taaza tarhi kalaam peshe khidmat hai

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

taaza tarhi kalaam peshe khidmat hai

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

taaza tarhi kalaam peshe khidmat hai

gar qubool uftad zahe....


arz kiya hai...


bataao kab kisee m'omin ne hai aaraam kiya
har aik saans ko hai pairawe islam kiya

mushkile.n jab bhi padee.n had se ziyaadah usper
shukr ka sajdah kiya sabr har ek gaam kiya

zulm jin logo.n ne usper they kiye barso.n se
unse insaaf kiya unko nah dushnaam kiya

rishtah gar tod gaya rooth ke apna koyee
usko manwa liya rishtey ko nah badnaam kiya

gar madad ho nah saki us se kisee insaa.n ki
jitni auqaat thi utna tau ihtimaam kiya

nafs ki chaal ne aur waswasa-e shaitaa.n ne
"dile deewaana ko sargushta-e auhaam kiya"

raho bedaar kahi.n loot nah le.n yeh haamid
nafse paakeezah ne har lamha yeh ilhaam kiya


nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply