Page 1 of 1

"kyu.n nahi.n detey"tarhi kalaam peshe khidmat hai

Posted: Mon Apr 24, 2006 4:23 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

aik aur tarhi kalaam aapki nazr kar rahe hai.n.


gar qubool uftad zahey ........

arz kiya hai.......

deewaar zamaaney ki giraa kyu.n nahi.n detey
islaam ka qaanoon chalaa kyu.n nahi.n detey

aabe hayaat hai yeh pila kyu.n nahi.n detey
tum jannati sabhi ko banaa kyu.n nahi.n detey

har samt hai phaila hua nafrat ka andhera
tum pyaar ka chiraagh jalaa kyu.n nahi.n detey

jin logo.n ko parwaa'h ghareebo.n ki nahi.n hai
tum aisey ameero.n ko mitaa kyu.n nahi.n detey

paighaam buraayee ka jo deti hai.n kitaabe.n
tum aisee kitaabo.n ko jalaa kyu.n nahi.n detey

jin jhootey riwaajo.n se hai insaan pareshaa.n
un khokhley rasmo.n ko mitaa kyu.n nahi.n detey

haamid kalaame paak ke aayaat se har soo
insaaniyat ke phool khilaa kyu.n nahi.n detey

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Apr 25, 2006 3:33 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Hameshah ki TaraH aapke apne andaaz meiN jo iblaagh-e-fikr hei uske liye mer daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Apr 25, 2006 3:33 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Hameshah ki TaraH aapke apne andaaz meiN jo iblaagh-e-fikr hei uske liye mer daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Apr 25, 2006 7:59 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Hameshah ki TaraH aapke apne andaaz meiN jo iblaagh-e-fikr hei uske liye mer daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

ghazal pasand farmaane aur apni mukhlisaanah daad se nawaazne ka bahut bahut shukriya

jazakallah

umeed hai keh aaindah bhi aap yu.nhi hauslah afzaayee farmaate rahe.nge

aapka mukhlis
haamid baaqri