch taqaaZaa tou hou mudduAa kaa

Ham tujhe maangte hee rahenge
Baab jab tak khulaa hei duAaa kaa

Jisko kahte heiN jaan-e-tamanna
Daagh-e-dil hei nishaaN oos balaa kaa

Naazish-e-gul kahaaN ghurbataoN meiN
Kaise thaamooN maiN daaman Sabaa kaa

Mauj-e-ToofaaN bhee roune lagi hei
Rukh badalne lagaa hei hawaa kaa

Micl-e-gard-e-safar hooN paraishaaN
Raanda-e-Haq hooN dasht-e-wafaa kaa

Tujh se nazdeek tar hougayaa hooN
Milgayaa hei acar naqsh-e-paa kaa

Jaane kab jaaN chali jaaye :Nazir:
Kyaa bharousah hei kaafir adaa kaa


Aapka MukhliS,
Nazir.



moHtaram janab Abdullah Nazir SaHeb :salaam: !

aap kee tazah Ghazal dekhne kee taofeeq milee sabh~ee asha'aar dil pazeer aor aap kee kohnah mashqee ka muNh bolta caboot haiN sach hai keh " jis ka kaam usee ko sajhe"


Dil meiN gar khauf houtaa khudaa kaa
Khoon karte nah Ahd-e-wafaa kaa

jee qiblah gar kisee ko khuf-e-khuda ho to woh har giz kisee kee dil aazaree nah kare ga aor phir e'hd-e-wafa ka khon to a'ashiq kisee Surat qabil-e-moa'afee naheeN samajhta. bohot u'mdah kheyaal hai waah!! kiya kehne!!

Ik nazar tou hou vajh-e-tasalli
Kuch taqaaZaa tou hou mudduAa kaa

kiya kehne!! waaaaah waaaaah!


Ham tujhe maangte hee rahenge
Baab jab tak khulaa hei duAaa kaa

kiya kehne!! keh buland HoSlagee ka she'er hai keh ham mayoos naheeN haiN ham du'a karte raheeN ge jab tak keh du'a ka darwazah khula huwa hai.


Jisko kahte heiN jaan-e-tamanna
Daagh-e-dil hei nishaaN oos balaa kaa

wah waah waah!! kiya khoob kaha hai.



Naazish-e-gul kahaaN ghurbataoN meiN
Kaise thaamooN maiN daaman Sabaa kaa :subh:


kiya kehne!! kiya baat hai !! inteha kar dee hai aap ne!! waah waah!! sab se zeyadah yeh she'er pasand aaya hai. HaSil-e-Ghazal hai. waah!!



Mauj-e-ToofaaN bhee roune lagi hei
Rukh badalne lagaa hei hawaa kaa


kiya kehne!! waah!!



Micl-e-gard-e-safar hooN paraishaaN
Raanda-e-Haq hooN dasht-e-wafaa kaa


bohot khoob!! apne ta'aruf meN kiya khoob tarkeeb ko baru-e-kaar laeYe haiN aap waah!!



Tujh se nazdeek tar hougayaa hooN
Milgayaa hei acar naqsh-e-paa kaa


kiya khob hai waah!! aor yahee Haqiqat bh~ee hai keh jab a'ashiq ko acar-e-naqsh-e-paa milta hai to woh mut^main ho jata hai aor meHboob ko qareeb kheyaal karta hai kiyooN keh use aor kiya darkaar hota hai aor woh naqsh-e-paa-e-meHboob ko palkooN par saja leta hai. waah!!

qiblah kahaaN kee sadadh Ghazal hai yeh khaSee purkaree se kaam liya hai aap ne ise kehte haiN sadgee meN purkaree!!! :-)



Jaane kab jaaN chali jaaye :Nazir:
Kyaa bharousah hei kaafir adaa kaa


kiya kehne!! waah!! waqa'ee maot ka koee aa'tabaar naheeN insaan karubaar-e-duniya meN itna mast-o-Gharq ho geya hai keh woh bh~ool jata hai keh keh aa'tabaar-e-kal kisee ko naheeN.

