Page 1 of 1
"tujhe hua kya hai"taza tarhi ghazal peshe khidmat
Posted: Thu Mar 30, 2006 5:12 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
aik taaza tarhi ghazal aapke hawale kar rahe hai.n.
gar qubool uftad zahe...
arz kiya hai...
bol insaa.n tujhe hua kya hai
muztarib kyu.n hai maajira kya hai
tu bada aur yeh jahaa.n chota
chal nikal aage sauchta kya hai
jaisa boyega waisa kaatega
yeh jahaa.n kisht ke siwa kya hai
aakhirat ke liye mere bhaai
paas tere bata rakha kya hai
jaankani mei.n tu warna bolega
"aakhir is dard ki dawa kya hai"
hosh tab aayega tau kya haasil
tauba uswaqt ki bhala kya hai
zindagi guzri saari ghaflat mei.n
is jahaa.n ne tujhe diya kya hai
bandagi kar khuda ki aye haamid
is se badhkar woh chaahta kya hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Bahut khoob, waah waah
Posted: Sat Apr 01, 2006 5:37 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zil ghazal paRhkar bahut khushi houi:
bol insaa.n tujhe hua kya hai
muztarib kyu.n hai maajira kya hai
tu bada aur yeh jahaa.n chota
chal nikal aage sauchta kya hai
jaisa boyega waisa kaatega
yeh jahaa.n kisht ke siwa kya hai
aakhirat ke liye mere bhaai
paas tere bata rakha kya hai
jaankani mei.n tu warna bolega
"aakhir is dard ki dawa kya hai"
hosh tab aayega tau kya haasil
tauba uswaqt ki bhala kya hai
zindagi guzri saari ghaflat mei.n
is jahaa.n ne tujhe diya kya hai
bandagi kar khuda ki aye haamid
is se badhkar woh chaahta kya hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
Is kaamyab ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: Bahut khoob, waah waah
Posted: Tue Apr 11, 2006 4:26 pm
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zil ghazal paRhkar bahut khushi houi:
bol insaa.n tujhe hua kya hai
muztarib kyu.n hai maajira kya hai
tu bada aur yeh jahaa.n chota
chal nikal aage sauchta kya hai
jaisa boyega waisa kaatega
yeh jahaa.n kisht ke siwa kya hai
aakhirat ke liye mere bhaai
paas tere bata rakha kya hai
jaankani mei.n tu warna bolega
"aakhir is dard ki dawa kya hai"
hosh tab aayega tau kya haasil
tauba uswaqt ki bhala kya hai
zindagi guzri saari ghaflat mei.n
is jahaa.n ne tujhe diya kya hai
bandagi kar khuda ki aye haamid
is se badhkar woh chaahta kya hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
Is kaamyab ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum
jawaab mei.n taakheer keliye hum muazirat chaahte hai.n..
dar asl hum apne show ke silsiley mei.n bahut masroof rahe.
aapki mukhlisaanah daad ke hum hamesha ki tarah behad mamnoono mashkoor hai.n.
salaamt rahe.n.
aapka mukhlis
haamidbaaqri
Posted: Wed Apr 12, 2006 10:04 pm
by Mahtab Qadr
Hamid Bakhry sahib
Salaam e mansoon
Aapki ghazal pasand aaik , aakhirat ki yaad dilana bahut ahm baat hai. lab o rukhsar ke qisse to sab hi kahte haiN.
bahut shukria
MQ
haamidbaaqri
Posted: Thu Apr 13, 2006 10:39 am
by haamidbaaqri
Mahtab Qadr wrote:Hamid Bakhry sahib
Salaam e mansoon
Aapki ghazal pasand aaik , aakhirat ki yaad dilana bahut ahm baat hai. lab o rukhsar ke qisse to sab hi kahte haiN.
bahut shukria
MQ
wa alaikumussalaam
mohtaram mahtab qadr saahib
ghazal ki pasandeegi ke liye hum aapke shukrguzaar hai.n.
apni duao.n mei.n hame.n nahi.n bhooliyega.
khush rahiye
aapka mukhlis
haamidbaaqri