Page 1 of 1

ab to so jaaiye Shah saa.eeN.......................Ghazal

Posted: Wed Mar 29, 2006 1:21 pm
by yasir shah
assalamOlaikuM!

aaj aap sab ke saamne apnee aik taazah.tareen Ghazal paish kar rahaa hooN ,,jo keh aik na.ay rang meN hay mumkin hay isay paRh kar aap ko sindh ki miTTee ki khushboo aa.ay ,,ab aik aadh maah tak mumkin hay bazm meN aamad kam ho jaa.e jis kaa sabab a'nqareeb honay waalay papers heN ,,Haalat yeh hay keh niSaabee kitaaboN ko bahut kam Chuwaa hay -deKhiye ab kyaa hotaa hay- :lol:

kher Ghazal paish-e-khidmat hay ,,aap ke giraaN.qadr tabSiroN kaa intzaar rahay gaa-



Ghazal




raat kehne lagee raah saa.eeN !
ab to so jaaiye Shah saa.eeN !


dil se niklee agar aah saa.eeN !
anjuman bol uThee waah saa.eeN !


kuCh naheeN hay agar paas to kyaa ?
shukr al.Hamdulillaah saa.eeN !


yaad gaa.oN ki aanay lagee hay
deKh kar itnay bad.khwaah saa.eeN


saag sarsoN kaa, chaawal ki roTee
khaTTee lassee ,aray waah saa.eeN !!


khaalee masjid meN karnaa i'baadat
Allah Allah re, Allah saa.eeN !


nain mere diye but.kaday ke
qalb weeraan dargaah saa.eeN !


tum kahaaN aur kahaaN dunyaa.daaree
Allah Allah karo Shah Saa.eeN !








Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Mar 29, 2006 4:49 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Yasir Shaah SaaHib,

[i}PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki yeh taazah tareen ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.

Waah waah, kyaa kehne.

Aaayindah bhi apne aise hi dilkash kalaam se navaazte rahiye aur shukriyaa adaa karne kaa mauqaA diyaa keejiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.[/i]

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Sun Apr 02, 2006 2:47 am
by yasir shah
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Yasir Shaah SaaHib,

[i}PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki yeh taazah tareen ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.

Waah waah, kyaa kehne.

Aaayindah bhi apne aise hi dilkash kalaam se navaazte rahiye aur shukriyaa adaa karne kaa mauqaA diyaa keejiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.[/i]


muHtaram Abdullah Nazir SaaHIb
assalamOalikuM

aap ko meree Ghazal pasand aa.ee yeh naveed mere li.e intihaai khush.kun aur baa.i'c-e-farHat hay -

aap kaa shaakir hooN ,

khush rahye
du'aago
yasir

Re: ab to so jaaiye Shah saa.eeN.......................Ghaza

Posted: Sun Apr 16, 2006 7:11 am
by yasir shah
Anonymous wrote:
yasir shah wrote:
Ghazal

raat kehne lagee raah saa.eeN !
ab to so jaaiye Shah saa.eeN !


dil se niklee agar aah saa.eeN !
anjuman bol uThee waah saa.eeN !


kuCh naheeN hay agar paas to kyaa ?
shukr al.Hamdulillaah saa.eeN !


yaad gaa.oN ki aanay lagee hay
deKh kar itnay bad.khwaah saa.eeN


saag sarsoN kaa, chaawal ki roTee
khaTTee lassee ,aray waah saa.eeN !!


khaalee masjid meN karnaa i'baadat
Allah Allah re, Allah saa.eeN !


nain mere diye but.kaday ke
qalb weeraan dargaah saa.eeN !


tum kahaaN aur kahaaN dunyaa.daaree
Allah Allah karo Shah Saa.eeN !
kyaa kahi khoob Shah Saa.eeN
Boul uThTi maiN waah! Saa.eeN :grin:


yasir sahib,

adaab arz hei.

kuch masroofiyet ki wajah se aana dair mein hua lekin
apki ye ghazal pehle dekh li thi aur bohat pasand aayi
khaaSka is liye ke aap ne radeef aur qaafiyaoN ko bahut
hi khoobi se isteAmaal kiyaa hei.

is kaamyaab ghazal per meri daad aur mubaarakbaad
qubool keejiye.

sara
Saraa SaaHibah !
aap kaa be.Had mamnoon hooN keh aap meree Haqeer GhazloN ko saraahtee heN---

khush rahye
du'aago
yasir