meree janib se is HaseeN Ghazal par dil kee gehraiyooN se mubarak baad qubool kijiYe.

aap kee aglee ghazal ka muntaz^ir

:fiamaan:

muza^ffar

Bahut bahut shukriyah

Posted: Sun Sep 24, 2006 5:07 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat aur Ramadhaan Mubaarak,

Yeh aapki zarrah navaazi hei ke aap ne meri saadah see ghazal per isqadar tafSeeli tabSirah farmaayaa aur daad o teHseen kaa giraNqadr tuHfah bhee pesh kiyaa. Aap jaise qadrdaanaoN ke luTf o karam ke sahaare hee khaaksaar kee mashq-e-sukhan jaari hei.

Ummeed ke aayindah bhee isi TaraH meri HauSlah afzaayi farmaate rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Mon Sep 25, 2006 4:48 am
by Sarwar A. Raz
janaab-e-Nazir SaaHeb: salaam aur Ramadan Mubarak!

aap kee yeh ch`oTee beHr kee Ghazal dekh`ee aur mustafeed huwaa. likh`naa to is se qabl hee chaahiYe th`aa lekin yeh z^aalim zindagee har waqt apne taqaaZ^oN ke saath` sar par sawaar rehtee hai! Khair, yeh to hotaa hee rahe gaa.

Ghazal kee muKhtaSar beHr aap kee ma'nee-aafreenee meN maane' naheeN huyee. Khoob hee ash,a'ar nikaale haiN. subHaan-Allah! meree naacheez daad qubool keejiYe.

waqt mile to urduduniya meN bh`ee aa jaayaa keejiYe. wahaaN bh`ee aap ke bohat se maddaaH muntaz^ir-e-deed rehte haiN! shukriyah.


Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Mon Sep 25, 2006 5:31 am
by jawaid badauni
MoHtarmee Abdulla Nazir SaaHib,
Tasleemaat.

"Ramadhan Kareem."

Main ne aap ko Ramadhan ki mubarakbad Arabee andaaz
meN dee kyuuN.k hum donoN is iss Khittey meN rahte hain
aur rahte kya haiN, yahan ek umr guzaar chuke haiN.

Gazal bohat achchee lagee. Sare ashAAr dil ko bhaa gaye jin meN
aap ka maqta' sar.e fehrist hai. ChoTee zameen ki Gazal kahna bhi
ek fun hai jo sub ko nahiN aata. Aapki iss Gazal ko agar koii
Khooshgloo gluukaar achchee dhun meN gaye to maza aa jaaye.
Hamare darmiyan Azeezi Haamid Baaqree SaHab haiN jo shayar
hone ke saath saath nihaayat umdah gluukaar aur mauseeqaar
bhi haiN. WoH tou mauseeqee ke ustaad bhi haiN main un se
mAlum karooNga.

Gazal per meri naacheez daad qubool kijiye.

MuKhliS
Jawaid

Ramadhan Mubarak aur shukriyah

Posted: Mon Sep 25, 2006 4:00 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat aur Ramadhan Mubarak,

Allah-e-pak se duAa hei ke aap aur aapke ahl o Ayaal rahmat-e-baari taAalaa se amn o amaan meiN aur khush o khurram raheN.

TabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Urdudunyaa per aane kee koushish karungaa. Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Bahut bahut shukriyah

Posted: Tue Sep 26, 2006 4:52 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Yeh aapki zarrah navaazi hei ke aap ne khaaksaar kee saadah see ghazal kee pazeerayi farmaayi aur daad o teHseen se navaazaa. App jaise aHbaab kee HauSalah afzaayi kee vajh se meri mashq-e-sukhan jaari hei aur koushish kartaa rehtaa hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir.