Page 1 of 1

"insaan ho gaya"aik aur adna kaavish

Posted: Wed Mar 29, 2006 5:14 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

aik aur adna kaavish hum aapki nazr kar rahe hai.n.

gar qubool uftad zahe.......

arz kiya hai......


momin jo baa^amal tha woh insaan ho gaya
insaa.n ki shakl mei.n. koyee shaitaan ho gaya

duniya o aakhirat mei.n wohi kaamiyaab hai
jo is jahaa.n mei.n saahibe eemaan ho gaya

qur'aa.n ka hukm hai keh kare mominah hijaab
phir behijaabi kyu.n tira armaan ho gaya

daadhi rakho zanaanah ki tashbeeh nah bano
iska hadeece paak mei.n a^elaan ho gaya

jab se rasoole paak ki aankhe.n huee.n hai.n band
muslim quraane paak se anjaan ho gaya

waabistah jo bhi ho gaya aale rasool se
haamid woh shakhs khuld ka sultaan ho gaya

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
__________________