Yaaran-e-meHfil , aadaab !
ummed hai k aap sab Hasb-e-ma'mool Kheryat se hoNge ! jaise k maiN Hasb-e-ma'mool itne lambe waqfe k baa;'d Haazir howaa hoN ! magar Khudaa raa jawab dejeyega ! der se hi sahee inshaa Allah jawab doNga !
Ghazal kehne se pehle a'rz karoN k ye Ghazal maiN ne Sarwar SaaHib ki Ghazal se muta;ccir hokar likhee hai ! unki Ghazal ka mat^;la hai
"woh mazaa sarwar na ka'ba maiN na but Khaane maiN hai
jo mazaar-e-i'shq par be mot marjaane maiN hai"
so maiN ne unhee k mata^la' ko zaraa sa tabdeel karke apna mat^la kahaa hai ! to arz hai k
Ghazal
1.
woh mazaa YAA RAB na ka'ba maiN na but Khaane maiN hai
jo tiree ulfat maiN jal kar Khaak hojaane maiN hai ! :)
2.
naaSiHaa ! too i'shq se waaqif nahiN hai , mujh se pochh
lut^f-e-hastee hee fareeb-e-a'aashiqee khaane maiN hai ! :D
3.
ShaiKh jee ! tum jis qiyaamat se Daraate ho mujhe
woh qiyaamat to mire di ke Sanam Khaane maiN hai !
4.
saaqiyaa ! teree nigaahoN maiN koii to baat hai ! :smt045
pyaas itnee jo sharaab-e-shauq pee jaane maiN hai ! ;)
aur ab maqt^a'
5.
too jo chaahe to Hayaat-e-jaavidaaN paa le :Zia: !
raaz-e-do a'aalam tiree aaNkhoN k paimaane maiN hai ! :)
......................................
shukriya
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Mohtarami Zia Baloch sab
aap ki ghazal nazar nawaz hui aur bohat pasand aayi. meri jaanib se dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
khaaksaar
Daanish
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib