Page 1 of 1

aek aur saadah si ghazal. Abdullah Nazir.

Posted: Sat Apr 22, 2006 3:20 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek aur taazah tareen saadah si ghazal pesh karne ki jasaarat karrahaa hooN. Umeed ke apni aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL: RaAna Jamali
======
shaam-e-gham jalvah dikhaakar chal diye
mujhko deewaanah banaakar chal diye

Aaye aur nazreN churaakar chal diye
Dil ki bunyaadeN hilaakar chal diye

maiN ne izhaar-e-tamanna jab kiyaa
sharm se wo sar jhukaakar chal diye

VaSl ki shab maiN ne aisaa kyaa kiyaa
Be-sabab kiyuN moNh banaakar chal diye

Zulf-e-pechaaN ko maiN suljhaataa kahaaN
Wo mire chakke chuRaakar chal diye

maiN bhari meHfil meiN tanhaa hougayaa
jaane kiyuN mujhko bulaakar chal diye

Heelah-jooyi unki fiTraT meiN jo thii
Aas wo kal ki dilaakar chal diye

Lazzat-e-deedaar bhi baaqi nahiN
shamA-e-ulfat ko bujhaakar chal diye

jin se Nazir ko thii ummeed-e-wafaa
wo bhi uskaa jee jalaakar chal diye
=======

Aapka MukhliS,
Nazir.